Apni Madad Aap Speech
Khuda Ne Aaj Tak Us Kaum Ki Halat Nahiin Badlii
Na Ho Jis Ko Khayal Aap Apni Halat Ke Badalnay Ka
Apni madad aap par ye shayari is bat ki taraf ishara hai ke humain mehnat karni hai aur apne mamlaat ko zati tor par dekhna chahiye aur unhain nibtana chahiye. Agar hum koi aisa maan jo zati toor par yani khud karna jantay hain aur woh kaam hum kisi aur ko karnay ke liye keh dain tou ye apne aap ko fazool aur baykar karnay se kam nahin hai, is tarah hum mein kisi cheez ko sar anjam dene ka na hunar mojood hota hai aur na hamari shakhsiyat mein aitmad ka ansar nazar ata hai. Woh qaum jo apne kamon ke liye auron ki mohtaj ho jayain woh kabhi bhi taraqi ki seerhiyan nahin charhtien balkeh waqt ke sath sath zamane se bhi bohat pechay reh jati hain.
Agar hum apne mamlaat ko khud dekhain apne kaam khud dekhain kisi dusron ko apne mamlaat nibtanay ki zumaidari na dain tou is se na sirf hamara aitmad barhay ga balkeh hum jo karna khud karain gey woh zayada behtar aur dusron se ache andaz mein sar anjam de payain gey. Is ki aur bhi bari khubiyan hain ke khud kaam karne se is mehngai ke daur mein paison ki bhi bachat ho gi aur waqt par apna kaam nibtaya bhi ja sakta hai.
Agar is baat par amal kiya jaye tou hamaray rozmara ke mamlat bhi sahi tarah saranjamhonay lagien gey, aur dusron mein hamari ahmiyat mein bhi bohat izafa ho ga. Hamare mulk ke gaon ki sarkain intihai khasta haal hain wahan ke log aam tor par aisay hotay hain jo yehi kehtay hain ke ye kaam hakumat hai hai hum nahin karain gey par dusri taraf dunya mein aisay dihaat bhi nazar atay hain jahan ke rehnay walon ne khud ki mehnat se apne gaon bohat behtar bana diye hain. Is tarah un mu muishat bhi barhay gi aur logon ki halat bhi behtar ho gi aur ye sub apni madad karne ke faide hain.
Khud kaam karne ke fawaid ye hain ke insan zehni aur jismani tor par bhi tandrust rehta hai aur lambi zindagi jeeta hai misal ke tor par woh aurtain jo apne ghar ka kaam khud nahin kartien balkeh ghar ke kaam ke liye kisi naukar ko rakh laiti hain aur khud koi kaam nahin kartien woh zayada bimariyon mein mubtala hoti hain aur dusri taraf dihat mein rehnay wali auratain zayada kaam karti hain yehi wajah hai ke un ki zindagi zayada lambi hoti hai.
Ye sari batain humain ye batati hain ke apne mamlat khud nibtanay mein har tarah se faide hi faide hain is liye humain apne sath sath dusron ko bhi yehi mashwara dena chahiye ke woh apne rozmara ke kamon ko zayada se zayada zati tor par nibtanay ki koshish karain takay woh bhi in fawaid ke husool mein shamil ho kar apni aur mulk ki taraqi ka baes ban kar fakhar mehsoos karain aur kamyab zindagi jiyan.
No comments:
Post a Comment