Gulab Khushbu Bhi Aur Bimariyon Ka ilaj Bhi
Gulab ka phool is qadar maroof aur khubsurat hai keh ye har ghar mein kisi na kisi surat mein zaroor paya jata hai ys istemal kiya jata hai. Hamari nojawan nasal isay batoor atar aur khushbu ke shoq se lagati hai. Rose flower ko na sirf gharon mein balkeh mehfilon ko sajane ke kaam bhi late hain pink, white, orange, yellow, lal red rose ke fawaid beshumar hain. Gulab ko tibi (medical / health) ke tor par mukhtalif suraton mein bator safoof, majoon aur arq o atar ke use kiys jata hai. Aaj lal gulab site aap ko Lal Gulab ke phool ke fayde bayan kar rahi hai.
Medical Health Benefits Of Rose In Urdu Gulab Se Ilaj
Gulab ke tibbi fawaid bohat zayada hain jin mein sub se pehle jo aap ko bataya ja raha hai woh hai garmi mein sar dard mein gulab ka safoof ka istemal mufeed hai.
- Aise mareez jinhain bay khawabi ka arza ho un ke dimagh ko taqwiyat de kar bekhawabi ko dor karta hai.
- Red rose for eyes yani ankhon ki surkhi ka marz ho tou isay dor karne ke liye arq gulab se barh kar aur koi medicine nahin.
- Munh se badbu anay ki surat mein is ke jo shanda se ghararay karain.
- Khoon ki hidat, tezabiyat ka zayada hona ya garam ashya ke kasrat istemal se munh mein chalay par jate hain aisi surat mein gulab ke safoof ko arq gulab ke sath istemal karain is ke safoof ko munh mein lagayain.
- Meday ki tezabiyat, hidat aur tabkheer ki bana par pyas ki shidat mein izafa ho jata hai isay door karne ke liye is ka arq nafa bakhsh taseer rakhta hai.
- Munh ya masoorhon se khoon (gum bleeding) anay ki surat mein gulab gulab ke joshanda ka istemal bohat hi mosar amal hai.
- Jigar ka ishaal aik aisi takleef hai jo kisi medicine se shayed hi theek ho is mein sirf aur sirf gulab par hi bharoosa kiya ja sakta hai.
- Heart week aur dil ki dhadhkan ki tezi mein gulab ke safoof adha chamach aur 1 cup arq gulab ka istemal din mein 2 martaba acha hai.
- Aanton ki kharash kamzoori ya ishaal lahaq hone par gulab ka batoor safoof ys arq ke istemal nihayat hi kaar amad hai.
- Baaz log aise hote hain jin ke jism ke kisi zahiri hisay se badbu aati hai usay door karne ke liye us hisa par gulab ka lep karain.
- Jism ke kisi zahiri hisay maslan chhati ya hath se paseena anay lagta hai aur rukne ka naam nahin laita aisi surat mein gulab ke safoof ko lep karne se ye takleef door ho jati hai.
- Aag se jild ke jal jane wale zakham par gulab ke safoof ko ande (egg) ki safeedi mein mila kar lagayein.
- Amooman bachon ki jild par cheechak ke zakham par jate hain jo insani khubsurati ke liye takleef deh hote hain us mein gulab ka safoof 1 chamach 1 cup arq gulab mein mila kar lep karain.
- Peshab jal kar aan ya pakhana ki jalan mein gulab ka istemal mufeed hai.
- Qabz mein rose se tayar hone wali gulqand shafi ilaj hai.
- Aankh ke mukhtalif amraz mein arq gulab se tayar karda suma jaat istemal karaye jate hain jo eyed ke liye khas tor par faide mand hain.
No comments:
Post a Comment