Ba Adab Ba Naseeb Bay Adab Bay Naseeb Story In Urdu
Nanhe Asad ko jub us ki mama aur baba jaan school pehli baar dakhil karwane chale tou woh hairan reh gaya tha. Us ke baba baaz maslahaton ke teht usay bording yani hostel wale school mein dakhil karwana chahte thay takeh woh is muashray ka aik zumaidar shehri bane. Us ka dakhla hua aur madam ne test bhi lay liya jis mein Asad ne 75% number liye aur kamyabi hasil ki. Whan teraki, ghoron par sawari aur ghair nisabi o nisabi muqable bhi munaqad hote thay aur masjid bhi thi jis mein namaz sikhai aur parhai jati thi aur sham ko qari sahib se sub bache saparah parhne jatay phir khana kha kar theek 9 bajay so jate un bachon ke khidmat guzar khadam log chacha kehlate thay jo kabhi kabhar un ko kahani bhi sunate . Asad ghar akar jub apne hostel ke qisay sunata tou sachi baat hai keh Asad ke baba jaan ka bhi dil chahta keh kash woh bhi hostel dakhil ho jayain lekin Asad ki mama ka us ki judai mein udasi bhara haal hota. Haye mera bacha pata nahin us ne aaj theek se khana khaya hai keh nahin. Magar taleem ki khatir unhon ne apne nanhe shehzade se doorie ka gham bardasht karna hi munasib samjha. School ke bache Sadqeen kehlate yani sache bache phir aik baar kya hua Asad ka aik dost tha Papu Mian tou us ke walid chand mah baad school intzamia ke paas shikayat ke kar aye keh us ke fees ke khate mein yakdam naye izafe kese hain?Card ke sath munsalik notice paper mein darj tha keh aap ke farzand ne Quran class laine ki wajah se aik mah mein 20 adad topiyon ka istemal kiya hai. Magar raz ye khula keh jub bache parh kar nikalte hain tou apni topi kheel kheel mein khushi se uchalte hain jo safeday ke darakht par ja kar latakti aur youn acha khasa bill har mah jama hota jata. Is waqia ke baad Asad ne bhi aitraf kiya keh woh bhi is shararat mein sub bachon ke sath shamil tha magar ab woh teachers se wada kar chuka hai keh woh ayenda aisi koi harkat nahin kare ga.
Ab woh aik acha bacha hai magar jub bhi safeday ke darakht ko dekhta hai tou usay apni purani shararat yaad aa jati hai magar ab usay maloom ho gaya hai keh teachers ki tarah topi, kalam, copy bhi qabil ahtram hain. Kyoun keh ye sub ilm ka zariya bante hain. Bacho! kya aap bhi un cheezon ka ahtram dil se karte hain kyoun keh ba ad ba naseeb aur bey adab bey naseeb hota hai.
No comments:
Post a Comment