How To Write Dialogue In Urdu Novel Mukalma Likhne Ka Tarika Hindi Dialogues

  Lal Gulab      
How To Write Dialouge In Novel In Urdu - Story Mein Dialouge Kaise Banatay Hain

Course Number 4 - Create Dialogue - Mukalma

Aap 3 courses kar chukay hain aur ye aap ka novel seekhne ke liye second last course hain ye courses again start karne ke liye All Courses par click karain.

Dialouges In Novel

Koi bhi kahani purane aur halkay mukalmon ki bana par kamyab nahin hoti is liye kahani ka har mukalma jandar ho ga tou hi successful novel banay ga. Aksar new writers bohat achi story soch laitay hain par is stage par akar sara novel kharab kar detay hain. Har chez practice se behtar ki ja sakti hai agar aap ko bhi ache dialouges banane par aboor hasil nahin hai tou aap dialouges likhain baar baar likhain aur baar baar parhain aur andaza lagayain ke dialouge mein kya khami nazar arahi hai aap ko is mashq ke baad aap ko mukalmay likhne ke liye pehle se zayada asani mehsoos ho gi. Kahani ka plot achi tarah yaad ho aur characters ne kahani mein kya role play karna hai ye batain aap ke zehan mein hon tou aap kahani likhtay waqt khud ache dialouges bana lain ge aur wese bhi aaj har insan kisi chez mein mahir ho ke na par aik chez mein bohat mahir hai woh hai dialouge kehna tou aap khud par aitbar rakhain aur shandar mukalme tehreer karain yahan khuch misalain mukalme ki paish kar raha hon.

Dialouge Example

"Khizar aik pyara sa bacha hai jo bagh mein phoolon ke bheech kara muskura kar phoolon ko dekhta aur kheelta raha main usay dekhta tha. Khizar ne aik phool tora aur mera paas akar apne masoom hathon se mujhe phool detay hue kaha "Ye aap ke liye" maine us ke sar par hath phera aur usay galay laga kar phool pakartay hue kaha "Aap ka ye phool tou bohat pyara hai ye aap mere liye laye ho? aap ke is phool ki tarah aap ka sath bhi bohat pyara hai". Khizar ne muskura kar haan mein sir hilaya aur phir kaha "Agar aap roz mujhe garden mein laya karain tou main roz aap ko aik flower la kar diya karon ga." Main us ki is masoom si farmaesh par muskura diya. Ye bache bhi kitnay pyare hotay hain youn lagta hai jese hamara bachpan phir laut aya ho".

Ab raha hamara second last course jis ka aap sub ko intzar tha woh hai novel likhna shuru karna us course ko shuru karne se pehle main aap ko khuch zaroori chezon ka bataon ga jin par aap asani se novel tehreer kar sakain.

Best Way To Write Novel

Naye door ki nayi ijadat ke baad kaghaz aur qalam ki jagah laptop ne bhi kisi had tak li hai par aaj bhi kaghaz aur qalam ki ahmiyat apni jagah hai aap chahain tou aik notebook khareedain us par apna novel tehreer karna shuru karain aur chahain tou laptop ya desktop computer ka istemal bhi kar sakte hain. Mere khayal se aap ko apne laptop ka istemal karna chahiye us par notepad, wordpad ko istemal mein la kar novel ke pages likhe ja saktay hain is ka faida ye hai ke aap ko novel likhtay hue kayi baar lines aur paragraph likh kar edit parna partay hain tou aap ye computer par asani se kar sakte hain jabkeh kisi notebook par baar baar likh kar edit karne se na safai rehti hai aur na aap computer ki tarah koi word search karne ke liye search ki option istemal kar sakte hain par agar aap ki tarah light ki problem hai tou phir aap notebook ka hi istemal karain kyoun ke aaj kal Pakistan mein bijli ka khuch pata nahin chalta kab chali jaye. Ab chaltay hain agle sabaq ki taraf waise tou novel likhna sekhnay walon ke liye ye akhri course hai par novel likhay ke baad us ko chapwa kar distribute karna bhi aik process hai jisay hum akhri course mein rakh rahain hain.
logoblog

Thanks for reading How To Write Dialogue In Urdu Novel Mukalma Likhne Ka Tarika Hindi Dialogues

No comments:

Post a Comment