Pas-e-Manzar: Jang e Yarmouk Information: Battle of Yarmouk jo 15 hijri mein lari gyi, urdan mein yarmouk naam ka aik darya hai jahan par Musalmanon aur romi faujon ke darmiyan shadeed jang hoi thi, rumiyon ne kyoun ke Musalmanon ke hathon lagatar shikastain khai thien aur shamaat se hatnay ke liye majboor hue thay is liye is koshish mein lage hue thay ke Musalmanon ke khilaf aik azeem jang lar kar inteqam lain aur is baar aik lakh fauj ko ikatha kar ke aur aik rawayat ke mutabiq 3 lakh par mushtamil lashkar banaya jinhon ne yarmouk ke maidaan par Musalmanon ke sath larai lari.
History Yarmouk Ki Tareekh: Yarmouk ki jang Hazrat Umar Bin Khattab R.A ki khilafat ke dor mein 5 rajab saal 15 hijri ko waqia hoi.
Maidan-e-Jang: Yarmouk mein Muslims ki qayadat Hazrat Abu Ubaidah ibn Al Jarrah R.A kar rahe thay, jinhon ne Musalmanon ke pehle fauji dastay ko yarmouk rawana kiya tha is ke baad Hazrat Syed Bin Aamir R.A ki qayadat mein Musalmanon ka dusra dasta rawana hua, donon faujon mein jang chhir gyi, donon taraf se hazaron fauji halak hue ya qaidi banaye gye magar aakhir kar kamyabi Musalmanon ko hasil hoi aur rumi fauj pechay hatnay par majboor ho gyi, jub is ki khabar rumi badshah harql ho di gyi jo ke antioch shehar mein baith kar apni fauj ki sarbarahi kar raha tha, khabar suntay hi woh wahan se bhag kar Istanbul chala gya aur bari hasrat ke sath kaha.
"Alwida ay sar zameen sham, kitni khubsurat zameen dushmanon ke hath lag gyi."
Natija - Result: Tarikh danon ke mutabiq is mein Musalmanon ko ko kafi nuqsan hua aur fatah ki qeemat bohat bhari thi.
No comments:
Post a Comment