Rashid Minhas Essay In Urdu Rashid Minhas Shaheed History In Urdu Notes Paragraph

  Lal Gulab      
Rashid Minhas Essay In Urdu Rashid Minhas Shaheed Biography: Aam dino ki tarha 1,2 august 1971 ki subah ko bhi pak fizaiya ke ade par khas chehil pehil thi. Pak fizaiya ke tarbiyat pane wale chak o choband hawa baz manzim tareke par apne apne tiyaron mein sawar horahe the, takeh wo apni mamul ki mashki parwaz par rawana hosaken. Hawabazon ne tayaron mein sawar hone ke bad engine start kardiye the aur ab wo bari bari run way par ane ke liye ishare ke muntazir the.

Isi doran ek motor tezi ke sath in tayaron ki taraf ai. Motor mein sawar shakhs har tayare ke pilot ko gor se dekhta tha. Is ke is tarha dekhne se ye mehsus hota tha ke use kisi khas pilot ki talash hai. Phir is ki car ek tayare ke kareb ruki. Is tayare ka pilot no umer hawabaz Rashid minhas tha. Car mein sawar ka nam mateh ur rehman tha aur is ka kam hawabazun ko tarbiyat dena tha. Mateh ur Rehman car se utarte hi Rashid minhas ke tayare ki taraf barha aur tayare mein sawar hogaya. 

Mateh ur rehman chonke Rashid minhas ka instructor tha is liye us ke achanak ane aur tayare mein sawar hone par rashid minhas ko kisi kisam ka shak o shuba na hua, balke is ne socha ke shahyad is ka instructer akhri lamhat mein use kuch mazed hidayat dene aya hai. 

Rashid Minhas ka tayara jaise hi fiza mein buland hua to mateh ur rehman ne jahaz ka control hasil karke is ka rukh bharat ki taraf pher dia. Mateh ur rehman ke is ikdam se Rashid minhas ko andaza hua ke mateh ur rehman gadar e watan hai aur wo jahaz ko agwa karke bharat le jana chahta hai aur shahyad is ke pas pakistan ke kuch foji raz bhi hein jo wo bharat ke hawala karna chahta hai. Is haqeqat ke inkashaf par rashid minhas ne sab se pehle control tower ko paigam dia ke mere jahaz ko agwa kia jarha hai. Is ke sath Rashid minhas ne jahaz ka control hasil karne ke liye jadojahad shuru ki. Lekin is ka muqabla ek tajarba kar aur taqatwar dushman se tha. Aise dushman par qabu pana ya control hasil karna asan kam na tha. Rashid minhas ne ye teh kar rakha tha ke wo apne jahaz ko kisi surat mein bharat le jane ki ijazat nahin dega, chahe is maqsad ke husul ke liye use apni jan bhi qurban karni pare to wo jan qurban kardega lekin watan ki salamti, tahafuz aur izat par anch nahin ane dega.
Rashid Minhas ne mehsus kia ke tajarba kar aur taqatwar dushman se tayara ka control chenna aur iska rukh apne hawai ade ki taraf morna na mumkin hai, to Rashid minhas ne tayare ka rukh foran zamen ki taraf kar dia. Tayara tezi ke sath zamen ki taraf aya. Is se qabal mateh ur rehman tayara ko dubara fiza mein buland karta, tayara ek zordar dhamake ke sath zamen se takra kar pash pash hogaya.  Is tarha is no umer hawa baz ne watan aziz ki salamati aur aan ki khatir apni jan qurban kar ke jurat aur bahaduri ki ek nai tarekh rakam ki. Rashid minhas ko is ki bemisal bahaduri aur jurat ke aitraf ke tor par use short life mein sab se bara foji aizaz "Nishan-e-Hyder" ata kiya.. Jis qom mein Rashid minhas shaheed jaise bahudar bete hon wo kabhi mit nahin sakti.

tags: rashid minhas essay in urdu, rashid minhas history in urdu, paragraph on rashid minhas, note on rashid minhas in urdu
logoblog

Thanks for reading Rashid Minhas Essay In Urdu Rashid Minhas Shaheed History In Urdu Notes Paragraph

No comments:

Post a Comment