History of Gwadar In Urdu:
Gwadar dunya ke sub se baray tijarati behri rastay par waqia aik shehar hai jo apne mahl-e-waqu aur jadeed tareen bandagah ke baes almi satah par jana jata hai.
Gwadar Ki Tareekh: Gwadar aur us ke gird-o-nawah ki taikh bohat purani hai ye alaqa wadi kalanch aur wadi dasht bhi kehlata hai. 325 qabal masih mein Sikandar jub bar-e-sagheer se wapas Unaan ja raha tha tou us ne ye alawah itfaqan daryaft kiya. Aham samandari rastay par waqia hone ki wajah se Sikandar ne is alaqay ko fatah kar ke apne aik general ko yahan ka hukamran banaya jo 303 qabal masih tak hukumat karta raha. Hindustan ke mughal badshahon ke zamanay mein ye alaqa mughliya saltanat ka hisa raha. 1775 ke qareeb Muscut ke hukamranon ne tijarat ke liye is alaqay ko istemal kiya jin mein zayada tar hathi ke dant, garam masalay ki tijarat hoti.
Oman Mein Shamuliat:
1783 mein Muscut ke badsha ki apne bhai Saad Sultan se jhagra hua jis ke baes us ne Nir Naseen Khan ko khat likha jis mein us ne yahan aanay ki khawahish zahir ki aur us ne fori toor par aajanay ko kaha aur Gwadar ka alaqa aur wahan ki amdan bhi kafi arsay ke liye us ke naam kar di aur woh yahan 1797 tak rehnay ke baad wapas Muscut chala gya jahan us ne apni khoi hoi hukumat dobara se hasil kar li aur 1804 mein us ki wafaat ke baad us ke betay hukamran ban gye. 1838 ki pehli afghan jang mein Bartania ki tawaja is alaqay par honay ke baad 1861 mein Bartaanwi fauj ke major ki nagrani mein is alaqay par qabza kar liya. 1894 mein Gwadar mein pehla post office khula.
Pak Mein Shamuliat: 1958 tak Gwadar ka alaqa khaleeji rayasat Oman ka hisa tha jis ko 1958 ko 55 crore rupees mein Oman se khareed kar hukumat ne is ko tehseel ka darja de diya.
Aaj Ka Gwadar: Gwadar ka mojooda shehar aik chota sa shehr hai jis ki abadi sarkari adad-o-shumar ke mutabiq 50,000 par azad zarae ke mutabiq 100,000 afrad par mushtamil hai. Gwadar shehar ko samandar ne teen taraf se apne gheeray mein liya hua hai aur har waqt yahan samandar ki hawayien chalti rehti hain jis ki wajah se aik khubsurat aur dilkash manzar paish karta hai wese bhi gwadar ka meaning "hawa ka darwaza" hai. Gehre samandar ke alawa shehar ke ird gird mitti ki buland chatanain mojood hain. Gwadar city ke peoples ka guzar basar zayada tar machli ke shikar par hota hai aur deegar iqtisadi aur muaashi zarooratain humsaya mumalik se puri ki jati hain.
Gwadar In Future: Ye shehar mustaqbil mein aik international city ki hesiyat ikhtyar kar jaye ga aur na sirf subay balkeh mulk ka iqtsadi lihaz se aik aham shehar ban jaye ga aur yahan ki bandargah hamare mulk ke ilawa cheen, asia aur rusi rayasaton ke istemal mein ayain gi jis se Pakistan ko baish baha mehsool milay ga.
Roads In Gwadar: Shehar ki bari sarkain 200 foot aur 4 lines par mushtamil hon gi in roads ki donon janib 2/2 lines ki service road ho gi aur shehar ke main road ka naam Jinah venue rakha gya hai jo taqreeban 14 km taweel hai aur samandar ke sath sath taqreeban 24 km ki road tameer ho gi. Ye sarkain na sirf Asia balkeh Europe ki bohat si countries ke shehron se bhi bari hon gi.
Gwadar Pictures Gallery
No comments:
Post a Comment