Jaggery Benefits In Urdu Gur Ke Fayde In Hindi Gud
Gur Ke Faide In Urdu: Gur jisay arabic mein forlez aur english mein jaggery kehte hain ye ganay ke ras ko paka kar jama liya jata hai. Qawam ko sakht bana kar hathon se mal kar safoof bana lain tou isay surkh shakar bhi kehte hain is ka rang surkh hota hai baaz dafa rang surkhi mael sayah aur zard bhi hota hai aur metha zaiqa rakhta hai ye is ki taseer garam hai purana gur khushk hota hai.
Gur gudrati mithai ke tor par jana jata hai gud mein kayi aisay fawaid hain jo health ke liye lajawab samjhe jatay hain. Gur zaiqa ke sath hi sehat ka bhi khazana hai mausam sarma mein gur ki mang barh jati hai aur log isay bare shoq ke sath khatay hain yahan hum aap ko gur ke chand aham medical benefits ke bare mein agah kar rahe hain.
More Gur Benefits In Urdu
- Gur ka istemal androni nazam ko mutehrik kar ke qabz se nijat dilata hai gur nazam inhzam ko mutehrik kar deta hai isi liye mutadad afrad khane ke baad gur zaroor istemal karte hain.
- Gur mein iron hai jaggery isi khobi ke baes rang mein khakstari hota hai. Iron hamare jism ke liye zaroori hai kyoun keh is se khoon ki kami nahin hoti.
- Micronutrients insani jism ki zaroorat hote hain jin ki wajah se aik insan mutadad nafsiyati af'al sar anjam deta hai aur agar aise micronutrients se bharpur hota hai.
- Kya aap apne jism ke zehrilay madon ka akhraj chahte hain tou gur ka istemal karain gur aap ke jigar ki safai kar ke peshab ke nazam ko sahi rakhta hai.
- Gur khansi, adhay sar ka dard pait ka ubhara waghera jesi aam diseases mein bhi behtar kaam karta hai.
- Mukhtalif infections se larne ke liye insani jism quwat madafat ke nazam par inhsaar karta hai aur is ke liye jaggery yani gur khayain.
- Gur khanay se pathon aur khoon ki vessels ko thakawat se rahat milti hai.
- Gur blood pressure control karnay walon ke liye aik achi khasi madad hai.
- Gur pait ke masail se nimatnay ka aik intihai asan aur fayde mand ilaj hai gur resha khatam karne aur mausam sarma ke dinon mein ye amrat ki manind hai.
- Jaggery halq aur phephron ke infections ke ilaj mein benefits deta hai.
- Gur motapa aur pait ke barhna jese amraz ko rokta hai yani gur is for weight loss.
- Gala kharab hone aur galay mein resha girnay jese amraz mein un logon ko gur khana chahiye jo aye din reshay ki wajah se mushkilay mehsoos kar rahe hain.
No comments:
Post a Comment