Arabic Makeup Urdu Tips Arabic Makeup Karne Ka Tarika In Hindi Arabic Eyebrows

  Lal Gulab      
How To Do Arabic Makeup Karne Ka Tarika In Urdu: Wese to har mulak kay culture or riwayat ak dosary say mukhtalif hein, lekin is kay bawajood makeup ki duniya mein dosary mumalik ki techniques or in kay tareeqy bohat shoq say apanaye jaty hein. Is ki waja ye hoti hai kay is say mukhtalif makeup karnay kay tareeqon kay sath sath makeup kay mukhtalif andaaz dekhany ko miltay hein. Hamaray yahan bh indian style western style or arabic style ko na sirf azmaya balkay pasand kia jata hai. Iski sab say bari waja ye hai kay arabic makeup mein ankhon par khas tawajo di jati hai. Yahi waja hai is makeup mein sab say ziada numayan bhi ankhen hoti hein.

Ziada tar arabic makeup amoman gehry rangon or chamaktay huye eye shades par mushtamil hota hai. Is makeup kay doran sab say ziada blue dark green, purple pink, meeron or golden rangon ka istaimaal kia jata hai. Amoman khaleeji mumlik r arab mumalik say taluq rakhany wali khawateen apni ankhon ko mazeed khoobsurt dekhany kay liye makeup ka istaimaal bhi karti hein. Yahi waja hai arabic makeup dunia bhar mein apni alag shanakhat rakhta hai or is makeup ki techniques ko dunia bhar ki khawateen apany apnay tareeqy say azmati nazar ati hein.

Hamaray yahan kuch khawateen shayad is makeup k bary mein janti hon. Magar wo khawateen jo arabic makeup k baray mein nahi janti or unhon nay aaj tak arabic makeup ki koi techniques nahi azmaein, wo zaeel bataye janay wali in makeup ki techniques ko azma kar ghar par hi arabic makeup karna seekh sakti hein.

Sab say pehlay chehray par apni jild ki rangat ko mady nazar rakhartay huye foundation lagaein. Ankhon kay neechay agar halkay hein to ap concealer laga kar apany halkon ko chupaein or phr foundation ki ak teh lagaein. Is kay baad brush ki madad say translucent powder lagaein is tarhan base apni jagah par kafi dair tak barqarar rahe ga.

Is kay baad ankhon par skin color ka eye shade eyebrows kay neechay say kar eye lid tak laga lein. Ye skin colour ankhon kay base kay tor par kaam day ga. Is kay upar jo bhi rang lagaya jaye ga wo waziah hoga. Phir blue colour ki pencil say ankh kay darmian say bahir ki taraf jaty huye "V" banayein.

Banaye gaye "V" ko brush ki madad say blend karein or sath hi blue or purple rang kay eyes shade ko mix karty huye "V" ko blend karein. Yaad rahay blending "V" kay beeroni hisay ki taraf karni hai. Pencil say banaye gaye "V" kay andaroni hisay mein phr sakin colour lagayein or phr us kay upar dark meeron colour brush ki madad say lagaein or achi tarhan blend karein. Blending is tarhan honi chahiye k "V" eaziah rahay or blending bhi ho jaye.

Phir ankh kay nichalay hisay par pehlay purple pencil say line banaein phir blue or phir black eye pencil say line banaein. Ankhon kay eyelid par eye linner es tarhan lagaein kay wo banaye gaye "V" say bh agay nikalta hua mehsoos ho. Eye linner ki line motti rakhein taakay achi tarhan waziah ho phir nakali palkein lash glue ki madad say chipkayein. Linner ko dobara waziah karein. Akhir mein maskara lagaein taakay asali palkein or nakali palkein alag alag mehsoos na hon. Eyebrow kay neechay light golden colour ki highlight karein or eyebrows ko brown or black eyeshaded ki madad say waziah karein. Eyeshado lagatay waqt koi bhi colour apni marzi say agay ya peechay kia jaa sakta hai.

Eye linner ki line motti rakhein taakay achi tarhan waziah ho phir nakali palkein lash glue ki madad say chipkayein. Linner ko dobara waziah karein. Akhir mein maskara lagaein taakay asali palkein or nakali palkein alag alag mehsoos na hon. Eyebrow kay neechay light golden colour ki highlight karein or eyebrows ko brown or black eyeshaded ki madad say waziah karein. Eyeshado lagatay waqt koi bhi colour apni marzi say agay ya peechay kia jaa sakta hai. Eye linner ki line motti rakhein taakay achi tarhan waziah ho phir nakali palkein lash glue ki madad say chipkayein. Linner ko dobara waziah karein. Akhir mein maskara lagaein taakay asali palkein or nakali palkein alag alag mehsoos na hon. Eyebrow kay neechay light golden colour ki highlight karein or eyebrows ko brown or black eyeshaded ki madad say waziah karein. Eyeshado lagatay waqt koi bhi colour apni marzi say agay ya peechay kia jaa sakta hai. Is kay baad peech or gulabi rang ka blush on gaalon par lagaein or golden high lighter gaalon ki upar wali haddi naak or paishani par lagaein. Pink colour ki lipstick say hoonton ki outline banayein or darmiani hissay par halkay gulabi rang ki lipstick lagaein. Akhir mein lip gloss lagaein. Is tarhan arabic makeup mukammal ho gaya ab to aap bhi ba khushi keh sakti hein mujhay bhi arabic makeup karna ata hai.
logoblog

Thanks for reading Arabic Makeup Urdu Tips Arabic Makeup Karne Ka Tarika In Hindi Arabic Eyebrows

No comments:

Post a Comment