Ovulation Days Urdu Calculator Ovulation Symptoms Hindi Ovulation Period Calendar

  Lal Gulab      
Fertility Information In Urdu Ovulation Calculator In Hindi

Ovulation Days In Urdu: Har aurat ke ayam ke auqaat mukhtalif hote hain agarcheh zayada tar ki beeza rezi 14 din par hoti hai lekin khuch auraton ki thorra pehle ya thorra baad bhi ho sakti hai. Aap hamal ke liye behtereen waqt maloom karne ke liye beeza rezi calendar yani ovulation calendar bhi istimal kar sakti hein. Agar aap ke liye mahwaari ke din maloom karna mushkil hai to phir mukhtalif test ki madad se bhi hamal ke behtereen waqt ke liye beeza rezi ka waqt maloom kiya ja sakta hai.

Yaad rakhein ke har maheeney beeza rezi ke waqt ki peshan goyi nahin ki ja sakti. Beeza rezi ke waqt me khuch din pehle aur baad ka raddo badal ho sakta hai aur ho sakta hai ke kisi maheeney aap ko ovulation na ho. Har maheeney 28 din par mushtamil in ayyam mein se hamal ka behtareen waqt daswen din (10th day) se le kar atharwen din (18th day) ke darmyan hota hai. Pas in ayyam mein apni alamaat aur nishaniyon par nazar rakhein. 

Ovulation Symptoms Urdu Baar Awri Ke Nishan /Alamat

 
Ovulation ki alamat har orat me mukhtlif hoti hai ye bhi ho sakta hai khuch khawateen is ko mehsoos hi na karain. Is ke sath sath har orat mein anda anay ka waqt mukhtalif hota hai. Khuch oraton mein ye har mahinay poray waqt par usi din ata hai, aur dosri auraton mein ho sakta hai ye har month mukhtlif ho.

Pehla marhla ke aap ka anda kab girta hai ye janna hai ke us ki alamat kya hoti hai. Agla marhla ye hai ke aap ko in alamaat aur nishaniyon ko pata karna hai. Hamal hona anda girnay ke sath taluq rakhta hai, is liye aap ko baar awri aur ye kis tarah hoti hai is ka pata lagana zaroori hai. Ab ye waqt hai ke aap ko pata ho ke anda kese aur kab girta hai is ki alamat kya hai ta keh aap jaldi hamla ho sakain.

Alamat Jo Har Aurat Mein Zahir Hoti Hai

Har orat mein alamat mukhtlif hoti hai aur kuch auraton mein koi alamat zahir nahin hoti.

Greva Sayal Mein Tabdeeli

Pani ya jelly ki tarah garha sayal mada batata hai ke aap baar awri ke nazdeek hain ya ho rahi hain. Har orat mein ye mada different hota hai ye aik tarah ka nahin hota. Anda amooman us din girta hai jub sab se zayada geelay'pan ka ehsaas ho. Bohat si aisi cheezain maujood hain jo ke is mady ko barha sakti hain agar koi masla ho to.
Darja Harat Mein Tabdeeli

Bohat si aurato mein aap dekhain gi ke anda girney se pehly temperature aik jaisa rehta hai. Jaisey he aap is amal ke qareeb hoti hain aap ka darja harat thora kam ho ga magar ye aik dam anda girny ke baad barh jata hai. Darja hararat mein tabdeeli alamat hai ke anda aa chuka hai. Agar aap chand maheeno tak apne darja harat ka dhiyan rakhain tou aap ko anda girney ka bohat asani se pata chal sakta hai.

Crevics Ki Jagah Aur Sakht Mein Tabdeeli

Jab aurat anda girny ke marhly se guzarti hai to cervics mein bohat si tabdeeliyan hoti hain. Anda girny ke waqt mein ye narm, onchi, khuli aur geli hoti ha. Khuch auraton ko ye jan'ny me waqt lagta hai ke un ki cervics aam halat mein kaisi hoti hai aur anda girny ke doran kya tabdeeli aati hai.

Ye 3 nishaniyan aur alamat aap ko bata sakti hain ke aap kis tarah apna anda girney ke waqt ko maloom karain. Agahi barae baar awri ne bohat si khwateen ko hamla hone aur bachney mein ye maloomat di hain.

Baar Awri Ki Dusre Darja Ki Alamat

Yahan par aur bhi bohat si alamat hain jin ko in 3 alamaat ke sath auratein dekhti hain, in ko dusre darja ki alamat kehte hain jo ke ho sakta hai ke har orat mein na nazar aye ye symptoms darj zail hain.

  •  Halki Dard Ya Khichao Naf Se Nichle Hisay Mein
  • Halka Dagh Lagna
  • Pait Phoolna 
  •  Jinsi Khawahish Ka Barhna 
  • Hisyat Nazar, Samat Aur Songhny Ka Zayada Hona
Ovulation ki symptoms ko jan'na aur pahchana kuch khawateen ke liye start mein bohat mushkil hota hai magar baad mein woh bohat asani se maloom kar leti hain ke un ke mahana doraniye ka kon sa waqt chal raha ha. Baar awri ke waqt ko jan'na aap ki bohat madad kar sakta hai ke aap apne mahana doraniye ko achi tarah jaan sakain.

Aap Ka Agla Qadam
  • Ovulation kit aur arorta kit ke bare mein janna 
  • Bar awri kit khareedna (optional) 
  • Ovulation (baar awari) ke bare mein baar baar kiye jane wale sawalat ko parhna.
  • Hamal ke 40 hafton mein apni aur bache ki dekh bhal kaise karni hai.
Ovulation Calculation In Urdu

Ovulation calendar kaise use karte hain? is ke liye aap kisi bhi search engine mein likhain fertility calculator online ya aap ovulation calculator bhi likh sakti hain is ke ilawa bohat si mobile apps bhi hain jinhain aap apne mobile mein download kar ke bhi apne most fertile days ke bare mein information hasil kar sakti hain. Barhal jub aap kisi bhi site mein ye calculator open karain wahan aap ko apne pechlay menses ki date likhni paray gi aur ye likhna pare ga ke aap ke periods kitnay days baad hote hain aam tor per 26, 28 days hote hain per jin ka dorana is se kam ya zayada ho woh apne hisab se maloomat darj karain. Hamari koshish hai ke is site per hi aap ko jald is calculator ki sahoolat faraham ki jaye is ke liye hamari team kaam kar rahi hai.

What To Do After This Step

Is marhalay ke baad agar aap ko mahwari na ho tou aap samajh sakti hain ke aap hamla hain aur is arsay mein aap kya tabdeeliyan mehsoos karain gi ya aap ke anay wala bacha kaise barh raha hai kis maheenay bacha kitna ho ga aur ankhain, dil aur dusre hisay kab banain ge aur us arsay mein kya khana chahiye kis se perhez karna chahiye in sub ke liye dekhiye isi site mein pregnancy ka section ya hamal ke hafton se mutaliq janiye jo hamara copyrighted material hai jisay lalgulab ki medical team ne aap ki asani ke liye likha hai is liye ye is site ke ilawa aap ko dunya bhar ki kisi dusri urdu medical website mein nahin milay ga.

Still Confused?
Agar in maloomat ke baad bhi aap ke zehan mein koi sawal hai tou apna sawal comment mein likhain medical team mein se koi numainda aap ke sawal ka tafseel se jawab de ga.


Incoming Search Terms:
  • ovulation meaning in urdu
  • ovulation information in urdu
  • ovulation cycle in urdu
  • ovulation days after period in urdu
  • ovulation calculator for baby boy in urdu
  • ovulation days to get pregnant in urdu
  • ovulation video in hindi
  • fertility tips in urdu
  • ovulation signs test and process
logoblog

Thanks for reading Ovulation Days Urdu Calculator Ovulation Symptoms Hindi Ovulation Period Calendar

No comments:

Post a Comment