Paris History In Urdu - Paris shumali wasti France mein darya-e-seen ke kinare waqia aik shehar hai jo abadi ke hisab se mulk ka sub se bara shehar hai. Jis ki intizami sarhadain 1860 se tabdeel nahin hoi ki kul abadi 2,234,1055 january 2009 mein thi.
Guzashta 2000 salon se qaim ye aham shehar dunya ka aham karobari aur saqafti markaz hai aur almi siasyat, taleem, tafreh, iblagh, fashion, aloom aur fashion par is ke gehre asrat hain aur jo isay bare almi shehron mein se aik banatay hain.
Paris shehar mulk ki kul GDP ka aik chothai paida karta hai jo 2007 ke mutabiq 533.6 arab thi. Is tarah ye GDP ke lihaz se dunya ka panchwan sab se bara shgehar hai. Ye seyahat ke lihaz se dunya ke maroof tareen alaqon mein se aik hai aur salana 4 crore 50 lack afrad paris khitay ki sair karte hain jin mein se 60% ghair mulki hote hain. Yahan ki shandar aur tareekhi building, almi satah par maroof adaray aur mashoor baghat dekhne ke liye dunya bhar se tourisgts khinchay chalay atay hain.
Capital: Paris mulk ka capital hai is liye mulk ke donon ala tareen ohdedaron sadar aur wazir e azam ki rihaesh gahain yehi hai.
Paris Geography: Paris darya-e-seen ke kinare waqia hai Paris city mein darya ke 2 jazeeray bhi shamil hain jo is ke qadeem tareen hison mein se hain. Paris hamwar satah par waqia hai aur satah samandar se is ki bulandi 35 meter hai. 1860 mein Paris city ki akhri bari tausee hoi thi jis ke baad shehar ka area 78 muraba km ho gya tha. 1920 mein aik choti tausee ke sath shehar ka raqba barh kar 86.92 muraba km ho gya jisay 1929 mein khuch janglat aur parks ki paris mein shamuliatg ke sath 1055 muraba km ki mojood satah par laya gya.
Paris Ka Mausam: Paris ka weather amoomi maghribi europe ka samandari mausam hai jis par shumali oqyanoos ka gehra asar hail. Paris ke mausam ko neem martoob kaha ja sakta hai. Garmiyon ke din amooman garam aur khushgawar hote hain jin mein darja hararat 15 aur 25 darja centigrade ke darmiyan rehta hai aur zayada dhoop nikalti hai. Har saal khuch dinon ka darja hararat 32 darjay centigrade tak bhi chala jata hai. Haliya khuch years mein paris mein taweel garmi ki lehrain bhi dekhne mein ayi hain jese ke 2003 ki garmi ki lehar jub kayi hafton tak darja hararat 30 centigrade se buland raha. Is doran kayi roz buland tareen darja hararat 40 darjay se bhi uper record kiya gya aur garmi ki shidagt mein sham ke baad bhi kami dekhne mein nahin ayi.
Paris city history in hindi |
Bahar aur Khizan mein din motadal aur ragtien khubsurat hoti hain taham tagheerat bhi dekhne mein atay hain. Donon hi mausamon mein sakht sardi ya sakhgt garmi ke chand din khilaf mamool nahin. Mausam sarma mein dhoop shaz o nadar hi nikalti hai din ke waqt sardi hoti hai taham darja hararat nuqta anjmad se uper 7 darja centigrade ke aas paas rehti hai. Raat ko sardi barhne ke baes shabnam parna aur barish ka koi mausam makhsoos nahin aur kabhi bhi ho sakti hai. Barish ki salana ausat 652 mm hai. Shehar mein 28 july 1948 ko 40.4 darja aur kam tareen 10 december 1879 ko -23.9 record kiya gya.
Zaray-e-Amdoraft: Almi tijarati aur siyahati markaz hone ke baes Paris ka zara-e-amdoraft ka system dunya ke behtareen systems mein se aik hai balkeh mazeed jadeed banaya ja raha hai. Parish 2 international airports, gfast trains aur roads ke network ke zariye dunya bhar se munsalik hai.
No comments:
Post a Comment