Acupuncture Treatment In Urdu: Acupuncture Se ilaj
Acupuncture Kya Hai - What Is Acupuncture Therapy In Hindi
Acupuncture cheeni tareeqa ilaj hai aur teezi se dunya ke mukhtalif mumalik mein pheel raha hai kyoun keh jin bimariyon ka ilaj baghair dawa khaye mumkin hai un ke ilaj ke liye medicine ka use kyoun kiya jaye ya aisi bimariyan jo medicines khane ke baad bhi theek nahin hoti un ke ilaj ke liye acupuncture science apni khidmat faraham karti hai is tarika ilaj mein aik baar suiyanjism par mojoodnuqton par lagai jati hain agar sui lagane wala doctor mahir ho tou phir sui lagane se dard nahin hota.
Side Effects of Acupuncture In Urdu:
Is tariqa ilaj mein jisi qisam ki koi dawa istemal nahin ki jati achi quality ki bani hoi sada sui istemal ki jati hai jis ke lagane se takleef hargiz nahin hoti aik sada sui zaroori hai ke jaraseem se paak ho is tarah nuqsan nahin hota lekin khuch patients zehni dabao ka shikar hote hain hain ya bohat zayada hasas tabiyat rakhte hain tou suiyan lagane se usay chakar anay lagte hain. Ye aik achi ilamat hai aisa mareez dusre mareez ke muqablay mein jaldi sehat yaab hota hai.
Acupuncture Se Kin Bimariyon Ka ilaj Ho Sakta Hai?
Acupuncture aik mukamal ilaj ka method hai is ke zariye har qisam ki bimari ka ilaj mumkin hai aur is par mazeed tehqeeq bhi jari hai aur ye baat aam hai keh dardon ka ilaj acupuncture se behtar koi nahin.
Acupuncture Ki Ahmiyat:
Aam tor par disease ki tashkhees us waqt hoti hai jub bimari jar pakar chuki ho us waqt bimari ka ilaj na sirf mushkil ho jata hai balkeh us waqt ki jane wali ahtyati tadabeer bhi be kaar sabat hoti hain is liye aqalmandi ka taqaza ye hai keh bimari se pehle hi ahtyati tadabeer ikhtyar kar li jayain lekin ye kese maloom ho keh konsi bimari kyoun kar hamla awar hone wali hai is sawal ka jawab isi ilaj mein mumkin hai is mein science ke tashkheesi nizam ke teht ye maloom kiya ja sakta hai keh kin aza se mutaliq bimariyon ka rujhan jism mein mojood hai. Jub ye baat maloom ho jaye tou phir bajaye is ke bimari shuru hone ka intzar kiya jaye pehle hi ahtyati tadabeer ikhtyar kar lain.
Khabardar Kamar Aur Gardan ke Mohron Ka Operation Mat Karwayain:
Gardan
ka khichao,
kamar dard, mohron ya disk ki kharabiyon mein acupuncture
ilaj mojzana nataij deta hai pehle hi din ilaj ke baad aksar mareez jo
sahara lay kar atay hain baghair takleef ke chal kar jatay hain.
Khabardar - Warning:
Is tarah ke kisi bhi ilaj se pehle apne doctor se maloomat zaroor hasil karain aur ijazat lain yahan di hoi har maloomat sirf educational purpose ke liye hai takay zayada se zayada log nayi information tak rasai hasil kar sakain.
No comments:
Post a Comment