Earth Day Speech Urdu Essay Earth Day History Urdu Information Earth Day Note Hindi Story Poem

  Lal Gulab      

Earth Day Speech In Urdu Earth Day Poetry In Urdu Shayari Earth Day Essay In Hindi For Students


Earth Day Essay In Urdu: Mein aap se kahon ke agar aap is saiyare zameen se muhabbat karte hein aur chahte hein ke kal apke bache is pe aik mehfooz aur qudarti wasail se malamal zindagi guzaren to aap paidal chalne ko tarjee den bajae gari se jane ko apne ghar ke cockroach, machar aur chontiyan marne ke liye mukhtalif spray ya chemicals be darig istamal na karen. Apne aap ko har waqt spray wale perfume se mehkae na rakhen. Doodh dahi lene jana ho to apne sath bartan lekar jayain. Cheez kharidte waqt betahasha plastic ke shopper istamal na karen. Apne sath cotton ka thaila ya basket rakhen aur agar ye karne mein koi hijab mana hai to kam se kam shopper par istamal karen ye sun kar kuch log sochenge kya musibat hai har waqt nasiat ye na karo wo na karo muhabbat mein bhi nasiyat. 4 din ki zindagi hai kofat se kya faida chalen pehle agey parh lain phir se sochen. Zameen ke mahol ke bunyadi hise jis mein iski sakht, fiza, pani ke zakhair aur zameen ko rangeni ata karne wale nabatat aur degar hayatiyat shamil hein aik dusre se aik maholiyati tawazun aur chemyai tawazun ki zanjeeron se jure hein is zanjeer ki aik kari bhi mutasir hone se har chez apne tawazun se hat jati hai. Aur naya tawazun banne mein na sirf waqt lagta hai balke wo nae mutalbat bhi rakhta hai. Is tamam taluk mein hamari beja mudakhilat ise hamari ane wali naslon ke liye naqabil rehaish banasakti hai.

Earth Day  Information In Urdu: Ayain hum dekhte hein ke hamari beja mudakhilat kya hai, ye kin tabdeeliyon ko janam deti hein aur kaise dunya ko mutasir karti hein aur phir is mein insan ka kirdar matain karen ke wo iske natije mein tezi se hone wali tabahi ko kaise rok sakta hai. Jab hum bohat zayada chemicals istamal karte hein to hum zameen ke har hise ko aludgi se ashna kardete hein. Ye aludgi iski fiza satah aur samandar se dhake ilake har aik ko nuksan puhnchati hai. Zameen is wasi kainat mein phaili wo wahid jaga hai, jahan hum ab tak kisi zahen makhloq ke asar pate hein yani hum insan aur iski fiza aur mahol is wasi kainat mein wo wahid tawazun rakhti hai jo insan ki baka ke liye zaruri hai. Awami satah pe hum apne ird gird dekhte hein ke jama hone wale kore ko munasib tarike se thikane lagane ke bajae ise aag lagadi jati hai. Ye aik gair zimedarana amal hai aur ye bhi maholiyati aludgi ka bais banta hai. In gases ki waja se baaz jaga aludgi itni zayada hogai hai ke wahan barish mein bhi chemia markabat ka asar paya jata hai. Ilawa azen ye aluda fiza insani sehat ke liye jo masail paida karti hai wo alag. In mein sar fahrist iksam ke cancer hein iske ilawa mukhtalif chemyai markabat mukhtalif pachedgiyan paida karte hein. Sanati karkhano ka fazla jise pani mein baha dia jata hai aur ye zameen ki uperi sath ko tabah karte hue zameen ke neche maujood methe pani ke Zakhair ko aluda karte hue samandar mein puhnchta hai aur wahan ke maholiyati nizam ko khatam karke ise banjar banadeta hai. Shahyad apko yad ho ke san 2008 mein karachi ke sahil pe aik atalwi jahaz jo kham tail lekar jaraha tha. Tail bhi nikla aur 1500 tan tail karachi ke choda kilo meter sahil pe phail gaya. Tail ke is tarah phailne se aik to uper ki satah se janwaron ko oxygen nahin mil pati aur dusre is mein maujood bhari anasir samandar ki tah mein beth jate hein aur wahan maujood samandari tashriyon jaise seep, ghonge aur Marjan ki chatano ko shadid nuksan puhnchate hein aur is tarah se is mahol ko tabah kardete hein. Ye tail aur degar markabat sahil pe pani ke jahazon ki amad o rafat se bhi samandar mein shamil hota hai. Sirf sanati idaron ke chemicals hi nahin gharelu istamal hone wale chemicals bhi pani ke raste bil akhir samandar mein nahin puhnchte. Balke iske zarae hamare ghar mein ho Sakte hein. Jaise gharon mein bachi hui dawin nali mein baha dena safai ke liye mukhtalif chemical istamal karna taleemi ya tehkiki idaron mein istamal hone wale chemicals ko sahi se zaya na karna balke soche samjhe pani mein bahadena.

Mazeed Maloomat Earth Day Par Mazmoon: Plastic ka bohat zayada istamal jabke plastic ko qudarti tarike se khatam hone mein aik lamba arsa darkar hota hai. Andaza lagaya hai ke 50 ke dehai mein plastic ne aam zindagi mein qadam rakha aur ab tak iski aik balen tan mikdar paida ki jachuki hai. Ye plastic kachra jo hum ne phainka hai ise khatam hone mein hazaron baras ka arsa darkar hoga. Plastic ki masnooat pani raste samandar mein puhnch jati hein aur samandari makhloqat ki tabahi ka sabab banta hai. Plastic ki wo masnooat zayada behtar hoti hein jo biologicaly tezi se khatam hojati hein. New clear power plant ho ya atomi dhamake har surat mein tabkar fazla jama hota hai jo na sirf insani sehat ke liye mohlak Taren balke zamen ke liye bhi nuksan dah hai. Ye tabkar fazla jama hota hai jo na sirf insani sehat ke liye mehlak taren hai balke zamen ke liye bhi nuksandah hai. Is tabkar fazle ko aam tarike se zaya nahin kia jasakta. Aur inhein makhsoos container mein band karke ya to dor iftada makam jaise kisi bayayan sehra mein dafan kardia jata hai ya phir samandar ki tah mein daba dia jata hai. Har surat mein ye aik mehfuz halat nahin hai, kyun ke behar hal tabkar fazla is mein maujood hein aur kisi bhi hadse ki surat mein ird gird ke mahol aluda kardega. Aur is se zamen ko naqabil talafi nuksan puhnch sakta hai.

Janglat ko apne istamal ke liye be darig katna, apne apko aik qudarti dolat se mehroom karna hai. Jaise karachi ke sahilon ke nazdik mangrove nami darakht ke janglat jo sari dunya mein mangrove ke janglat mein khasi ehmiyat rakhte hein. Ahista ahista khase kam hogae hein kyun ke in darakhton ko makami Abadi ne aindhan ke tor pe istamal kia. Iski waja se inki jaron ke sath pae jane wale jhenge, kakre aur degar jandar apna wajood qaim na rakh sake aur yun aik maholiyati tawazun tabahi se do char hua. Agar hum degar jandaron ke mahol ki hifazat na karen inke rehaishi janglat apne istamal ke liye kat den apne shahron ko barhate chale jaen aur inke samandar mein apni aludgi and malte rahen to wo nayab nasal mein shamil hokar dunya se gaib bhi hosakte hein. Aur aj bohat se janwar jo hum dekhte hein aur in se lutuf andoz hote hein wo kal apni auladon ko sirf tasawur mein hi dikha paenge na sirf ye balke apne mahol mein wo jis hayatiyati tawazun ko qaim rakhte hein wo inki gair maujoodgi mein tabdeel hokar hamare liye masla bansakta hai. Iski aik misal india aur pakistan mein paya jane wala gadha hai jo pehle aik bari tadad mein milta tha. Gadha murda janwaron ko kha kar mahol ki safai ka eham fariza anjam dete hein.

Magar 15 sal ke andar inki tadad mein 97 fesad kami ai. Tahkik se pata chala ke maweshiyon ko di jane wali dawa diclofaitic ke bakiyat inke jism mein rah jate hein in mawashiyon ka gosht khane se ye dawa gadha ke jism mein puhnch jati hai. Gadha is dawa se gurde ke amraz ka shikar hokar marjate hein. Is liye hamein apni tamam taraki aur sargarmiyon ke doran ye bat nahin bhoolni chahye ke zameen pe in degar jandaron ka bhi haq hai jinhein hum apne mukable mein kam tar jante hein. Ab is mukhtasir jaize ke bad ye natija nikalna asan hai ke is saiyare ko apne liye aur aenda ane wale insano ke liye mehfooz banane ke waste hamen is tarz zindagi ko apnana hoga jahan zameen aur iske maholiyat ka haq sab se pehle hona chahye. Dard dil ke waste paid kia insan ko warna ta aat ke liye kuch kam na the karo biyan.

Earth Day History In Urdu: Note Zameen Ka Din Kab Manaya Jata Hai? Dunya ke zayada tar mumalik mein Earth day yani zameen ka din 22 april ko manaya jata hai. Ye din zameen ke Mahol ke mutaliq ilam dene aur ise bachane ke mamkina ikdamat ke bare mein agha karne ke liye akwam muthada ne mukarar kia hai. Iski tajweez san 1959 mein aman ke karkun John Make konel ne di thi aur ab is din ke hawalay se earth day slogans bhi banaye jatay hain aur earth day poems bhi likhi jati hain jo is baat ka ishara hai keh is zameen ke rehnay wale apni is zameen se mohabbat rakhte hain.
logoblog

Thanks for reading Earth Day Speech Urdu Essay Earth Day History Urdu Information Earth Day Note Hindi Story Poem

No comments:

Post a Comment