Twin Pregnancy Urdu Symptoms Baby Twin Pregnancy In Hindi Judwa Bache Ki Alamat

  Lal Gulab      
Twin Pregnancy Symptoms In Urdu Twin Babies In Hindi

Complete Information About Twins Pregnancy In Urdu

By LalGulab Medical Staff  (Sehrish)

Twin Pregnancy Ki Alamat Pregnant With Twins In Urdu

Pehla sawal jo har hamla khatoon pochti hai kya mere judwa bache hein? Jab tak ke yaqeen na ho jaye ke aik hi embryo ( bacha ) bache dani mein mojood hai tab tak is baat ki umeed rehti hai. Jin auraton ke khandaan mein jurwan bachon ki pedaish ki tareekh milti ho ya jo pichle hamal mein jurwa bache paida hue hon un mein judwa bachon ke chances zayada hon ge kyoun ke baar awri ki khuch qismon mein aik se zayada bachon ki pedaish ka moqa zayada hota hai. Is ki tasdeeq wiladat se pehle kiye gye tests se ho chuki hui hai ke aise logon mein jurwa hamal ki umeed zayada hoti hai.

Mere Andar Kya Hai?

Khuch auraten twins babies ki pedaish ke khayal se hi bohat khush hoti hein jab ke dusri khuch auraton mein is ke honay ka bohat khoof paya jata hai. Aap ke khayaal par aap ke zaati tajurbe aur pichli tareekh ( history ) ka bohat asar hota hai.

Woh khawateen jin ko is se mutaliq khatraat se aagah kar diya jata hai ya jin ke khoon ke rishtey daron mein judwa baby ki pedaish ho chuki ho un mein jurrwa hamal ki tasdeeq hone se koi sadma nahin pohanchta. Lekin wo khawateen jo aik bache ki wiladat ki umeed lagaye hon ya pregnancy hone ke liye zehni tor par tyar na hon un ke liye hamal wo bhi twin pregnancy bohat heraan kun hota hai.

Sadma, be hissi aur ghussa wo mamooli jazbaat hein jo jurwan bachon ki tasdeeq hone ke baad saamne aatay hein. Lekin waqt guzarne ke sath sath wo is haqeeqat ko tasleem kar leti hein aur ye baat maan leti hein ke un ke jurwa bache hein.

Twin Pregnancy Mein Kon Si Baat Mukhtalif Hoti Hai?
 
Jurwan hamal ki alamat jise english mein twin pregnancy symptoms kehte hain dusre hamal se bohat zayada mukhtalif nahin hotein, lekin ye bohat jaldi mehsoos hone lag jati hein. Twin pregnancy ki alamat dusre hamal se bohat zayada wazeha aur bohat jaldi ibtadayi marhaley par hi mehsoos hona shuru ho jati hein. Ye baat yaad rakhna zaroori hai jese har aurat munfarid hai aur us ka hamal infaradi hai isi tarah judw pregnancy ki bhi apni bunyadi khasoosiyaat hein. In ki wajuhaat mein se aik wajah bohat zayada miqdaar mein HCG hormone jo aik hamal ka khasoosi hormone hai. Ye khaas tor pe bache ki zindagi qaim rehne aur bache ki nashonuma ke liye zaroori hai.

Jurwan Bache Hone Ke Chances Kab Hote Hain?
  • Un auraton mein jin ki umar 30 saal se zayada ho. 
  • Woh khawateen jo umar raseeda hone wali hon (yani jin ki mahwaari ki umar or touleedgi ka nizaam khatam hone wala ho) us umar raseedgi se khuch waqt pehle judwa hamal ke chances barh jaty hein. 
  • Woh khawateen jo mamool se zayada lambi hon un mein chote qad walon se zayada umeed hoti hai jurwan bachon ki. 
  • Tarikhi lihaz se aur research ki bina par ye kaha ja sakta hai keh woh khawateen jin ka wazan zayada hota hai. 
  • Agar aap ki apni pichli tareekh mein jurwan bache mojood hon tou aap mein jurwan hamal ki umeed zayada ho gi ya aap ke khoon ke rishtey daron me jurrwan bachon ki pedaish hui ho maslan aap ki Maa, khala ya behnen. 
  • Agar aap ne hamal se pehle baar aawri ki khasoosi rehnumayee hasil ki hai. 
  • Woh auraten jo pehle bhi haamla ho chuki hon.
Twin Babies Symptoms In Urdu Jurwan Bachon Ki Alamat
 
Twin pregnancy symptoms urdu mein khuch youn hain:
  1. Khuch khawateen bas khud se janti hein ke unhen jurrwa hamal hai, hatta ke ye us waqt se hota hai jab abhi un ke hamal ki bhi tasdeeq nahi hui hoti wo ya to khwaab mein dekhti hein ya tasawwur karti hein ya un k dil ko yaqeen hota hai ke woh judwa bache paida karein gi.
  2. Khuch khawateen ko un ke khawand, ghar walon, rishtey daron ya qareebi doston se pata chalta hai ke wo jurrwa hamal mein hein. Hala’n ke is dawey ko sabit karne ke liye koi saboot tou nahi hai lekin jab unko pata chalta hai ke wo jurwan hamal se hein to un k liye koi achumbhey wali baat nahin hoti. 
  3. Hamal ke shuru ke dinon se hi shadeed matli ka ehsaas hota hai ye matli baaz auqaat itni shadeed ho jati hai ke un ko sada aur sab se asaan cheezon ke ilawa baqi sab khane peene ki cheezein lena bhi mushkil ho jata hai. 
  4. Ghiza, boo, kapre aur khane peene ki cheezon ko dekhna bhi naa qabil e bardasht ho jata hai (yani in se bhi matli hoti hai). Aam tor pe gosht, samundri khooraak (machli wagera), coffee aur chae waghera sub se pehle buri lagne lagti hein. 
  5. Bache dani ka size hamal ki tareekhon ke lehaz se pehle hi barra ho jata hai jo ye zahir karta hai ke is mein 2 bache (embryo) hein.
  6. Breast mein dard barrh jata hai aur phir itna zayada ho jata hai ke bra pehn’na bhi mushkil ho jata hai. Khuch khawateen is ki matbaadil doosri cheezen istamal karti hein jin se unhen sakoon mehsoos ho. 
  7. Urine karne ki baar baar khajat hoti hai, chunkeh ye hamal ki ibtadai alamaton mein se hai jab ke early twin pregnancy symptoms mein ye hajat aur zayada barrh jati hai. 
  8. Bohat zayada thakawat aur ye ehsas ke sara din koi kaam nahin kiya ja sake ga ye bhi hamal ki alamat hai lekin ye thakawat twin pregnancy mein bohat ziada ho jati hai. 
  9. HCG Hormone ki bohat zayada miqdaar, aur ye hamal ke ibtadayi pregnancy urine test se hi pata chal jae gi, hatta ke pichli maahwari (periods) ke na hone ke baad se hi is hormone ki miqdaar itni zayada barrh jaye gi jo aik mazboot aur wazeha saboot hai. Wo kkhwateen jo baar aawri k liye pehle se hi ilaaj kara rahi hon wo janti hon gi k hamal hone k foran baad hi iss hormone ki miqdaar bohat barrh jati hai. 
  10. Khuch khawateen bache daani mein bal parrne ka ehsaas mehsoos karein gi jis ke sath koi khoon ka ehraaj nahin ho ga. Ye aam tor par round ligaments ki dard hai jo bache daani ka size taizi se barrhne ki wajah se hoti hai. 
  11. Ye ehsaas hona ke aap ka dil zayada zor laga ke kaam kar raha hai, balkeh khuch khawateen apni mamool ki dil ki dharkan aur nabz ki taizi ko mehsoos karti hein. Dil ko khoon pump karne ke liye har baar sukarne aur phelne ke sath ziada zor lagana parta hai takeh oxygen se bharpur khoon bache dani tak pohanch sake. 
  12. Mood ka baar baar badalna (utaar charhao), roney ko dil chahna aur gheir mustaqil mizaji, badalta hua mood phir hamal ki alamaton mein se hai lekin jurwa hamal ke sath ye shiddat ikhtyar kar jata hai. 
  13. Aap apne bachon ki harkaat ko bohat jaldi mehsoos karna shuru kar deti hein. Khwateen jin mein jurwa pregnancy ho unka ye kehna hai ke woh apne bachon ki kharkaat o saknaat ko aam hamal se pehle se he mehsoos karna shuru kar deti hein. (Aam hamal mein ye ehsaas 15, 16 week tak ja ke shuru hota hai).
Twin Babies Ki Tasdeeq Kaise Hoti Hai? Twin Pregnancy Confirmation

Twin babies ka pata lagane ka tarika: Aap, aap ka husband aur aap ka doctor ye mehsoos kare ga ke aap ka hamal jurwan hai phir bhi ye 100% yaqeeni nahin ho ga jab tak ke pregnancy test se pata na chal jaye.
  • Ultrasound se jahan 2 embryo wazeha tor pe dekhy ja saktey hein. 
  • Doppler test pe 2 mukhtalif dil ki dharrkanen aasani se suni ja sakti hein. 
  • Is tarah ki jadeed doraan e hamal dekh bhaal ki gheir mojoodgi mein ye mumkin hai ke jurwan hamal ka us waqt tak na pata chale jab tak ke 2 twin bache paida na ho jayein.
Judwa Pregnancy Ke Masail - Twin Pregnancy Complications In Hindi

Bad qismati se hamal ke tamaam tar khatrat jurwan hamal mein aur bhi zayada ho jate hein. Lekin khuch khawateen mein koi gheir mamooli baat runuma nahin hoti aur sirf jurwan hamal ke ho jane se hi pecheedgi nahin barh jati. Lekin ye behter hai ke aap ko agahi ho aur aap apna zehen khula rakhein.
  • Waqt se pehle bache ki wiladat (Premature birth) maslan 38 hafton mein wiladat. 
  • Mammol se chotey aur kam wazan ke bache (ye is wajah se bhi hai ke usi jagah mein 2 bachon ne parwarish pani thi) 
  • Aik bacha jo doosre bache ki nisbat ziada chotta ho ye twin pregnancy mein aam tor pe ho jata hai ke aik bache ko ghiza aur jagah doosre bache se ziada muyassar ho. 
  • Preeclampsia (aik beemari jis mein pregnancy mein B.P high rehta hai), is liye zaroori hai ke aap ka B.P hamal mein check hota rahe. Pani ka jism mein ikatha ho jana aur urine mein protein ka ehraaj preeclampsia ki doosri alamat hai. 
  • Hamal ke doran ziabetes, is ke mutaliq main anay wale dinon mein aap ko mazeed bataon ga ke hamal mein ziabetes kaise aur kyun hoti hai .
Twin Pregnancy Ho Tou Kya Karna Chahiye?

Jurwan Hamal Mein Kya Yaad Rakhna Zaroori Hai?
  • Hamal ke doran kisi mustanad mualij se check up karana bohat zaroori hai. 
  • Kisi mustanad mualij jo khoorak ke bare mein behter rehnumayi kar sake, us se aesi ghiza ke bare mein maloomat hasil karna jo is waqt mein aap ke jism ka mutalba hai intahayi zaroor hai. 
  • Khud ko aram ka poora moqa dein, jurwan bachon ko apne andar paalna aik bara tawanayi kharch karne ka kaam hai. 
  • Agar aap kaam karti hein to wahan se chutti le kar apne liye araam aur pehle se mojood bachon ki dekh bhaal ke liye waqt nikalein. 
  • Aap ko aik bache ke hamal ke muqablay mein jurwan bachon k liye ziada baar ultrasound karana paray ga. 
  • Aap ki sehet ke hawale se jo bhi akhrajaat ayen un ka tayyun jaldi karne ki koshish karen, bache ki waqt se pehle pedayesh mehngi hoti hai,apne sarmaye aur aamdani ke mutabiq us ki mansooba bandi jaldi karein ta keh aap khwah mukha ke akhrajaat se bach sakein.
Yaad rakhein judwa bache matawaqqo tareekh se pehle bhi peda ho sakte hein is liye pehle se hi apne nizaam ko matawazan kar lein ta keh baad me diqqat na ho.

Agar aap ko bhi shoq hai ke aap ke children twins hon tou ye artilce read karain jis mein khuch tareeqay aur totke for twin pregnancy kaise kare aur woh khorak jo is maqsad ke liye khani chahiye bataye gaye hain.
logoblog

Thanks for reading Twin Pregnancy Urdu Symptoms Baby Twin Pregnancy In Hindi Judwa Bache Ki Alamat

No comments:

Post a Comment