How To Write Novel In Urdu - Learn Step By Step Novel Writing Method In Urdu
How To Write Book In Urdu Kitab Kaise Likhain Story Likhne Ka Tariqa Kitab Likhne Ka Asan Hal
Course Number 1 - Novel Shuru Kaise Kiya Jaye
Jo all courses ke page se aye hain woh step 1 se ye course shuru karain aur dobara pechay ke link mein na jayain aur woh log jo pehli baar seedha is page par aye hain un ko main bata deta hon keh yahan hum ye courses kar rahe hain keh urdu novel kaise likha jaye in 1 din ke khuch courses ke baad aap is kabil ban jatay hain keh apni pasand ki kahani khud likh sakain aap bhi is mein shamuliat chahte hain tou sub se pehle aap All Courses Page par jayain aur jo log usi page se ayain hain woh ab ye Course Number 1 karain.
STEP 1: Khayali Dunya Abad Karain - Create A Fictional World
- Novel likhna aik takhleeqi amal hai aur kya pata kab aap ke zehan mein aik acha novel idea ajaye lihaza hamesha apne sath aik pen aur notebook rakhain takay aap jahan par bhi jayain ache ideas foran likh lain. Kisi ki koi baat aap ko mutasir kar sakti hai jisay aap notebook mein likh lain is ke ilawa bohat se aisay lamhe atay hain jub bohat si behtareen maloomat milti hain tab aik pen aur notebook aap ke bohat kaam ayain gey par agar aap chahain tou apne mobile ki mini diary ya memo ya kisi aur application mein likh kar bhi ideas mehfooz kar sakte hain.
- Aik writer hone ki hesiyat se aap ko zabardast khayalat takhleeq karne chahiyain baaz auqat writers ke zehan mein ideas ana mushkil ho jate hain. Saray writers ye problem face kartay hain is ka behtareen hal ye hai keh aap inspiration hasil kartay hain, akhbarat ka mutalia karain, tv shows dekhain aur kabhi kabhi apne sath guzaray hue waqt mein zehan mein aisay behtareen khayalat atay hain jo novel ko zabardast bana dete hain.
- Apni notebook ko istemal karain paragraph, lines aur jumlon yani sentences likhne ke liye jo aap ke novel ki kahani ka hisa banain gey. Jo kahaniyan aap ne apne bachpan se sunn rakhi hai un ke baray mein sochain woh khabron mein anay wali kahaniyan jinhon ne aap ko mutasir kiya ya koi daroni kahani jo aap ke bachpan se aap ke zehan mein ati hai.
- Aham baat jis ke bina aap kabhi bhi kitab nahin likh patay woh aik kahani hai khuch log jinhain novel likhne ka sahi tarika nahin ata woh pen utatay hain aur bas likhna shuru kar detay hain par woh is tarah kabhi bhi apna novel pura nahin kartay balkeh bheech mein hi chhor detay hain aur khuch tou is tajarnay ke baad likhnay ka sochtay bhi hain is liye puri kahani bananay ke baad aghaz karain.
- Novel ki kahani agar aap ne mukamal bana li hai tou ibtida se lay kar akhir tak us kahani par baar baar ghor karain agar aap us se mutmaen hain tou aap ke rastay asan hain.
Step 2 Novel Genre - Novel Ki Category - Types
Ab aap sochain ke kis type ka novel likhna chahte hain yani jasoosi novel, action novel, romantic urdu novel ya phir koi aur. Aur agar aap aik se zayada iqsam ka novel aik sath likhna chahte hain tou bhi koi problem nahin.Step 3 Kahani Ki Setting Karain Yani Kahani Tarteeb Dain
Jub aap ye faisla kar lain ke kis type ka novel aap ne likhna hai tou ab bari is baat ki hai keh aap apni kahani ko tarteeb dain. Jo nayi dunya aap apni kahani mein banayain gey un ke ajza ke baray mein sochain aapke paas sochnay ke liye puri qainaat mojood hai apni skills dunya ko dikhayain aur sabat karain ke aap se behtar koi nahin likh sakta ya apna aik munfarid style lay kar ayain ke urdu novels parhne wale aik baar aap ka novel parhne ke baad aap ke agle novel ka shiddat se intzar karain. Novel ki tarteeb ke liye nechay khuch points bataye ja rahe hain ye sirf examples hain keh kis tarah aap apne novel ki setting kartay hain is ke liye khuch is tarah sochain keh:- Kya novel mein woh places hon gi jinhain aap apni asli zindagi mein jantay hain?
- Kya mojooda door ke baray mein likh rahe hain ya kisi aur waqt ke?
- Kya story zameen par rehtay hue chalay gi keh kisi dusre sayaray, chand, marikh star ya kisi nayi tasawarati dunya mein?
- Agar zameen par hi kahani chal rahi hai tou ab ye decide karain ke kis mulk mein kahani ke characters rahain gey aik se zayada mulkon ka istemal bhi kiya ja sakta hai yahan par aap ko aik example deta hon ke agar mere novel ki kahani 2 mulkon mein chalay gi yani Pakistan aur Australia mein tou main novel mein Australia aur Pakistan ki places par aik dunya basaon ga khuch is tarah "Pakistan se anay ke baad main Australia mein abad ho gaya tha yahan wohi chand suraj thay jo pakistan mein par phir bhi kyoun har manzar mere liye naya sa tha".
- Novel ki kahani kitnay arsay ki ho gi 1 month? aik saal ya is se bhi zayada?
- Manzar nigari ka sochain ke kis tarah ke khubsurat nazaron ka kahani mein batayain gey is par aglay courses mein nazar dalain gey keh kis tarah ye manzar nigari aim aam se novel ko intihai khubsurat banati hai ke baar baar pehne ko dil karta hai.
No comments:
Post a Comment