Sparrow Information Urdu Chirya Sparrow Bird Essay Chidiya In Hindi History

  Lal Gulab      

Sparrow Information Urdu Sparrow Essay In Hindi Chidiya Information

Chirya asia europe aur africa mein paya jane wala parinda hai jis ka taluq Passer domesticus khandan aur jamat Aves se hai. Chiriya dunya ke sare barazmon mein paye jate hain. In ki mukhtalif types hain bar e sagheer mein chidiya (sparrow bird) aik aam parinda hai jise ghareelu chirya bhi kehte hain jis se har koi waqaf hai.

Jisamat Khawas Aur Darja Bandi

Aam tor par chidiya, chote jisamat ke hote hain in ka rang gandami bhoora hota hai is ki dum choti aur chorri hoti hai is ki choonch kafi mazboot hoti hai bunyadi tor par ye danay chugne wala parinda hai sath sath chote chote keeron ko bhi khata hai. In ko ghareelu chirya is liye kehte hain keh gharon mein apna baseera karte hain.

Chidiya Ki Tareekh - Sparrow History In Urdu Chirya

Ye uniswien sadi (19th century) se America mein bhi pheel gaya hai jahan isay qadeem American chidiya ki iqsam se mutfariq karne ke  liye  english chirya kaha jata hai. America ki english sparrow 1850 se 1875 ke darmiyan bartania se hasraat ki tadad ko qabu mein rakhne ke liye daramad kiye gaye thay. Is ka naam 12 se 17 cm tak hota hai. Nar chidiya ya chiray (male sparrow) ki gardan par kalay paron ka nishan hota hai.

Abad Mein Chidiya

Chiriya itna aam parinda hai keh is par bachon ki dilchasp kahani bohat se musanif likh chukay hain is ke ilawa nazam geet (sparrow songs) bhi mojood hain aur kayi films mein bhi is par geet sunnay ko milte hain aur school ki books mein nanhi muni chirya ke naam se asbaaq bhi dekhe jate hain.

Hijrat

Parindon ki hijrat (bird migration) ghareelu chiriya aam tor par hijrat nahin kiya kartien balkeh ye insani abadiyon ke qareeb khud ko mehdood rakhti hain, baaz auqat ye awara gardi ya khana badoshi (nomadic) halat mein door tak nikal sakti hain lekin ye muqami naqal makani hoti hai jis ka sabab khorak ki talash hota hai aur isay parindon ki door daraz hijrat mein shumar nahin kiya jata.
logoblog

Thanks for reading Sparrow Information Urdu Chirya Sparrow Bird Essay Chidiya In Hindi History

No comments:

Post a Comment