How To Publish Book In Urdu Novel Poetry Publish Book In Hindi Online Free Printing

  Lal Gulab      

Course 6 - How To Publish Novel In Urdu And Hindi
Kitab publish karne ka tarika tou yahan aap ko mil chuka hai par is se pehle kitaab likhna zaroori hai jo log nahin jantay ke kitab kaise likhain woh Start course par click kar ke intihai asan aur complete detail ke sath samjhain aur jinhon ne samajh liya hai un ke liye ye article hai.

How To Publish A Book In Pakistan And India: Kya aap urdu zuban mein aik kitab, novel, general ya phir university ki taraf se diya gaya PHD Thesis likhna chahte hain? main ne ye tehreer apne experience aur 10 saal mein darjan bhar kitabon, magazines (risala) ki composing aur publishing ke baad ki hai. Mujhe hamesha se internet se shikwa raha keh yahan par matlooba cheez dhondhna kafi mushkil hai darasal kasoor internet ka nahin hamare writers ka hai keh jub tak koi tehreer internet par publish hi nahin ki jaye gi tou woh google ya koi bhi dusra search engine usay kaise talash kar paye ga?

Musanif (Writer)

Kitaab likhna aik bara amal hai aur is mein writer ka dimagh istemal hota hai hum dekhte hain keh har kitab kisi na kisi musanif ke naam se likhi jati hai goya jis baat par sub se pehle nazar parti hai woh kitab ka writer hai wohi us book ke bare mein sochta hai mazmoon muntakhib karta hai aur phir mazameen mukamal karte hue aik complete book ready ki jati hai.

Likhari (Composer)

Amooman writer computer aur type writer ki likhai se na waqaf hote hain aur likhai karne ka kaam kisi likhari ko diya jata hai jo aaj ke door mein computer par likhte hain jahan tak mera taluq hai tou main inpage urdu aur wordpad istemal karta hon.

Inpage Urdu

Likhne wala sub se asan tareen software hai jisay urdu writing software bhi kehte hain ye na sirf urdu likhta hai balkeh Arabic, persian, sindhi, kashmiri aur english bhi likhta hai. Urdu ke mashoor font Jameel Noori Nastaleeq is mein shamil hai is ke ilawa achi urdu likhne ke liye Nafees font bhi behtareen hai.

Title Page

Har kitab ka pehla page rang barangi tehreeron aur khubsurat se design par mushtamil hota hai is safah ko title page kaha jata hai. Ye design musanif ki raye se koi graphic designer jo keh amooman adobe photoshop ka mahir hota hai banata hai.

Kitab mein chand zaroori pages (lazmi nahin) shamil kiye jate hain, jesa keh depacha, haroof awal, tashakar, doston aur sahib qalam logon ki raye waghera shamil karna hote hain.

Publishers

Kitab likhne ke baad musawida ban jati hai ye musawida lay kar musanif sahib ko kisi kitab shaya karne wale adaray ke paas jana hota hai takeh woh kitab ki bare paimanay par ishat yani publishing kare jesa keh mashoor zamana oxford press hai.

Ye press darasal aik bohat bari company hoti hai aap ne kitabon ke pichlay safah par likha hua dekha ho ga Jahangir book depot jese chand aik hai. Internet par aise publisher adaron ke phone numbers mil jate hain jahan par aap apna musawida lay jate hain aur matlooba fees ada kar ke book publish karwa laite hain aur khuch self publish yani khud publish kartay hain.

Kitab Ki Taqseem (Distribution)

Kitab ki tayari ke baad is ki taqreem ka marhala ata hai jis mein publisher hazrat bari madad kar sakte hain jub aap apni kitab kisi publisher ke paas lay kar jayain tou ye zaroor maloom karain keh un ka distribution ka tareeqa kesa hai bohat se publishers ki websites hain aur mulk bhar mein booklet hain jahan kitab shaya hote hi pohanch jati hai. Agar aap kitab, novel ya thesis ki taqseem khud karna chahain tou sari copies ghar lay ayain aur phir doston ko dete jayain.

Online Publish

Khuch log online urdu poetry publish karwanay ka shoq rakhte hain aur khuch apni stories un sub ke liye LalGulab ki ye site hazir hai is site ko puri dunya se urdu aur hindi samajhne wale log parhtay hain yahan aap ke novels aur poems free mein publish ki jayain gi per is ki khuch requirements hain jin mein achi quality ki poetry aur novel hona lazmi hai is ke ilawa khuch requirements aap ke rabta karne par aap ko faraham kar di jayain gi.

Kitab, Urdu Novel, Magazine Ki Likhai Mein Meri Khidmat

Kitab likhna aik dilchasp tajarba hai aur kabhi kabhi ye zaroori ho jata hai keh aap ke khayalat ko alfaz mil jayain aur ye alfaaz aap ke naam se shaya hon. Agar aap bhi aisa koi irada rakhte hain tou mujh se rabta zaroor karain. Main start se end tak yani book likhne se publish karne tak aap ki rehnumai karon ga. Wese maine yahan jitni detail mein samjhaya hai aap ko online kahin bhi ye maloomat nahin milain gi agar is ke baad bhi aap ko book likhne mein mushkil paish arahi hai tou bila jhijhak mujhe comment karain ya mere facebook par ya email ke zariye kitab shaya aur likhne mein mujhse rabta kar saktay hain. Tou ab yahan khatam hote hain urdu novel lessons agar aap ko ye maloomat aur mehnat pasand ayi tou usay share zaroor karain jald aik naye course ke sath isi website par In Sha Allah phir aaon ga.
logoblog

Thanks for reading How To Publish Book In Urdu Novel Poetry Publish Book In Hindi Online Free Printing

No comments:

Post a Comment