Spain History In Urdu Spain Information Hindi Spain Meaning In Urdu Hispania Ki Maloomat

  Lal Gulab      

Spain History In Urdu Spain Meaning Hindi History Spain

Maloomat Spain Information In Urdu: Spain country sarkari tor par Kingdon of Spain kehlati hai ye bohat si qadeem qaumon ka mulk hai  spain ki tareekh ke baray mein bohat si kitabon mein safay nazar atay hain un mein se khuch facts par aaj baat kartay hain.

Spain Ki Tarikh - Muslim Rule In Spain History In Urdu Musalmanon Ka Raj

Spain mulk jis ko hispania bhi kehtay hain ye asal mein purane zamane ki aik riyasat undlas ka hisa thi jis par Tariq Bin Zayad ke hamlay ke baad Musalmanon ka sika chalta tha. Undlas europe mein aik sabqa Muslim riyasat thi jo hispania aur jadeed france par mushtamil thi jisay Muslim hispania bhi kaha jata hai.

Musalmanon ki qismat jub apne arooj par thi tou un ki taleemat ne tamam mazahib ke mannay wale talba ko apni janib matwaja kar liya tha spain ke yahoodi khas tor par Arab fikar se mutasir ho rahe thay par tarikh Islam ka aik alamnak baab ye hai keh Musalman 800 saal ki hukamrani ke baad spain se mit kar reh gaye is ki wajah Musalmanon ki bahmi na ittefaqiyan aur ikhtilafat thay riyasati khana jangiyon ne Musalmanon ko zawal ki rah par daal diya tha hata keh 1236 eswien mein andalus ka hera shehar qurtaba Musalmanon ke hathon se chhin gaya aur esaiyon ne masjid qurtaba ko girja bana liya is ke baad Musalmanon ki akhri riyasat bhi bilakhir 1492 mein esaiyon ke qabza mein chali gayi.

Spain Ka Political Nazam

Spain mein mulk ka sarbarah badshah hai aur is waqt ke badshah ka naam juan carlos hai, spain mein palimani nazam hai jis ke 2 aywan hain yahan ka sarbarah wazir e azam hota hai jis ko Spainsh language mein (presidente del gobierno) yani hukumat ka sarbarah kehte hain.

Spain Ki Intizami Taqseem

Spain ko intizami lihaz se 17 khud mukhtar riyasaton aur 2 khud mukhtar sheharon mein taqseem kiya gaya hai har alaqay ki aik alaqai parliamenr, high court aur alaqai hukumat hai. yahan har 4 saal baad elections hote hain.

Religion In Spain Ka Mazhab

Spain mein zayada tar log Isai mazhab ko mantay hain 76% hispania ke bashinday Isai hain 2% people dusre mukhtalif mazahab se taluq rakhte hain. Hispania ke aik amrani tehqeeqati adaray ne aik study ki roshni mein ye baat waziha ki hai keh jo 76% Isai hispania mein mojood hain un mein se 54% log bohat hi kam ya na hone ke barabar girja ghar jate hain 15% log saal mein 1 martaba ya 2 martaba girja ghar jatay hain 10% log maheenay mein 1 ya 2 martaba girja ghar jatay hain aur 19% log aise hain jo har itwar aur haftay mein kayi martaba ibadat ki gharz se girja ghar jatay hain 22% spain ke rehne wale log har maheenay mazhabi tehwaron mein hisa laite hain.
logoblog

Thanks for reading Spain History In Urdu Spain Information Hindi Spain Meaning In Urdu Hispania Ki Maloomat

No comments:

Post a Comment