Prize Bond Information In Urdu Rules Prize Bond Formula Tips Pakistan Prize Bond Details

  Lal Gulab      

Urdu Prize Bond Information In Urdu Rules Prize Bond Formula

Details Prize Bond Ki Maloomat: Aaj kal kon kam waqt mein zayada paise kamana nahin chahta shayed hi koi aisa ho jadeed door mein zamane ke sath qadam se qadam milane ke liye har insan paise kamane ka mukhtasir rasta dhoondhta hai. Aik dusre se agey nikalne ki door mein har mumkin koshish karta hai. Wese tou raat o raat ameer banne ke tarike bohat hain magar prize bond jald ameer banne ka qanooni tareeqa tasawar kiya jata hai. Is article ka maqsad prize bond ke bare mein aham maloomat aap ko faraham karna hai.

History And Definition of Prize Bond Kya Hai

Prize bond ki tareef ye hai keh ye hukumat Pakistan ki taraf se jari karda aik security certificate hai jo keh 100, 200, 750, 15 hazar, 25 hazaar aur 40 hazar rupay ki maliyat mein jari kiye jatay hain ye series mein shaya kiye jatay hain. Har insan apni jaib ke hisab se prize bond khareed sakta hai jin ki bachat zayada ho woh zayada maliat ka bond khareedtay hain aur jin ki kam wo kam maliyat ka.

Har bond ka draw 3 month ke waqfay se munaqad hota hai magar is ka koi makhsoos rate nahin hota. Ye qura andazi aik khas tarteeb se munaqad hoti hai aur is ki har series ke liye inamaat ki tadad bhi makhsoos hoti hai misal ke tor par agar 200 rupee wale prize bond par 50 ki series chal rahi hai tou har draw par pehle inaam ke liye 50 logon ko inaam milay ga aur dusre inaam ke liye 250 logon ko.

Kon Se Prize Bond Na Lain?

Wafaqi hukumat ke notification ke mutabiq 1500 rupay maliyat ke aise bond jo keh silsila war number AW-070001 se AW-090000 tak hain aise na bond na tou cash kar waye ja sakte hain aur na hi un par inaam mil sakta hai ye 2 saal pehle se mansookh ho chukay hain.

Prize Bond Ki Inami Raqam Hasil Karne Ka Tareeqa - How To Get Prize Money

1250 rupay ki maliyat tak ki inami raqam jeetnay ki surat  mein national saving center ki kisi bhi branch, state bank ya manzoor shuda commercial banks ki branches se rabta kiya ja sakta hai woh inami raqam jo 1250 rupay se zayada hai woh sirf state bank ki shakon se hi hasil ki ja sakti hai. Inami raqam wasool karne ke liye darkhawast farmN (PB-1) bharna lazmi hai is farm ke sath shanakhti card ki copy jeetnay wale prize pond ki dastkhat shuda copy mutalqa office mein jama karwayain.

Inami Raqam Kab Tak Wasool Ki Ja Sakti Hai?

Kisi bhi jeetnay wale bond par inami raqam results ki tarikh se lay kar 6 saal ke arsay tak hasil ki ja sakti hai 6 saal baad inami raqam jeetnay ka koi dawa qabil qabool nahin ho ga.

Inami Raqam Par Lagu Withholding Tax

Woh inami raqam jo ab jeeti jayain gi un par 15% withholding tax lagu ho ga.
logoblog

Thanks for reading Prize Bond Information In Urdu Rules Prize Bond Formula Tips Pakistan Prize Bond Details

No comments:

Post a Comment