Glaciers In Pakistan In Urdu Glaciers Information Glaciers Importance Urdu Baltoro Biafo Hispar

  Lal Gulab      

List of Glaciers in Pakistan In Urdu And Importance of Glaciers In Urdu


Glaciers kayi tareeqon se global warming aur mahoolyati tabdeeli ke aham isharay hain pighalne wali barf ki sheets samandar ki satah mein izafa kar rahi hain green land mein barf ki sheets ne bighal kar samandar ki satah mein izafa kiya aur pighaltay glaciers rozana samandar ke pani mein izafa kar rahe hain.

Beautiful Glaciers Ki Ahmiyat Ye Kyoun Aham Hain

Ye bohat se daryaon ka zariya hain is ke bina khuch darya jari hi nahin reh saktay sath hi sath zarat aur sanaton ke liye aur peenay ke liye ye pani faraham kartay hain. Is qainaat par bohat si species aisi hain jo glaciers per rehti hain yani agar ye na hon tou bohat si species ka nisahn khatam ho jaye. Ye zameen par darja hararat ko maintain rakhne ke liye bohat zaroori hain glacier ka matlab zameen ki baqa bhi hai.

1: Albarozi

Ye saltoro kangri ke shumal mein hai ye jo baltoro glacier se milta hai aur K2 ke qareeb waqia hai.

2: Baltoro Glacier

Ye qutbeen ke baad sub se lamba glacier hai jo Pakistan ke subay gilgit baltistan ke alaqay baltistan mein waqia hai is ki lambai 62 km hai mashoor zamana K2 pahar bhi isi glacier mein waqia hai isi glacier se aik darya nikalta hai jo baad mein darya-e-sindh mein girta hai is glacier tak rasai skardu shehar se ki ja sakti hai.

3: Batura Glacier

Ye 54 km lamba hai jo wadi gojal gilgit mein waqia hai aur is ka nazara intihai dilkash hai jo is mulk ke khubsurat muqamat mein se hai.

4: Biafo Glacier

Ye korakoram ke paharon 63 km kamba baltistan mein waqia hai jo hispar glacier se milti hai jo keh hunza mein waqia hai qutbeen ke baad ye tesra bara glacier hai is alaqay mein barfani cheeta aur bhuray reech ke liye mashoor hai.

5: Siachen Glacier

Pakistan banne se 1984 tak ye mukamal Pakistan mein shamil tha magar bharat ki sazishon ki bana par is ke 3 hison mein se taqreeban 2 hison par bharti faujon ne qabza jama liya is ki tafseel ye hai keh bharat ko Pakistan aur China ki dosti se shadeed preshani lahaq rahi jis bana par bharat mein ye plan banaya gaya ke is alaqay ko hasil kar ke Pakistan aur china ko aik dusre ka hamsaya mulk hone ka aizaz khatam kar diya jaye par aisa mukamal tor par karne mein bharti faujain nakam rahain Pakistani faujon ko bharti army ki siachen ke alaqay mein mojoddgi ki khabar hote hi baqi ke alaqay ko bharat ke qabzay mein janay se bacha liya youn jahan kafi alaqa india ke paas chala gaya wahin intihai khubsurat pahar aur china ke sath sarhad Pakistan ab bhi apne paas rakta hai.

6: Hispar Glacier

Bara khubsurat aur 49 km taweel alaqay par waqia glacier hai jo 5128 meter ki unchai par biofo glacier se milta hai darya e hispar isi glacier se nikalta hai ye nagar aur shagar ke shumal mein phela hua hai.
logoblog

Thanks for reading Glaciers In Pakistan In Urdu Glaciers Information Glaciers Importance Urdu Baltoro Biafo Hispar

No comments:

Post a Comment