Namaz Story For Kids: Namaz kitni meetha aur pursakoon silsila hai jo hum par farz hai namaz parhnay se rozi rizk main barkaat hoti hai
namaz parhnay se insan har tarhen ki buraye se mahfooz rehta hai. Namaz
hamaray pyaray Nabi SAW ki ankhoon ki thandak hai aur isay churnay paar
bakshish bhi nahi hai namaz ki barkat kitni hai zara dekhain ek uraat
apnay bachay ko baray pyar se samjati hai ke namaz parhnay se Allah Ta'ala bohat khush hotay hain aur sath hi namaz parhnay walay bachoon ko Allah Ta'ala meethaye aur tofi bhi detay hain yeh suntay hi bachay nay
kaha ami jaan ap sach bol rahi hain namaz parhnay se meethaye ya tofi
milti hai to maan nay kaha han beta tum parh kar dekho to woh bacha
namaz parhnay laga aur jub bhi namaz parhnay k liye khara hota
to uski ami pehlay hi tofi meethaye rakh deti jab bacha namaz par
laita to kabhi uk ko toofi to kabhi meethaye mil jati.
Is tarhen namaz ke
peechay diwana hogaya aur namaz pabandi ke sath pehnay laga aik din maa itni zayada masroof hogaye ke usko yaad hi nahin raha ke aaj toofi ya
meethaye rakhni hai bacha jab zohar ki namaz ada kar raha tha to
achanak maa ko yaad aya ke aaj to meethaye ya tofi rakhi hi nahin hai aaj
jab beta namaz ke baad meethaye talash karay ga tou main isay kya jawab
doongi.
Is paar pareshani ke alaam main maa nay Allah pak se kaha ke main meethaye ya
toufi ka keh kar apnay bachay ko namaz ada karwati hon lakin aj
rakhna bhool ghaye hon ab meri izzat teray hath main hai Allah aaj khud
hi meethaye ya toofi rakh de apna karishma dekha de etnay main beta apni
maa ke samnay khara hojata hai maa sharminda hokaar nazar jhuka leti
hai tab bacha bolta hai ami jaan tum bhi meethaye khaaoogi jab maa nazar
uthati hai to bachay ke hathoon main meethaye dekh ke khush ho jati hai
maa boli beta yeh meethaye kahan se mili hai beta bola ami rooz jahen se
milti hai wahen se hi mili hai woh uraat bachay ko galay laga kar Khuda ka shukar ada kati hai aur apnay bachay ko namaz ki barkat bata
deti hai to bacha bolta hai ke aaj ke baad se mujhey tofi ya meethaye
nahi Allah ki rehmat ki zaroorat hai.
No comments:
Post a Comment