Urdu Novel Ka Pehla Page Likhain - Start Writing Your Own Novel
Course 5 - Start Writing Your First Page - Pehla Safah Likhna Shuru Karain
Ye hamara novel likhna sekhnay ke mutaliq 5th lesson hai yani kahani likhne ka tarika in urdu aur ne pichle lessons nahin samjhe tou pehle lesson ko parhne ke liye All Courses visit karain aur meri help ke liye in lessons mein se kisi bhi lesson par comment kar ke maloomat hasil karain par abhi aap 5th course samjhain.
Maloomat Hasil Karain
Story sochnay ke baad agla marhala ye hai keh aap ne jo kahani banai hai us
ke baray mein mazeed maloomat hasil karain is ke liye behtareen option
internet ka istemal hai. Aam tor par history, meanings, mashoor insanon,
mulkon aur shehron ki tarikh waghera ki maloomat ki zaroorat parti hai
is ke ilawa aur bhi maloomat chahiyain tou aap online search karain.
- Jub aap mehsoos karain ke aap ke paas kitab likhne ke liye zaroori maloomat hain aur apni banai hoi kahani se mutmaen hain ab aap aik pur sakoon muqam par baith jayain aur apne novel ka pehla page likhna shuru karain. Zaroori nahin keh mushkil urdu hi likhain aap easy urdu mein bhi likh saktay hain is baat ki fikar na karain ke kahani ka shuru kesa hua hai kyoun ke abhi ye sirf draft hai jo aap ke ilawa koi nahin parh sakta.
- Koshish karain ke pehla page intihai acha likhain itna acha ke aap khud kehnay par majboor hon ke aisa koi nahin likh sakta main aap ko nechay aik example deta hon keh kaise novel shuru karain.
Aap
shuru mein koi shair keh kar novel ka aghaz kar saktay hain ya phir
khuch is tarah: "Tez hawaon ke sath kamray ki khidkiyan khulti aur band
hoti ja rahi thien aur barish ne har chez bhigo kar rakh di thi main
khidki par khara barish mein guzarti gariyon ko dekhta raha bahir barish
ne gariyon ke sheehon ko dhondla kar rakha tha aur andar zindagi ne
mere naseeb ke sheeshon ko...."
- Rozana likhne ke liye waqt nikalain aur aik waqt mein aik novel likhain kyoun keh bohat se ache likhnay wale writers ke daraz bhi na mukamal novels se bharay paray hain.
- Aik had muqarar karain ke aik din mein kitnay pages likhnay hain par jitna bhi likhain acha likhain aur kisi din agar zehan mein behtareen alfaz na ayain us din behtar hai na likhain.
- Aik chapter mukamal honay ke baad usay baar baar parhain behtar lagay tou dusra chapter shuru karain aur jese hi bore honay lagain novel likhna rok dain ye kaam shoq ka hai jub acha lagay tab hi likhain.
- Khuch log bohat masroof rehtay hain par likhnay ka bohat shoq rakhte hain woh chahain tou thora thora likh kar 6 maheenay ya saal tak mehnat kar ke apna novel mukamal kar saktay hain wese bhi aaj kal waqt itni jaldi guzarta hai saal ka bata tak nahin chalta.
After Completing The Novel Read Your Own Book - Pura Likhne Ke Baad
Mukamal
likhnay ke baad aap aik aram deh jagah baithain aur apni kitab pakar
kar usay parhna shuru karain jis lambay paragraph ko kam karnay ki
zaroorat ho kam karain, jis sentence ko katna ya shamil karna zaroori ho
karain.
Apne Kaam Ko Apne Jannay Walon Ko Dikhayain Aur Mashwara Hasil Karain
Apna novel parhne ke baad ab waqt hai apne doston aur family members ko apni writing skills dikhane ka woh aap ko jo mashwara dain usay maan kar editing karain aur editing ke baad har chez agar perfect lage tab aap apne novel ko publish karwane ki koshish karain.Novel Shaya Karwane Ka Tarika
Woh
log jo pehli baar koi kitab likhtay hain unhain is baat ki maloomat
nahin hotien keh woh apne kaam ko kis tarah self publish karwayain is ke liye
maine aik article likha hai jisay parhne se aap ko apna novel publish
karnay ki maloomat hasil hon gi nechay diye page links mein akhri lesson parhain.
No comments:
Post a Comment