Hindi Pulses Benefits In Urdu Daal Ke Faide In Urdu
Tarah Tarah Ki Dalain Aur Tarah Tarah Ke Faide: Dalon ko bharpur protein ki wajah se gosht ka mutbadil bhi kaha jata hai.
Sehatmand Ghaza
Dalain dunya ke sehat mand tareen khanon mein se hain ye taqreeban dunya ke har mulk mein khai jati hain kayi research se ye baat samne ayi hai keh dalain fiber vitamin aur madniyat ki wajah se dil ki sehat ke liye behtareen hain dalon mein folate paye jate hain.
Mukamal Ghazaiyat
Zayada gosht khana anton ki sehat ke liye muzhar hai is se anton ke cancer ka khatra barh jata hai fruit sabziyan aur dalain khane se anton ki sehat behtar rehti hai aur un mein cancer ka khatra kam ho jata hai dalain khane se qabz ki shikayat bjhi door ho jati hai ye fawaid hasil kar ke liye haftay mein aik se zayada baar daal khani chahiye. Dalain diabetes ke patients ke liye behtareen hain kyoun keh fiber shamil hone ki wajah se daal khane se mareezon ke khoon mein sugar ki maqdar mein zayada izafa nahin hota daal chawal aik pasandida khorak hai.
Masoor Ki Daal
Ye munh masoor ki daal... andaza laga lijiye ye daal itni mashoor hai keh is ke hawale se muhawra bhi mojood hai insani khorak ke liye kasht ki jane wali nabatat mein masoor ki dal qadeem tareen chez hai, zamana qadeem mein unan aur rome mein ye shoq se khai jati hai Pakistan aur India mein aaj bhi is ka bohat zayada istemal kiya jata hai daal mein 12% ratoobat aur 25% protein jabkeh potassium bhi wafar quantity mein hai.
Chane Ki Daal
Bar-e-sagheer mein sub se zayada istemal hone wali daal chanay ki daal hai is door mein chanay ki daal ki kasht zayada tar Pakistan aur India ke elawa misr aur janoobi America aur Australia mein ki jati hai, chanay ki khushk daal mein 17.1% protein 3% madniyat aur 100 gram chane ki dal mein phosphorus 312 mili gram is ke ilawa vitamin b complex bhi shamil hai.
Moong Ki Daal
Moong ki daal ka abai watan hindustan hai jahan is ki kasht zamana qadeem se chali arahi hai apne tibi khawas ke lihas se pak bharat mein is ka istemal bhi bohat kiya jata hai moong mein protein aur woh khasosiyat is se uper batai gaye dal ke benefits mein bayan ki gayi hain woh bhi hain ab ghoor karain tou pata chalay ga keh har daal mein protein shamil hai is ka matlab agar protein ki zaroorat ho tou dalon yani pulses se behtar koi cheez nahin.
No comments:
Post a Comment