Nashpati Ke Faide In Urdu Benefits Nashpati Pear Beauty Tips Hindi Nashpati Fayde

  Lal Gulab      
Pear Benefits In Urdu Pear Ke Faide In Hindi Nashpati Benefits In Urdu

Meethi Raseeli Nashpati Ke Faide - Ye Hai Qeemat Mein Kam Afadiat Mein Zayada: Allah Ta'ala ki qudrat ke rang hamain degar bohat si cheezon ke ilawa phalon mein bhi numayan nazar atay hain har fruit munfarid zaiqay aur rang aur medical benefits ka hamil hota hai isi tarah aik hi phal ki mutadad types bhi hoti hain maslan nashpati sabz rang ki lambootri bhi hoti hai peelay rang ki nashpati, zardi mael sabz nashpati aur surkhi mael bhi hamain dukanon par nazar ati hai is ki aik qisam bago gosha kehlati hai nashpati ki har qisam ke alag alag fayde hain. Bareek chilkay wali nashpati raseeli aur meethi hoti hai isi tarah kashmir mein payi jane wali nashpati mein qudrat ne khas lazat aur mithas rakhi hai. Ghazaiyat se bharpur is phal mein shakar aur vitaman c jese sehat bakhsh ajza hain. Nashpati ko chilkay samait khana chahiye takah is mein mojood ajza se pura pura faida uthaya ja sake. Nashpati ke darakht ke patay aur lakdi bhi batoor dawa kaam ati hai is ke phool khushk kar ke rakh liye jate hain jo dil ke liye mufeed hain aur zakham ko khushk karne mein madad dete hain is ke darakht ka goond bhi faida aur seeds bhi medicine ke asrat rakhte hain dilchasp baat ye hai keh nashpati dusri cheezon ko hazam karne mein madad deti hai lekin khud dair se hazam hoti hai.

Benefits of Nashpati In Urdu

Stomach Aur Saans Ki Badbu

Khuch logon ke munh se badbu bohat zayada aati hai aur woh us se nijat ke liye tarah tarah ke mouth wash istemal karte hain meethi nashpati khane se masoorhon se khoon nikalna aur danton ko thanda garam lagna band ho jata hai khuch logon ko qabz zayada rehti hai jis ka munh se badbu ke sath bhi taluq hai. Agar aap dopehar ke khane ke baad 2 nashpati chalkon samait kha lain tou is se qabz door ho ga antain saaf rahain gi khana jald hazam ho ga aur stomach theek kaam karne ga aur munh se badbu bhi door ho gi daimi qabz ki surat mein aik nuskha bhi kargar hai sham ko 2 nashpatiyan chilkay samait bareek kaat kar salad bana lain aur un par lemon ka rus chidak kar halka sa namak mila dain ye tasty chat 15 se 20 din baqaidgi se kha lain us se qabz door ho ga hazma darust rahe ga bhook lage gi aur chehre ki zardi door ho gi jigar main kamzoori ki surat mein baqaida ilaj ke sath nashpati ko bhi apni ghaza mein shamil kar lain aik darmiyane size ki nashpati nashtay ke taqreeban 2 ya 3 ghante baad khayain aur sham gharoob aftaab se ghantay bhar pehle khali pait kha lain aik ya do meethi nashpati rozana ghaza mein shamil karne se amoomi sehat mein behtari rehti hai.

Dil Ka Dost Phal

Kamzoori door karne ke sath sath taweel bimari ka shikar hue log jo kamzoori mehsoos karte hon woh bhi is nashpati fruit se faida utha sakte hain nashpati ka muraba khane se dil ki ghabrahat kam hoti hai.

Nashpati Beauty Tips In Urdu Pear Fruit

Nashpati for face bhi hai yani is se chehre ka nikhar barhta hai nashpati se tail nikala jata hai jisay beauty creams, cleanser mein mila kar skin par use kiya jata hai ye nashpati oil jild par barhti hoi age ke asrat ko rokta aur us ko fresh rakhta hai isay bath oil, shampoo aur dusri cheezon mein bhi istemal kiya jata hai is ka shampoo balon ko khubsurat banate hain jis se hairs ki achi afzaish hoti hai.

Apni Night Cream Khud Banayain

Aik darmiyane size ki nashpati ko kadu kash kar ke ras nichoor lain usay malmal ke kapre se nithaar kar aik cup badam ke tail mein mila dain isay kantay se khoob hilayain takah achi tarah se mala jaye ab is mein 10 gram safaid moom garam kar ke mix karain agar teenon cheezain hal na hon tou isay halki anch par garam kar lain isay kisi sheeshi mein daal lain aur rozana raat ko sote waqt lagayain aur subah face dho lain ye khushk jild ke liye bhi mufeed hai.
logoblog

Thanks for reading Nashpati Ke Faide In Urdu Benefits Nashpati Pear Beauty Tips Hindi Nashpati Fayde

No comments:

Post a Comment