Adraf Ugane Ka Tarika Urdu Ginger Growing Tips In Hindi How To Grow Ginger At Home In Urdu
Cultivation of Ginger Farming: Ab ghar mein adrak ugana mushkil nahin adrak har ghar ki zaroorat hai chahe khana pakane mein ho ya bimari khatam karne mein balkeh ye kehna ghalat na ho ga keh baish baha fawaid hain jin ka shumar karna bhi mushkil hai. Ye choti magar taqatwar sabzi hai jo sardi ke sath sath bukhar, hadiyon ke masail, saans ki bimari aur matli ki kefiyat door karne ki khasoosiyat rakhti hai.
Kyoun na aap ab adrak apne ghar par ugayain? is mein koi tajub ki baat nahin hai in dinon market mein chemical zada sabziyon aur phalon se sehat ko pohanchne wale nuqsanat ko paish nazar rakhte hue aksar log ghar mein sabziyan ugane par amada ho gaye hain. Khush kismati se aap asani se apne ghar ke andar adrak uga sakte hain aur adrak ki chai aur khane mein adrak ka istemal baghair kisi khoof ke kar sakte hain. Zail mein bataye gaye taeeqon par amal kar ke aap hifzan e sehat ke asoolon ke mutabiq apne hath ki ugai hoi adrak ka maza lay sakte hain.
Pehla Step
Aisi adrak ka intikhab karain jis mein adrak ki ungliyon par waziha ankhon jesi nokain hon agar aisi adrak na ho tou adrak ko ugane se pehle qareebi khidki ke paas chand din chorr dain us mein se nayi kaliyan phoot jayain gi.
Dusra Step
Adrak ko 24 hours ke liye pani mein bhigo kar grocery stores mein adrak ki nash o numa ko rokne ke liye chemical istemal kiye jate hain isi liye isay pani mein bhigona zaroori hota hai.
Teesra Step
Adrak ki jarain horizontally barhti hain isi wajah se aap ke gamle ki chorai us ki gehrai se zayada ahmiyat rakhti hai. Sub se pehle faisla karain keh aap ko kesa gamla chahiye us ke baad usay dho kar us mein saaf mitti dalain.
Forth Step
Adrak ka wo hisa jis mein aank si bani ho usay bahir rakh kar adrak ka baqi tukra mitti mein daba dain taqreeban aik inch tak adrak dab jani chahiye.
- Adrak ke poday ko barah e rast suraj ki roshni mein na rakhain.
- Rozana pani dain is tarah keh mitti ko nam rakhain lekin gheela na karain.
- Taqreeban 12 inch ke gamle mein aap ba asani adrak ke joray uga sakte hain.
- Taqreeban 8 mah baad aap ka adrak ka poda bara ho jaye ga is marhalay par aap in ko alehda alehda kar sakte hain mitti se bhare naye gamle mein aap ye kaam asani ke sath kar sakte hain.
- Adrak aik asani se ugne wali jar hai aap isay apne doston ke sath bhi share kar sakte hain.
- Adrak ke poday ko bare hone mein kayi mah lag sakte hain un ke bare hone ke baad jub aap ginger plant se mitti hatayain ge tou aap ko woh gomridar nazar ayain ge. Is ke sath aap ko us ki jarain andar aur bahir nazar ayain gi. Ye adrak ka khurdni hisa hai aap usay istemal se pehle jaron ko saaf kar lain. Adrak ke thoray se tukre se lutf andooz hone ke liye jar nama tanay ke tukre ko cheel kar ungli ke barabar katain.
Aap apne hath se ugai hoi taza aur saaf suthri adrak ke mazay lain aur aise hi dusri ghazaon ko bhi ghar mein hi ugane ki adat banayain is se aap ko kayi fawaid hasil hon ge.
No comments:
Post a Comment