Zamurd Stone Ki Pehchan In Urdu Emerald Stone History Hindi Panna Stone Identify Karne Ka Tarika

  Lal Gulab      

High Quality Zamurd Stone Ki Pehchan Aur Tarikh

Tamam nabatat mein green color zayada hota hai puranay zamane se hi zamurd pathar ka istemal zevraat mein bari khoobsurati aur nafasat ke sath hota aya hai. Is ki shohrat is ke deda zaib aur dil faraib sabz rang ki wajah se hai taham is mein sabz ke ilawa aur bhi kayi rang paye jate hain. Is ki Hardness 7.5 hai aur is mein silica paya jata hai.

Types of Emerald

Zamurd ki bohat is iqsam hain ye kafi rangon mein milta hai emerald pathar ka rang din raat yaksan rehta hai.

How To Identify Emerald Stone In Hindi Zamurd Stone Ki Pehchan In Urdu

Shanakht: Zamurd dekhne mein bara magar wazan mein halka hota hai is mein qudrati tor par dharyan hoti hain jo siray ki satah se matwazi hoti hai. Is par kisi tayzaab ka asar nahin hota isay ragarne se barqi quwat paida hoti hai jo aik ghanta barqarar rehti hai. Ye aik sakht pathar hai, Nilam se is mein sorakh kiya ja sakta hai is ka rang sabzi mael hota hai ye aisa chamkeela hai keh pani mein dalne se ye pani ka rang apne jesa kar laita hai. Zamurd stone khareedne se pehle is ke asli zamurd stone hone ka achi tarah imtehan kar laina chahiye kyoun keh aksar log naqli zamurd bhi bana kar farokht karte hain. Zamana qadeem ke sheeshay masnui zamurd aaj kal ke asli zamurd se bhi rang aur chamak mein umda dikhai dete hain. Puranay waqton mein Sri Lanka ke log sharab ki bottles ke painday jama kar ke un ke nahayat umda zamurd banate thay, Asli aur naqli zamurd ki shanakht sakhti, makhsoos wazan aur taqat inakaas waghera se ki jati hai mahireen jawahraat dekhte hi asli aur naqli emerald mein farq bata dete hain.

Aaj kal pathron ki shanakht ke jadeed tareeqay ikhtyaar kiye jate hain for example ultra voilet rays ke zariye lamp mein dekha jaye tou khalis zamurd ka rang nahin badle ga aur agar naqli zamurd ho ga tou us mein se lal rang ki jhalak dikhai de gi. Is ke ilawa zamurd ka wazan is ke hujam se halka hota hai is ki asliyat maloom hone ke baad is ke ayoob o naqais bhi achi tarah dekh laine chahiyain kyoun keh agar aib ki shanakht ho gi tou phir is ki qeemat lagane mein bhi sahoolat rahe gi is liye keh ye aib zamurd ki qeemat kam kar dete hain aur koi jawahir aisa nahin jis ki price mein dagh dhabay aur shagaf waghera ke baes zamurd ke barabar farq aa sake.

Muqam e Paidaesh Aur Tarikhi Pas e Manzar Emerald Stone History In Urdu
Dunya ke kafi mumalik mein zamurd ke zakhair paye jate hain jin mein Australia, Brazil aur Russia hain is ke ilawa Pakistan mein Swat, Mingora aur qabaili alaqon mein bhi zamurd ke zakhair hain Swat  ka emerald pathar dunya mein khubsurat aur nafees tareen mana jata hai.

Baaz Tarikhi Emeralds

Chaak Zamurd: Chak nami zamurd India ki sabaq Raj Dahani ke shani khandan ki malkiyat tha ye rani sahba ke kanthay ka markazi pathar tha aur us ke ird gird chotay zamurd aur heeray jaray hue thay. Rani ne apne sahab zaday maharaja koch bahar ko diya tha us pathar ka wazan 38.40 qeeraat tha. 20th century ke shuru mein isay kanthay se alag kar ke nayi tarash di gayi jis se us ka wazan kam ho kar 37.82 qeeraat reh gaya tha aur usay aik angoothi mein jurwa diya gaya tha angoothi mein us ke gird 60 moti nama heeray jaray hue hain baad mein ye ring Smith Union ke National History Museum ko atia kar diya gaya jahan ye mehfooz hai.
logoblog

Thanks for reading Zamurd Stone Ki Pehchan In Urdu Emerald Stone History Hindi Panna Stone Identify Karne Ka Tarika

No comments:

Post a Comment