Poverty Urdu Essay Povery In Pakistan Mein Ghurbat Par Mazmoon Speech Poverty Definition

  Lal Gulab      
Poverty Essay In Urdu - Poverty Par Mazmoon - Poverty Speech In Urdu

Pakistan Mein Ghurbat Ki Wajuhat: Ghurbat ki bunyadi wajah samajhi bay imani, awam aur logon ka ghair zumaidarana rawaiya hai. Har aik shakhs bay insafi aur ghair munsifana tareeqa se daulat ke husool ke liye sar garam hai, muashrah bay rah rawi ka shikar ho chuka hai, is bay yaqeeni ki kefiyat ne muashray mein manfi soch ko barhawa diya hai, qaum apne huqooq se agah hi nahin hai, kaam karne wale log apni kar kardagi ka muzahira nahin kar rahe, taxes ki adaigi na karne musalsal qanoon ki khilaf warzi ko apna haq samjha jata hai, ye ghair zumaidarana rawaiya musalsal barhta hi ja raha hai.

Pakistan jo ke ghareeb mulk aur mueshat ka utaar charhai adam istehkam ka shikar hai jo asal aur bunyadi masla hai jis se mulk shadeed bohran ka shikar hai.  Pakistan mein ghurbat ki tamam wajuhat ko darj karna mushkil ho ga taham zair-e-ghoor aham wajuhaat darj zail hain.

Hukumati Policyan: Hukumat mulk ke mojooda halaat se waqif hi nahin hai, hukumat ko aik aam admi ke masail se dilchaspi hi nahin hai aur na hi aywanon mein is baat ki zaroorat mehsoos ki jati hai ke aam admi ke masail ke hal se mutaliq qanoon sazi ki jaye, hukumat ki bunyadi tajweez karda pilicies ko kamyab natijah nahin nahin hota, aik policy ki nakami ke baad hukumat us ki nakami par ghoor hi nahin karti aur is ke baad azan guzashta masail ke mutalia par goor hi nahin kiya jata aur aik nayi policy ka elan kar diya jata hai. Bhari tax se berozgari ke sataye ghurbat ki lakeer se nechay rehne par majboor hotay hain, mazdoor aur aam admi ko bunyadi zarooraton se mehroom rakha jata hai khasoosi tor par sehat ilaj, pani, insaf ki farahmi, mulazmat, qarza ki farahmi aur taleem jesi bunyadi sahulyat par bhi adam dilchaspi ka muzahira kiya jata hai.

Corruption: Ghurbat ki aik aur wajah corruption hai, corruption ki hamaren muashray mein mukhtalif iqsaam hain jis wajah se nazam ka bunyadi dhancha berooni tor par mazboot magar androoni sakht ko demak chaat chuki hai, uper se nechay tak tamam adaray is kheel mein shamil hain.

Pakistan ki khawandgi ki sharah bohat kam hai zayada tar log amdani ke jadeed zariye se waqfiyat hi nahin rakhte, zayada tar log jadeed technology ko apne karoobari zarooriyat ke liye apnane ke qabil hi nahin hain yehi wajah hai ke karobar mein amdani ki kami aur international mayar ke nataij samne nahin atay aur Pakistan ka karobari tabqa mehdood hai, taleem ki kami ke baed nichla tabqa aur mazdoor apne huqooq se agah hi nahin hain.

Pakistan ki daramdat mein teezi se izafa ho raha hai awam ke tax ki aik khateer raqam daramdat par kharch ho rahi hai, Pakistan mein karobari wasail ki kami aur hukumat ki karobari mansoobon par adam dilchaspi se sarmaya dar adam tahafuz ka shikar hai jis ke baes mulk mein sarmaya dari mein kami hai, mulki qudrati wasail se faida nahin uthaya ja raha aur bare paimanay par har saal daramdat barhti ja rahi hain aur qeematon mein izafa ho raha hai mulazmat mein kami ki wajah se ghurbat barh rahi hai.

Kisi bhi jumhuriyat wale mulk (democratic country) ki tarah hamare mulk mein bhi qanoon aur qanoon nafaz karne wale adaron ki aik mufsal list mojood hai magar tamam adaray mulk mein aman o aman qaim karne mein nakam hain, qanoon aur nazam mein beshumar masail mojood hain. Jaraim mein shidat se izafa ho raha hai,  mojooda halaat mein dhehshat gardi se stock market mein ghair yaqeeni surat hal paida ho chuki hai, rozmara ki zarooryat zindagi ki ashya ki qeematon mein mazeed izafay ka samna hai jis se tamam mulk ko mushkilat ka samna hai.

Hukumat adaron ko munazam karne mein nakam rahi hai, mulki asason ki kami ki wajah se mulk mein funds ki qilat hai jis ke manfi asrat ki wajah se taraqyati mansoobay takmeel tak pohanch hi nahin patay, hukumat ki janib se chalaye jane wale adaron ko ghair mulki sarmaya daron ko becha ja raha hai, market mein masnoi qilat paida kar ke cheezon ki qeemat barha kar diya jata hai, aur ijaradari ke mansoobon ke teht commison lay kar double kar li jati hai aur akhir mein tamam bojh saraf ko hi uthana parta hai yehi wajah ghurbat (poverty) mein izafay ka baes hai.

Zaroorat is amar ki hai ke in bay zabtgiyon ko ghor talab feslon se hal kiya jaye, hamari qaum ki khush qismati hai ke koi bhi masla aisa nahin hai jis ka hal mojood na ho, magar bad qismati is baat ki hai ke hum apni islah karna hi nahin chahte aur bad kardar sayasatdanon ko vote detay hain jo kabhi aik partay mein aur kabhi dusri partay mein hotay hain. Agar aaj bhi hum ne koi sanjeeda qadam na uthaya tou hum log ghurbat se bahir nahin a payien gey.

For Students:  This poverty essay can be used for these topics also:
how to reduce poverty in pakistan, ghurbat kya hai? poverty alleviation in pakistan, solution and causes of poverty in pakistan in urdu poverty reduction strategies
logoblog

Thanks for reading Poverty Urdu Essay Povery In Pakistan Mein Ghurbat Par Mazmoon Speech Poverty Definition

No comments:

Post a Comment