How To Play Cricket Urdu Cricket Rules Cricket Batting Tips Bowling Hindi Tutorial

  Lal Gulab      
How To Play Cricket In Urdu Cricket Tips - Cricket aik aisa kheel hai jo 11 players par mushtamil 2 teams ke darmiyan khela jata hai. Ye kheel ball aur bat ke zariye khela jata hai jis ka maidan gol hota hai. Aam tor par balay baaz apne balay ke zariye ball ko marne ki koshish karta hai aur is koshish ke doran apne dusre sathi balay baaz ki janib dorta hai is tarah donon ko Pitch par aik dusre ki jagah pohanche par aik run milta hai. Woh ball bat par na lagne ki surat mein bhi run bana sakta hai. Agar ball wickets par takra jaye tou is tarah khelne wale ko ground se bahir jana parta hai kyoun ke is tarah woh out ho jaye ga.


Aik team ki bari us waqt khatam hoti hai jub us ke tamam players out ho jayien ya overs khatam ho jayain. Test match 5 din ka hota hai jis mein donon teams 2 baat batting aur fielding karti hain aur jo zayada runs bana laita hai usay winner karar diya jata hai.

Learn Cricket Online:
Hindi Cricket Rules In Urdu:
Cricket ke 42 law hain jin ko melbourne cricket club ne tashkeel diya in rules ko cricket khelne wali countries aur international cricket council ki madad se tayar kiya gaya.

Players - Khaladi: Aik team mein 11 players 5 hison mein taqseem hotay hain 1 batsman, 2 bowler, 3 fielder, 4 allrounder, 5 wicket keeper. Aik matwazan team mein aksar 4 batsman, 1 ya 2 all rounder, 4 bowlers aur aik wicket keeper hota hai in mein se aik player captain hota hai baqi sub khaladi us ke paband hote hain.

Umpire: Match ke doran ground mein 2 umpires hote hain aik umpire wicket ke us taraf khara hota hai jahan se ball phenta hai. Match ke aham faisle jese out dena, no ball, wide ball umpire ke ikhtyar mein hota hai. Dusra umpire balay baaz ke pechay wicket se 8 - 10 foot ke fasle par khara hota hai jo dusre umpire ko faislon mein madad deta hai. Aik third umpire bhi hota hai jo zaroorat parne par tv ki madad se umpire ki madad karta hai aik aur umpire referee hota hai jis ka maqsad match ke doran players par cricket ke qanoon lago karna hota hai.

Khelne Ki Jagah: Cricket ka ground gol hota hai jis mein ghaas laga hota hai us ground ki lambai ya chorai khuch khas maqdar ki nahin hoti. Ground ka ausat taqreeban 450 foot aur 500 foot ke darmiyan hota hai boundry ka had ka nishan amooman rassi se lagaya jata hai.

Types of Cricket In Urdu: Cricket ki 3  types hain jo internation level par kheeli jati hain jin mein pehli test match jo 5 din ka hota hai aur dusri type one day kehlati hai jo 50 over ka hota hai aur tesri type jo khuch saal pehle ayi hai usay T20 kehte hain jo 20 overs ka hota hai.

Cricket Match Play:
Toss: Donon teams ke captains mein se koi aik match ke start mein aik coin hawa mein uchalta hai is amal ko toss kehte hain. Toss jeetne wala captain pehle bazi ya bowling karne ka faisla kar sakta hai. Captain ye faisla pitch aur mausam ke mutabiq karta hai. Cricket ke match mein toss, pitch aur weather bohat ahmiyat rakhte hain. Captain aur coach in teenon cheezon ko samne rakhte hue faisla karta hai.

Overs: Har innings ya bari ko overs mein taqseem kiya jata hai har over mein aik ball 6 baar karaya jata hai. Wide ya no ball ki surat mein ball dobara karana hota hai. 1 over khatam hone par dusra bowler wicket ki dusri taraf se bowling karwata hai. Har bowler apni bowling ke mutabiq feelder maidam mein khare karta hain har over ke ikhtitam par umpire bhi apni jagah badalte hain.

Innings Ka Ikhtitam:
Innings ya aik bari 5 reasons ki wajah se khatam hoti hai.
1: 11 mein se 10 players out ho jayien.
2:  Jub 5 din khatam ho jayain (aisa test match mein hota hai).
3: Jub sirf aik khaladi batting ke liye bachay yani baqi kisi wajah se batting na kar sakain.
4: Akhir mein batting karne wali team jeetne ke liye diya gaya target yani score pura kar le.
5: Jub muqarara 50 overs khatam ho jayien (aisa sirf one day cricket mein hota hai).
6: Captain apni bari khatam ya declare kar de ( aisa sirf test match mein hota hai).
Khelne Ka Waqt: Aik test match amooman 3 ya 5 din kheela jata hai har roz ka kheel amooman 7 se 8 hours jari rehta hai har roz dopehar ke khane aur tea ka waqfa hota hai aur har 15 ya 20 overs ke baad pani ka waqfa hota hai. Aik roza match aik din taqreeban 7 se 8 hours jari rehta hai.
Kheel amooman din ke waqt roshni mein kheela jata hai aur roshni ke kam hone ki surat mein match rok diya jata hai. Test match hamesha din mein khelay jate hain. Lekin one day match aksar day and night yani lights ki roshni mein khela jata hai lekin sirf is surat mein jub munasib roshni ho.

logoblog

Thanks for reading How To Play Cricket Urdu Cricket Rules Cricket Batting Tips Bowling Hindi Tutorial

No comments:

Post a Comment