Meat Benefits In Urdu Gosht Ke Faide: Gosht Khane ke fayde beshumar hain magar red meat ko aitdal ke daire mein rehte hue istemal kiya jaye tou ye khoon paida karne ke sagth sagth jism ko bepanah tawanai faraham karta hai. White meat ho ya surkh ye protein ke husool ke liye behtareen zariya hai aur insani jism ki nashunuma ke liye protein ko kaleedi ahmiyat hasil hai.
Ye insani jism mein khuliyon ki tor phor yani Metabolism ke nagtijay mein paida hone wali kamzoori door kar ke Antibodies paida karti hai jis ki badolagt jism mukhtalif iqsam ke infections se mehfooz rehta hai. Gosht ki badolat hi khoon mein surkh khuliye yani Red Blood Cells bante hain Iron, Zinc Celenium aur mukhtalif qisam ke vitamins bhi isi se hasil kiye jate hain. Iron se jism mein Hemoglobin paida ghogta hai aur khoon ki tarseel behgtar hoti hai zick se new gtissues bante hain aur selenium jism se ghair zaroori chiknaiyan aur degar chemicals khatam karne mein madadgar sabagt hota hai.
Gosht mein mojood vitamins dantons ankhon aur dimagh ke sagth sath jild ko bhi young rakhte hain. Hayatyati aitbar se is mein mukamal protein jin mein 8 bunyadi Amino Acids mojood hon paye jate hain. Ye zaroori amino acids qudrati tor par insani jism mein paida nahin hote lihaza in ka beroni ghaza se ghusool zaroori ho jata hai. Ye na sirf muscles ko mazboot banagte hain balkeh body ko quwat madafat mein bhi izafa karte hain. Yahan ye baat bhi zaroori hai ke qurbani ka gosht fresh aur healthy ghaza se bharpur hone ke baes zayada calories par mushtamil hota hai jin ko zayada tadad mein khane se muzhar sehat asrat ke khadshat bharh jate hain chota gosht ho ya bara ye apne fawaid ke aitbar se munfarid hai.
Goat Meat: Taste aur lazat ke aitbar se bakre ka gosht sub se zayada behtar hai is ka aitdal pasandana istemal (use) jismani quwat aur afzaesh sehat ke hawale se nihayat mufeed hai. Aksar mareezon ko goat meat diet ke tor par tajveez kiya jagta hai. Hadi ke qareebg wala gosht zayada tasty aur ghazaiyat se bharpur hogta hai par dair se hazam hogta hai, dumbe ka gosht ke bare mein qadeem aur jadeed mahireen sehat ka mutfiqa faisla hai ke tamam halal janwaron mein se dair hazam aur mazedar tareen ghaza ki hesiyat rakhgta hai aur nihayat lazeez hai.
Cow Meat (Beef) Advangtages: Gaye ka gosht hamare haan kasrat se istemal hota hai lekin log isay bakra ke gosht se kam ghazaiyat ka hamil khayal karte hain jo ghalat hai medical benefits ke nuqta nazar se cow meat bakre ke gosht ki nisbat jism ko zayada hararat aur taqat bakhshta hai albata is ka zayada istemal bhi kayi bimariyon ka sabab banta hai woh log jinhain zayada mehnat ki adat na ho unhain gaye ke gosht se parhez karna chahiye.
Camel Meat: Oont ka gosht yani camel meat Pakistan mein bohat kam khaya jata hai. zaiqa mein namkeen ye gosht zayada saqeel bhi hota hai taham bawaseer ke mareez ke liye mufeed hai.
Dil ke mareez goshgt ki bajaye dalain aur sabziyan zayada istemal karain, sugar aur heart patients kaleeji, gurday (kidney) aur maghaz ka istemal hargiz na karain kyoun ke un mein cholesterol ki quantity aam gosht ke muqable mein kafi zayada hoti hai jo aise mareezon ke liye intehai nuqsan deh hai.
No comments:
Post a Comment