April lateeni zuban ke lafz aprilis ya aprire se makhoz hai, jis ka matlab hai phoolon ka khilna, qadeem roomy mausam bahar ki amad par sharab ke devta ki parastish karti aur usay khush karne ke liye log sharab pee kar ont pataang harkatain karne ke liye jhoot ka sahara laite hain. Ye jhoot rafta rafta april fool ka aik aham hisa balkeh ghaib hisa ban gya. Encyclopedia international ke mutabiq maghrabi mulkon mein 1st april ko amli mazaq ka din qarar diya jata hai.
Is din har tarah ki harkatain jhoot hoti hai aur jhotay mazaq ja sahara lay kar logon ko bewaqoof banaya jata hai. Afsoos ke ye fazool rasam muashray ka aik aur lazim hisa ban chuki hai aur Musalman apne hi Musalman bhaiyon ki tabahi par khushi ka din manate hain aur apne hi Musalman bhaiyon ko fool bana bana kar un ko musibat mein dhakeel detay hain.
Information April Fool Ki Haqeeqat - Fact of April Fool History In Islam In Urdu
April fool kyoun manaya jata hai? Jub aisae fauj ne spain ko fatah kiya tou us waqt whan ki zameen par Musalmanon ka itna khoon bahaya gya ke fateh fauj ke ghoray jub galiyon se guzartay thay tou un ki tangain ghutnon tak Musalmanon ke khoon mein doobi hoti thien. Jub qabiz afwaj ko yaqeen ho gya ke ab spain mein koi bhi Musalman zinda nahin bacha tou unhon ne giraftar Musalman farman rawa ko ye mauqa diya ke woh apne khandan ke sath wapas marakash chala jaye jahan se us ke aba-o-ajdad aye thay. Qabiz fauj gharnata se koi 20 km door aik pahari par usay chrr kar wapas chali gyi.
Jub aisae fauj Musalman hukamranon ko apne mulk se nikaal chuki tou phir hakumati jasoos gali gali ghoomtay rahe keh koi Musalman nazar aaye tou usay shaheed kar diya jaye, jo Musalman zinda bach gye woh apne alaqay chorr kar dusre alaqon mein ja basay aur wahan ja kar apne galon mein salaibain daal lien aur aisai naam rakh liye. Ab bazahir spain mein koi bhi Musalman nazar nahin araha tha, magar ab bhi aisaion ko yaqeen tha ke sare Musalman qatal nahin hue khuch chhup kar apni shanakht chhupa kar zinda hain. Ab Musalmanon ko bahir nikalne ki tarkeeb sochi jane lagien aur phir aik mansooba banaya gya. Puray mulk mein elaan hua ke 1 April ko tamam musalman gharnata mein ikathay ho jayain, takeh unhain un mumalik mein bheej diya jaye jahan woh jana chahain. Ab chunkay mulk mein aman qaim ho chuka tha aur Musalmanon ko khud zahir hone mein koi khauf mehsoos nahin hua. March ke puray maheenay elaanat hote rahe. Alhamra ke nazdeek baray baray maidanon mein kheemay nasab kar diye gye, jahaz aa kar bandargah par langar andaz hote rahe, Musalmanon ko har tareeqay se yaqeen dilaya gya tha ke unhain khuch nahin kaha jaye ga.
Jub Musalmanon ko yaqeen ho gya keh ab hamare sath khuch nahin ho ga tou woh sub gharnata mein ikathay hona shuru hue. Is tarah hukumat ne tamam Musalmanon ko aik jagah ikatha kar liya aur un ki bari khatar madarat ki.
Tareekh ke safhon ko parha jaye tou ye koi 500 saal pehle 1 april ka dil tha jub tamam Musalmanon ko behri jahaz mein bithaya gya. Musalmanon ko apna watan chortay hue bari takleef ho rahi thi magar itminan tha ke chalo jaan bach gyi. Dusri janib aisai hukamran apne mahal mein jashan manane lage.
Generals ne Musalmanon ko alwida kiya aur jahaz wahan se chal diye. Un Musalmanon mein burhay, jawan, khawateen, bachay bhi thay. Jub jahaz samandar ke ain wast mein pohanchay tou mansooba bandi ke teht unhain gehre pani mein dabo diya gya aur youn woh tamam Musalman samandar mein abdi neend so gye.
Is ke baad spain bhar mein jashan banaya gya ke hum ne kis tarah apne dushmanon ko bewaqoof banaya. Phir ye din spain ki sarhadon se nikal kar puray europe mein fatah ka din ban gya aur isay english mein first april fool day ka naam diya gya yani yakam april ke bewaqoof. Aaj bhi aisai dunya mein is din ki yaad baray ahtmam se manai hai aur logon ko jhoot bol kar bewaqoof banaya jata hai.
Ye rasam haram hai is rasam ke bohat se nuqsanat hain un mein se khuch darj zial nuqsanat hain:
- Allah ki narazgi.
- Musalman behan bhaiyon ki tabahi ki khushi manana aur unhain mushkil mein dalna.
- Dushmanon ki khushi mein shirkat karna.
- Dunya aur akhrat mein khasara.
No comments:
Post a Comment