Quetta History In Urdu Quetta City Pictures Gallery Before 1935 Quetta Information With Video

  Lal Gulab      
Quetta History In Urdu - Quetta Ki Tareekh: 1839 mein yahan ki abadi 6000 logon par mushtamil thi aur yahan kachay aur kafi puranay kahanaat ka aik shehar abaad tha aur 1839 mein hi fauj mein tabdeeli kar ke lewis force banai gyi aur angreezon se quetta par qabza kar liya aik saal baad unhon ne is shehar ko Khan Qalat ke hawalay kar diya jis wajah se 1874 tak ye alaqah us ke paas raha.Quetta Earthquake 1935: 1935 mein aik baray zalzalay ne is alaqay ko taqreeban mukamal tabah kar diya yahan khyoun ke pehle hi kacha makanat aur imaratain thien jis wajah se woh baqi na reh saki aur shehar tehs nehs ho gya taqreeban 20 hazaar janon ka zaya hua (20,000 deaths) is ke baad is shehar ko phir se tameer kiya gya ab ye alaqa aik tajarti markaz hai.

Quetta Ki Khubsurati: Qudrati nazaray, rus bharay aur zaiqay dar phalon ke baghaat na sirf andron-e-mulk balkeh mulk se bahir bhi bari shohrat ke hamil hain. Is ke ilawa Quetta ki Henna Jheel khubsurati mein apni masal aap hai. Kehtehain ke jis ne aik baar yahan ki sair ki us ka dil baar baar chahta hai ke us ka dil baar baar chahta hai ke wohis haseen aur dilfareb nazaron se bharpur sarzameen ki sair ko zaroor jaye kyoun keh is ke nazaray sari zindagi ke liye dil par naqsh ho kar reh jatay hain.
Information of Quetta In Urdu: 

Quetta Ki Fiza: Quetta ko Pakistan ke akhrot garden ke tor par bhi jana jata hai. Is ki aab o hawa khushk aur raatien sard hain. Agar aap is quetta shehar ka fizai jaeza lain tou aap ko andaza ho ga ke is shehar ke khali maidan aap ko banjar nazar nahin aayain gey balkeh wahan door door tak sabzay ka raj ho ga.

Quetta Ki Sair: Aap ko kabhi is shehar janay ka moqa milay tou aap mehsoos karain gey ke is ki
khubsurat unchi unchi pahariyan neela asman shehar ki khubsurati dobala karte hain. Shehar ka mashoor qehwa taqreeban har bazaar aur maket mein available hai. Quetta ki sair karne walon ke baray mein aik baat mashoor hai ke jo koi bhi is shehar ki sair ko jaye tou wapsi par tashnagi ka ehsas liye hue hi aye ga ke bohat kam din thay aur shehar mein dekhne ko bohat khuch tha. Quetta ke phal zaiqa aur ras mein bhi munfarid zaiqay ke hamil hain yehi wajah hai ke quetta ke phal kisi dusre alaqay ya mulk mein dastyab nahin hain is alaqay par shayed qudrat meharban hai yehi wajah hai kehyahan ke phal puri dunya mein baramad kiye jatay hain jo foran sale ho jatay hain quetta ke fruits mein aru, saib zaitoon aur dry fruits ki bharmaar hai. Jo is shehar ka khasa bhi hai.

Quetta Ke Bazaar: Sham ke waqt mein agar aap ko quetta ke bazaaron mein ghomne ka ittefaq ho tou aap mehsoos karain gey ke wahan gariyon ka dhunwan har taraf urta dikhai de ga aur ye dhunwan bhi is mahool ka hisa hai. Yahan ke rehne wale is dhunway ko na tou bura samajhte hain aur na is se uktahat mehsoos karte hain balkeh ye dhunwan ab un ki rozmarah zindagi ka hisah ban gya hai. Is ke ilawa bartanon aur degar ashya ke aap ko stalls bhi nazar ayien gey.

Markets In Quetta: Yahan ke famous bazaaron mein qandhari bazaar quetta, liaqat bazaar aur suraj ganj bazaar shamil hain is ke ilawa yahan balochi sheeshon ka kaam aur balochi karhai se aarasta jeakets sayahon ki tawajah hasil karti hain.
 
Kehte hain phalon ka mausam ho tou quetta ko kisi perfume ki zaroorat nahin balkeh qudarti phalon ki khushbu hi door door tak fiza mein rachi basi rehti hai. Quetta ko aik sayahti muqam ki haisiyat bhi hasil hai ke aap ko aksar hotlon ke bahir bhi ird gird be shumar phalon ke darakht nazar ayien gey. 

Quetta Ke Hotels: Agar aap kisi hotel ke lawn mein kharay hon tou aap ko aik ruh parwar nazara dekhne ko mile ga. Aaru ke darakhton ke sath sath zameen par sar sabz ghas tazgi ka ehsas dilati hain. 

Khubsurat Nazaray: Hanna jheel ka nazara bhi quetta city ki khubsurati ko dobala karne mein aham hai. Sayah yahan ayien aur hanna jheel ki sair zaroor karna pasand kartay hain. Aksar restaurents mein sanoobar ke darakht ki chaal se saya kar ke na sirf us ki khubsurati barhai jati hai balkeh wahan baith kar khane ka lutf hi aur ho jata hai. Khuch log jheel mein kashti rani bhi hain. Jheel mein teharti gold fish bhi jheel ka nazara pyara bana deti hai aur suraj ki roshni mein gold fish ki chamak dekhne ke laiq hai.
Quetta City Video In Urdu



City Quetta Pictures Gallery
logoblog

Thanks for reading Quetta History In Urdu Quetta City Pictures Gallery Before 1935 Quetta Information With Video

No comments:

Post a Comment