7 Weeks Pregnant Urdu 7 Week Pregnancy Hindi Hamal Ka 7 Hafta Satwan

  Lal Gulab      
7 Hafte ka Hamal - 7 Week Pregnancy In Urdu / Hindi

Seven - Saat Haftay Ka Hamal Information - 7 Weeks Pregnancy Symptoms In Urdu
Ye article 7 weeks pregnancy in urdu hai is satwein haftay mein hamal ki tamam maloomat aap ko yahan parhne ko milain gi.

Aap Ke Sath Kya Ho Raha Hai?

Hamal Ka Satwan Hafta
Abhi tak khud ko thaka hua aur beemar mehsoos kar rahi hein? Lekin badqismati se aap mehsoos karein gi ke aap ki alamat is haftey mein bhi wese hi jari rahein gi aur aap ki khuch khaas cheezon ko khane ki khwahish aur khuch cheezon ki khushboo aap ki bhook aur jazbaat par herat angezana tor pe asar daley gi. Ye sab aap ki subha ke waqt mati ke sath mil kar aap ki halat ko aur ziada qabil e rehem bana sakta hain. Pas hamal ke doraan khaney ki maiz par in 3 asoolon ko zehen mein rakhein ta keh aap pareshani se bach sakein, thorri miqdaar mein khayein, aahista se khayain aur baar baar khayain. Is ke ilawa hamal ka ye waqt woh sab nahin laye ga jis ki aap tawaqqo kar rahi hein. Wazan ki ziyadati ya wazan ki kami, matli ya bilkul dil kharaab na hona, bhook ki kami ya bohat ziada bhook lagna, aap hamesha ye tawaqqo nahin kar saktein ke aap ke sath kesa tajurba ho ga aur kis waqt ho ga.  Hatta ke aap pehle bhi haamla reh chuki hon. Agar aap ko matli nahi ho rahi aur aap raat mein 5, 6 martaba hajat ke liye nahin uth rahein tou apne aap ko khush qismat samajhty huey ye yaqeen rakhein ke is se aap ki sehet aur aap ke bache ki nasho numa par koi asar nahin parr raha.

7th Week Mein Aap Ke Bache Ka Wazan Aur Size Kitna Hai Janiye
7th Weeks Pregnant Hone Par Aap Ke Bache Ka Is Waqt Size Aik Blueberry Jitna Hai
Aap ka bacha bohat taizi se barh raha hai aur is saat haftey ke aakhir mein woh aadha inch ya 1.3 cm tak lamba ho jaye ga. Pichle haftey aankh naak aur munh ka jo halka sa nishaan tha wo is haftey ziada wazeha ho jaye ga. 7 haftay ke bache mein chotti si baazu aur taang ka nishan bhi namodaar ho jaye ga. Dil jism mein zahir hona shuru ho jaye ga aur jese ke is ne khoon pump karna bhi shuru kar diya hai aur phaiphrre ban’na shuru ho jayin gey.

Aap ka meda (stomach) shayed be chain ho lekin aap ke bache ka nizaam e hazam bilkul darust hai. Lablaba ban chuka hai aur aantein ban’ne ja rahi hein, aanton ka gucha ubhhar ki soorat mein naaf banaye ga. Hala’n keh abhi tak bacha emryo hi kehlaye ga lekin ab woh berooni aur androoni tor pe bache jesa dikhne lage ga.

Hamal Ke Satwein Hafte Ke Bare Mein Aham Batein

Kya aap soch sakti thein ke aap ke andar itni taaqat ho gi ke aap ka bacha usey apne pait mein zakheere ke tor pe jama kar le ga apne aane tak ke liye… jab keh aap is besakooni aur thakawat se larr rahi hein aur aap ka ziada tar waqt aur tawanayi aap ke jazbaat ki nazar ho jata hai. Bache ke liye aik mukammal jannat ka khawab dekhne mein koi harj nahin. Lekin aap apne masroof din mein khareedari karne ka bilkul na sochein jab ke aap khud ko bilkul theek mehsoos nahin kar rahein. Aap abhi sirf 7 haftey ki hamla hein aur abhi cheezon ko tarteeb dene ke liye bohat sa waqt parra hai.

Agar aap bache ke shuru ke dinon mein istemal ke liye koi cheez khareedna chahti hein tou aesi cheez le lein jo is waqt aap ke kaam aa sake. Aik achi takye wali ghoomne wali kursi aap ki bache ke kamre mein aik achi cheez hy, bal’ke ye aap ki besakooni aur pareshani ko bhi kam karti hai. Ghoomna aap ke B.P ko kam karta hai, aap ki saans ko halka karta hai aur aap ke dimagh mein khushi peda karne wale markaz ko mutaharrik karta hai. Aik dafa bacha aa jaye ga tou aap bhi khush ho jayein gi aur aap usey dair raat doodh pilaane aur usey sakoon se sulaaney mein is ghoomne wali kursi ka istamal karen gi.

Bunyadi Tibbi Zarooratein

Apne mualij ke mashware ke baghair bohat ziada adwiyaat ka istamal band kar dein. Khuch khwateen halki si besakooni par bhi khuch be zarar adwiyaat ka istamal karna shuru kar deti hein lekin ye adwiyaat utni hi nuqsan deh hein jitni ke doosri khatarnaak dawaein. Ye batana mushkil ho ga ke konsi dawai mehfooz hai aur konsi nuqsan deh.  Lehaza  apne mualij, dai ya adwiyat farosh ki hidayaat pe bharosa karein aur har us cheez ko lene se gureez karein jo aap ke bache ki nashonuma ke is ehem marhale mein nuqsan deh saabit ho. Agar aap ki jaani boojhi dawai se koi farq nahin parr raha tou kisi doosre tareeqe se apne hamal ki alamaton ko door karne ka tareeqa daryaft karein.

Aik homeopathic tareeqa e ilaj aap ki matli ki kefiat ko aram pohanchane aur aap ki tawanai ko barhane ka behtareen tareeqa hai. Is ke ilawa bhi bohat se doosre ache tareeqe hein jo muawin saabit ho saktey hein. Reflexology bhi aik aesa tareeqa e ilaj hai jo aap ke paaon mein mukhtalif jaghon par dabao daal ke aap ke hormone ke nizaam ko behter banata hai. Acupressure bhi is se milti julti taqneek hai jo khaas hisson pe dabooa daal ke ilaj karti hai. Acupuncture bhi isi tarha ka tareeqa hy jis mein jism ko chubhne wali sui se ilaj kiya jata hai. Agar aap jismani tor pe aese tareeqon se ilaaj nahin karana chahtein to doosre bohat se tareeqe hein. Agar aap jarri bootion se tyar karda adwiyaat ko sakoon ke liye lena chahain ya aromatherapy ( jo phoolon ki khushbu se ilaj karte hein) kyun ke bohat se plants hamal mein ba hifazat istimal hotey rahe hein lekin ye baat bhi zehen mein rakhein ke kuch jarri bootian aur kuch khushboo aap ke liye bohat ziada nuqsan deh ho sakti hein. Doosri dawaion ki tarha matabadil adwiyaat ko bohat ehtiaat se istamal karna chahye. Kisi bhi treatment ya qudarti dawai ke istemal se pehle kisi mahir doctor se mashwara karein ta keh hamal ke khatrat, medicine ki taseer aur munasib istemal ke bare mein jana ja sake ke aap khud ko kin cheezon mein daal rahi hein.

Aap Ke Sathi Ke Liye Tajaweez

Bache ki nashonuma ki sharah barh rahi hai aur aap ki sathi ziada tar waqt ab bechain rahain gi. So aap apna amal aur apna ravaiya us ke mutabiq rakhein. Subha ke waqt tabiyat ki kharabi mein us ka sath dein, us se tawun karein, usey ye ehsaas dilayein ke woh khul ke apni kefiat bayan kar sake aur is mamle mein khud ko azad samjhe ta'keh us ki pareshani mein kami ho. Is waqt mein yaqeenan kuch uljhanein aur pareshanian hon gi lekin koshish karain ke ye sab kuch qabu se bahir na ho. Aqalmandi ye baat samajhne mein hi hai ke ye becheeni kahan se aa rahi hai aur isay kese behtereen tareeqe se hal kiya jaye. Bohat sare mamlaat mein us ka ghussa, tanqeed aur ikhtilaaf us ke hormones ki kami ziyadati ki wajah se hai aur woh is mamley mein beqasoor hai. Yaqeenan us ke ghussey ki wajah jaan lena us ko pursakoon nahin kare ga bal keh aap khud ko itna mutmaen aur pur sakoon kar lein ke us takleef mein ghirey huey sathi ki aziyat mein kami aa jaye.

Kya Hamal Ke Is Waqt Mein Apne Shohar Ke Sath Jismani Taluqaat Theek Hein?

Agar aap subha ke waqt matli aur breast mein dard se ziada halkaan nahin hein tou aap ye teh kar sakti hein ke aap taluqaat rakhna chahti hain ya nahin. Jinhain hamal ke doraan kisi kisam ki koi pecheedgi na ho un sehet mand maaon ke liye hamal mein mubashrat karna 100 % mehfooz hai. Amniotic sac ( bache ke gird jhilli ) bache ko mehfooz rakhe gi aur aap ki bache dani ke mazboot patthey usay har qism ke dabao se mehfooz rakhein gey. Kafi had tak yaqeen hai ke aap ka jism moassar qudrati zaraye istemal kar ke apne pait ko bahir ki dunya se alag rakhta hai. Ab aap ki cervix (bache dani ka nichla hissa) mazboot aur moti hai, kuch izafi khoon ki ragein aap ki bache dani ke munh wale hissey mein ban jaen gi aap ke hamal ke doran. Jo aap ko mubashrat ke doran uljhan peda kar sakti hein. Baaz auqaat is ki wajah se mubashrat ke doran thorra sa khoon ka dagh lag sakta hai jo bilkul fikar wali baat nahin hai. Lekin agar aap mubashrat ke doran aur baad mein anjani si dard ho ya khoon aata rahe to is ki taraf tawajo dain aur apne mualij se mashwara karein ta keh koi masla ho to maloom kiya ja sake.

Mere Breast Aur Tangon Par Gehri Neeli Line Namodar Ho Rahi Hai Kya Mjhe Varicose Veins (Aik Beemari) Ho Rahi Hai?

Nahin aap ke jism pe zayada tar neeli lines woh izaafi ragein hein jo aap ke jism mein izafi miqdar mein khoon le jane ke liye ban gyi hein. Aur ye aap ke hamal ke tamam waqt rahein gi, bal keh ye aik achi nishani hai ke aap ka jism hamal ke sath sath khud ko tabdeel kar ke aap ke bache ki nashonuma mein madad kar raha hai. Koi bhi chotti bareek rag jo aap ki tangon pe nazar aane lagi hai woh spider rag kehlati hai, ye bilkul mamooli, ziada tar aarzi aur varicose veins se kam khatarnaak hein. Is ke muqabley mein varicose veins moti, bahir ko nikli hui, gehli neeli ya jaamni aur dard karti hui ragein hein jo aap ke valves kamzoor hone ki wajah se ya hormones mein tabdeeli ki wajah se hoti hein. Badqismati se varicose veins ziada tar moroosi hoti hein aur ye hamal kuch masayel peda kar sakti hein agar aap ka wazan bohat ziada ho. Pas agle 8 months mein munasib warzish karein aur agar aap ke khandaan mein varicose ka masla hai tou apne mualij se fori tor pe mashwara karein.

Mere Rawaiye Ke Utar Charhao Bohat Zayada Ho Gaye Hain Kya Main Is Silsile Mein Khuch Kar Sakti Hun?

Badqismati se aap ke rawaiye ke utaar charhao kuch khawateen mein bohat jaldi shuru ho jate hein aur ye puray 9 maheeney tak chaltey rehtey hein. Agar aap aasaani se roney lagtey hein ya apne ghussey par sharminda hote hein tou aap ko chahiye ke apne rozana ke mamool par nazar dorrayein aur jo cheezen aap ko uljhan mein daal rahi hein un se gurez karein. Pehli cheez ye hai ke aap apne aap se pareshani ko door rakhein ya phir pareshani wali baat se khudi door rahein. Apni kefiat ko bayan karein aur apni pareshanion aur namumkinat ko aqalmandi se aur taizi se hal karne ki koshish karein. Agar koi cheez aap ke jazbaat ko gussey par ubharti hai to us se door rehne ki koshish karein, agar aap kar sakein tou. Pareshani ke ilawa kuch khwateen khaney ki kuch cheezon se bhi uljhan mehsoos karti hein. Jese ke cheeni aur caffeine aap ke ghussey ko ziada ubhaar saktey hein. Agar aap ko meetha khaney ki bohat khwahish ho tou phal khaya karein aur apne mualij se mashwara karein ke wo aap ko jarri bootion wali koi chaye bata dein is se aap ka dimagh aur jism pur sakoon rahe.

7th Week Pregnancy Tips In Urdu Care 7 Week Pregnancy In Hindi
Aap ki naaf wali jagah woh pehli cheez hai jo hamal mein sab se pehle tabdeel hoti hai jazbati adam istehkaam pehle 3 maheeno (first trimester) mein urooj par hoti hai, nateeja barri pareshani, yaqeenan. Aap ka pait barra mehsoos hone lage ga is se pehle ke ye gol soorat ikhtyar kare aur aap ki breast bhi barri hone ki wajah se aap ka jism mustateeli soorat ikhtyar kare ga. Lekin roney ki bajaye aap aaeney mein dekhein, apne tang wale kapre phaink dein aur apni jisamat ki bina par khule bra istamal karein aur apne jism ki har haftey tasveeren lein isi soorat mein aap in khuley kapron mein itminaan mehsoos karein gi aur apne barhte pait aur taizi se nashonuma patey bache ko dekhein jo aap ke baqi jism ki nisbat hamal mein taizi se barra ho raha hai.
logoblog

Thanks for reading 7 Weeks Pregnant Urdu 7 Week Pregnancy Hindi Hamal Ka 7 Hafta Satwan

No comments:

Post a Comment