Information About Malika Victoria Aur Abdul:
Ye dilchasp kahani tareekh ke safhon mein kahin gum ho gayi hoti agar London mein aik bangali sahafi aur morakh ne barson ki tehqeeq ke baad aik kitab likhi jo queen victoria aur un ke aik hindustani mulazim Abdul Kareem ke anokay rishtay par roshni dalti hai. 1887 mein malika victoria ke ahd ki golden jubilee ke moqa par un ke zati khidmat gar ki haisiyat se taj mehal ke shehar agraj se 24 saal ke Abdul Kareem ko bartania bheja gya aur dekhte dekhte ye mamooli khidmat gar malka marbatia ka qareebi dost aur motmand khas ban gya. Usay pehle munshi ka ohd diya gya aur baad mein usay malika hindustani secretary hone ka aizaz bhi mila.
Thoray arsay mein hi malika victoria aur Abdul aik dusre ke behad qareeb aa gye. Un ka ye anokha aur naqabal yaqeen rishta 13 saal tak qaim raha. 1901 mein malika victoria ki death ke hi ye sath toota. Abdul ko malika ke beton ne wapas hindustan bhej diya. Malika bartania aur aik hindustani mulazim ki ye dastan bilkul afsanwi lagti hai.
Queen Victory apne husband ki death ke baad bilkul tanha reh gyi thi aur shayed tanhai se nijat panay ke liye woh Abdul ke qareeb aa gyi thi, donon ki qurbat itni bharh gyi thi ke shahi ahalkaron ne is ki sakht mukhalfat ki.
Unhon ne ye dhamki bhi de dali ke agar woh Abdul ke sath chuttiyan manane gyi tou woh istifay de dain gey par malika ne kisi ki aik na suni aur woh us ke sath rawana ho gyi aik khubsurat jagah par jahan aik sath un donon ne waqt guzara.
Abdul se malika ne urdu bhi seekhi aur hindustan ki tehzeb-o-saqafat ki maloomat bhi hasil ki. Abdul ne malka victoria ko special indian dishes se bhi roshnas karwaya aur jub queen victoria usay letter likha karti thi tou akhir mein likhti thi tumhari qareebi dost. Queen ne usay bohat si jageerain bhi dien par 46 saal ki age mein Abdul is jahan se chala gya.
No comments:
Post a Comment