Sari Duniya Hai Is Ki Muthi Mein,
Aisi Ijad Hai Ye Computer.
Introduction - Taruf: Allah ne insan ko behtren dimagi salahiyatein ata ki hein In behtrem dimagi salahiyaton se kam le kar insan buhat si ijadat manzar e aam par laya hai. In aijadat ne hamari duniya ko jadu nagri batadia hai. In tamam aijadat mein sab se eham scienci aijad computer ki hai. Is ne hamari zindagi mein inqalab barpa kardia hai. Dino aur maheno ka kam ghanton aur minton mein hone laga hai. Zindagi ka koi shoba aisa nahin jahan computer ka istamal na ho raha ho.
Invention of Computer - Computer Ki Ijad: Computer ne is waqt hamari duniya mein pehla qadam rakha tha jab tera so sal pehle china ke basiyon ne shumariyat ke liye ek larki ka frame aijad kiya tha. Phir france ke ek science dan pascal ne computer par khub kam kia. Aur 1642 mein dunya mein pehla computer aijad kiya. Zindagi ki degar ashiya ki tarha computer bhi artakai manazil tae karta Raha. Aj jo computer hamare istamal mein hai, computer ki jaded taren shakal hai.
Computer Ke bunyadi Hisay:
- C. P. U
- Monitor
- Keyboard
- Mouse
- Computer record ko sadiyon tak yad rakhne ki ehliyat rakhta hai.
- Computer ki thori si jaga par itna data store hosakta hai jo agar kagzat aur files ki shakal mein hon to ise senkron kamre darkar hon.
- Insan musalsal kam karne se thak jata hai. Magar computer ko dekhiye ke wo musalsal kam karta jata hai magar majal hai ke is ke kam karne ki salahiyat mein kisi kisam ki koi kami aye.
- Insan kahen bhi galti karsakta hai. Magar computer hisab kitab aur degar kamon mein bilkul galti nahin karta hai.
- Computer insan ki raftar se kai hazar guna zayada tezi se kam karta hai.
- Computer baik waqt kai kamon ko karne ki salahiyat rakhta hai.
Computer Ka Istemal (Uses of Computer): Ab hum mukhtalif shoba hae zindagi mein is ke istamalat aur fawaid par ek nazar dorate hein.
- Computer ne tamam dunya ko global village banadia hai is ke zariye hum duniya ke kisi bhi kone mein bethe admi se rabta karsakte hein.
- Computer par ap duniya bhar ki taza taren malumat hasil karsakte hein.
- Computer par kisi bhi akhbar ka online addition dastiyab hota hai. Ap jab chahen jis waqt chahen parh sakte hein.
- Computer daftar, dukanon, hawai o behri jahazon aur dusre zarae nakal o hamal mein bakhubi istamal horaha hai.
- Kutub, ikbarat o rasail ki likhai, chapwai, desgning wagera mein computer ka aam istamal horaha hai.
- Taleem o tadrees mein bhi computer ki afadiyat kisi bayan ki muhtaj nahin.
- Tib ke maidan mein computer hairan kun had tak faida mand sabit hua hai.
- Kapra banane wale karkhanay kapron ke rang aur design computer ki madad se tayar kar rahe hain.
- Juraim ki rok tham aur mujrimo ko pakarne mein bhi computer se kam liya jaraha hai.
- Zarae ablag aur nashriyat mein bhi computer istamal kia jaraha hai.
- Filmon aur cartoons ke tayar karne mein bhi computer ka kafi istamal horaha hai.
- Emarat aur gharon ke dilfareb aur dilkash designs aur araesh ka kam computer ki madad se zayada ache tareke se kiya jaraha hai.
- Qisae mukhtasir daftri hisab kitab se lekar bare bare difai aur intizami mamlat bhi computer hi ke marhon minat hokar reh gae hein.
No comments:
Post a Comment