Aik mashoor musanif jin ka naam H.P. Lovecraft hai unhon ne aik baar kaha tha keh samandar paharon se bhi zayada qadeem hain aur yaadaashton aur waqt ke khawabon ka bojh uthaye hue hain.
Jahan is samandar ne bohat se logon ki jaanain li hain wahin ye samandar bohat se logon ka ghar chalanay ka baes bhi hai. Sadiyon se mahi geer samandar ka seena cheer kar machliyan pakarnay ki koshish kar rahe hain aur apne liye rozi talash kar rahe hain. Lekin kya aap ye baat jantay hain keh dunya mein aik samandar aisa bhi hai jahan koi machli hi nahin hai. G haan aap ne sahi suna dunya mein aik samandar aisa hai jahan machli ka naam o nishan tak nahin hai.
Main baat kar raha hon usi samandar ki jis ke bare mein maine aap ko abhi bataya hai yani bariha murdar ki is samandar ko english mein dead sea ke naam se jana jata hai. Ye Allah Ta'ala ke azab ki nishani hai ye qaum e loot par azab ke natijay mein zahir hua. Allah Ta'ala ki narazgi ki wajah se is samandar mein koi machli zinda nahin reh sakti zinda rehna tou door ki baat hai is samandar mein koi samandari makhlooq paida nahin hoti. Is samandar par log tafreh karnay atay hain lekin ye koi tafreh ki jagah nahin hai ye ibrat ka muqam hai, ye Allah Ta'ala ke azab ki nishani hai.
Dead Sea ke bare mein aik haqeeqat ye bhi hai keh is samandar ke kinaron par jitna namak paya jata hai utna namak dunya ke kisi aur samandar ke kinare par nahin paya jata.
Page 1, Page 2
No comments:
Post a Comment