Nobel Prize History In Urdu Information Nobel Prize Hindi Essay

  Lal Gulab      
Nobel Prize Essay In Hindi

Nobel Prize History In Urdu -  Nobel Inaam ka bani Alfred Nobel tha jo sweden mein paida hua lekin us ne apni zindagi ka kafi arsa russia mein guzara. dynamite usi ne ijaz kiya tha is ke ilawa mutadad dusri ijadat ka sehra bhi usi ke sar hai. Apni zameenon aur dynamite se kamai gyi daulat ke baes 1896 mein apni death ke waqt nobel ke account mein 90 lack dollar ki raqam thi.

Marne se pehle us ne apni wasiyat mein likha tha ke us ki ye daulagt har saal aise agfrad ya adaron ko inam ke tor par di jaye jinhon ne guzashta saal ke doran mein adab, aman aur is jese dusre maidanon mein koi karnama anjam diya ho.

Yehi wajah hai ke aik wasiyat ke teht foran aik fund qaim kar diya gya jis se hone hone wala munafa nobel prize ke haqdaron mein taqseem kiya jane laga. 19568 se nobel inam ke shobon mein muashiyat ka bhi izafa kar diya gya hai. Nobel fund ke board ke 6 directors hain jo 2 saal ke liye muntakhib kiye jatay hain aur un ka taluq sweden aur norway ke ilawa kisi aur mulk se nahin ho sakta.

Nobel fund mein har saal munafa mein izafa ke sath sath prize ki raqam bhi barh rahi hai 1948 mein nobel prize hasil karne wale ko 32000 dollar milay gthay jub ke 1997 mein yehi prize barh kar 10 lack dollar tak pohanch gyi.

Nobel prize ki pehli taqreeb Alfred ki panchwien barsi ke din yani 10 december 1901 ko hoi tab se ye taqreeb har saal isi tareekh ko hoti hai.
Ghalat Nobel Prize: 1926 ka gtib ka nobel inaam Johanees Fibiger ko diya gya tha jis ne ye dawa kiya tha ke cancer aik tafeeli keeray spiroptera carcinoma ki wajah se hota hai baad mein ye ghalat sabat hua.

1927 ka tib ka nobel inaam Austria ke aik docgtor Julius Wgner Jauregg ko mila tha is ne atishk (syphilis) ke mareezon ko malayria ke mareez ka khoon dakhil kiya tha gtakay unhain bhi malayria ho jaye jis ke baad mein jis ke baad mein qoeenian se theek kiya ja sakta hai is tarah doctor ka khayal tha ke bukhar aur kapkapi se mareez behtar ho jata hai.

1947 mein Sir Robert Robinson ko organic chemistry ka nobel prize mila tha jisay Pakistani scientist Professor Ataul Rehman ne ghalat sabat kar diya.

1997 mein muashyat ka nobel prize Merton aur Myron ko diya gya jinhon ne derivatives ki qeemagt tay karne ka naya formula ijad kiya tha ye donon Long Term Capital Managment ke directors mein se thay. 1998 mein is company ko sirf 4 months mein 4.6 arab american dollars ka nuqsan hua aur isay federal bail out kar diya gya.

Allama Iqbal: Tayar hone wali aik khufia report mein nobel committee ke chairman ne likha tha ke nobel committee ne Allama Iqbal ko nobel prize se is liye mehroom rakha gya ke un ke nazariyat zawal pazeer Islamic world mein maghribi dunya se musabqat ke liye aik naya tehreek paida na kar dain naiz woh Muslim qaum ko aqwam-e-maghrib se bargtar samajhtay thay.
logoblog

Thanks for reading Nobel Prize History In Urdu Information Nobel Prize Hindi Essay

No comments:

Post a Comment