How To Read Ultrasound In Urdu Learn Ultrasound Report Parhne Ka Tarika Hindi Me Baby Boy or Girl

  Lal Gulab      
Easy Method Learn How To Read Ultrasound In Urdu Ultrasound Report Read Karne Ka Tareeqa In Hindi Ultrasound Tutorial Free Online
 
Ultrasound Kaisy Parhte Hain?
1950 mein start ki gae ye technique aaj sab se zayada mufeed tarika hai tashkhees ka. Ye bohat he simple asan aur mehfooz tareeqa hai ke baby ki nashonuma ka andaza lagaya ja sakay. Aap apne doctor ko dekh sakte hain jo ke waqt ke sath bachy ki harkat ki mukhtlif tasaweer aap ko monitor par dikhata hai. Mahireen in nataij ko dekhty hain bache ki nashonuma ke hawaly se, agar aap ultrasound parhna jantay hon tou aap apne bache ki growth ke bare mein jaan sakte hain.

Ultrasound Report Kaise Parhi Jaye (Sonogram Ya Sonography Report)

Aap ko khuch cheezon ko dekhna paray ga aham maloomat hasil karne ke liye:

1.Rang:

Ultrasound black and white tasweer hoti hai so ye un logo ko aik jaisi lagti hai jo ultrasound nahin parh saktay. Aap ko pata hona chahiye safeed hisa thoos /solid aur blach liquid hota hai. Ye aap ko madad karay ga baqi cheezain samajhne mein. Ye bhi jan lain ke solid tissue white nazar aye ga is liye hadian safeed aur janeeni maya (pani) kala nazar ata hai.

2. Direction - Waqfiyat:

Aap ko directions ka pata hona chahiye ultrasound samajhne ke liye. Aap ko pata hona chahiye ke maa ka sar left side pe ho ga lambai rukh mein, bache ka sar oper ho ga choray rukh ki tasweer mein. Ye pata hona chahiye takeh pata lag sakay ke bachay ka sar nechay hai ya buttocks. Aap us ki rerh ki hadi ko bhi dekh saktay hain takeh pata chalay ke us ka rukh sedha ha ya ulta.

3. Aap Ke Bache Ki Khasoosiyaat:

Hamal ki dusri seh mahi jo ke hamal ke 13th week yani 3rd month se shuru hoti hai ke aghaz ke baad aap ke bache ki jins ka pata chalaya ja sakta hai, magar masla ye hai ke aksar bache ki tang agey hoti hai jis ki wajah se mushkil hota hai. Intezaar karain ke bacha harkat kare. 6 month ke baad papootay, naak, lips, thori aur baal ultrasound mein nazar ajatay hain.

4. Koi Mazoori:

Jab ultrasound parhny ka seekh rahe hon tou khuch badqismati se mazori jo ke jismani ya aza ki hoti hai wo bhi nazar ajati hai. Doctor bache ki sari lambaiyan check karta hai takeh pata chale ke nashonuma ho rahi hai. Aap pehle ultrasound pe hi bohat khuch pata laga sakte hain jaisa ke dil ka masla, taloo me cut ya hont pe, terhi kamar ki haddi, damagi kamzori. Ye bhi dekha ja sakta hai ke anwal mein koi masla tou nahin.

Janiye Beta Hai Ya Beti:

Bohat sare joray jo keh ultrasound karwatay hain wo ye janana chahte hain ke beta hai ya beti, is mein ultrasound madad karta hai lekin sahi andaza bohat si cheezon par munhasir hai jin mein doctor ke alat, aap ke bachay ki umar aur bachay ki harkat.
Pregnancy ke darmiyan mein ultrasound kar wayain us waqt amooman pata chal jata hai, is ko bache ke dhanchay ka survey kehte hain jo ke aap ko bache ki jins ka bhi batata hai ye amoman 18-20 week par honi chahiye.

Beta - Baby Boy


baby boy ultrasound picture
Aap ki doctor aik turtle point ko dhondy ge agar beta howa tou wo azu tanasul ki tip ko dekhe ga jo ke testicle ke pechay se nazar aye ga.

Larki - Baby Girl


baby girl ultrasound picture
Jab ultrasound mein baby girl ka maloom karna ho tou doctor tabqah niswan dekhe gi jaise yani sharamgah.

Ultrasound Video 20 Weeks Pregnant Ultrasound Learning Video

Ultrasound training courses video online: Aap is video ko dekhain ye is liye paish ki ja rahi hai takeh aap guess kar sakain ke is video mein nazar anay wali ultrasound report mein baby boy hai ke baby girl aur ye hamal ke 20th week ka sonogram scan hai.

Umeed hai is article ki help se aap ultrasound ki report ko kafi had tak samajhne aur parhne ke qabil ho chuke hain par agar aap ne abhi ultrasound nahin karwaya aur karwanay ka irada hai ya aap jan'na chahain ke ye pregnancy mein karwana chahiye ke nahin tou is article ko parhain, Hamal Mein Ultrasound Kyun Karwana Chahiye? Is article mein ultrasound ki maloomat jo faraham ki gayi hain woh urdu zuban mein aap ko dunya ki kisi website par parhne ko nahin milay gi.
logoblog

Thanks for reading How To Read Ultrasound In Urdu Learn Ultrasound Report Parhne Ka Tarika Hindi Me Baby Boy or Girl

No comments:

Post a Comment