Hindi Dimag Ki Kamzori Ka ilaj Urdu Dimag Tez Karne Ka Tarika Hindi Tips
Warzish Ke Zariye Apne Dimag Ko Tez Karain: Apne dimagh ko bhi muscles hi samajhna chahiye ye bhi warzish ke zariye banaya ja sakta hai youn tou rozana walk ke zariye apne dimagh mein behtari layi ja sakti hai darj zail mein chand aisi warzishain batai ja rahi hain jin ke zariye hum apne dimagh ko tez behtar aur bholne ki bimari ko kam kar saktay hain.
Apne Kam Hone Wale Aza Ka Zayada Istemal Karain
Nojawanon ko naye naye challenge se nimatnay ki salahiyat zayada hoti hai jis ki wajah se unhain zayada dimagh behtar rakhne ki zaroorat hoti hai. Apne dimagh ki behtari ke liye apne roz marah mamoolat ke zariye bhi kaam lay sakte hain. Aap apne us hath ko zayada istemal karain jo kam istemal hota hai. Agar aap seedhay hath se kaam karne wale hain tou phir aap koshish karain keh apne ultay hath ko kanghi karne, dant ko brush karne ya degar kamon ke liye istemal karain jo kaam woh asani se kar sakta hai utlay hath se apna naam likne ki koshih karain waghera.
Apne kam istemal hone wale hath ko istemal kar ke aap apne dimagh ke us hisa ko harkat mein latay hain jo kaam na karne ki wajah se baikar rehta hai us hisa mein bhi khoon ki gardish rawan ho jati hai is ki wajah se dimagh ke sirf aik hi hisa par wazan nahin rehta aur dimaghi surathal behetar ho jati hai. Dimag ke hawalay se hone wali aik study se ye baat sabat hai keh nayi cheezain parhne se dimag ki qabliyat mein izafa hota hai khas tor par jub hath aur ankh aik sath coordinate karte hain tou dimagi warzish ke liye bohat behtar sabat hota hai.
Dimag Ke Liye Work Out
Aap ko dimag istemal karna hai ya usay khona hai jis tarah aap apne jism ke liye kaam karte hain usi tarah aap ko apne dimagh ke liye bhi kaam karna ho ga. Dimaghi exercise ke zariye aap dimag ko fit rakh sakte hain. Crossword puzzle, chess aur naam yaad rakhne wala kheel, shopping list aur phone numbers ke zariye aap ye exercise kar sakte hain. Aap khuch bhi yaad karain aur kisi ko sunayain us tarah aap ke dimag ke kaam karne ki salahiyat behtar ho gi. Hisab kitab ke liye calculator ki bajaye aap dimag ka istemal karain.
Dimag Ko Behtar Karne Ke Liye Apni Ungliyon Ko Harkat Mein Rakhain
Aksarr logon ka khayal hai keh asian bache zayada samajhdar hote hain mumkin hai is ki wajah ye hai keh woh apni ungliyon ko regular halat mein rakhte hain woh chopsticks se khatay hain aur school mein Abacus ke zariye compute karte hain. Baaz studies se tou ye baat bhi samne ayi hai keh woh rozana Abacus ka istemal karte hain aur apni ungliyon ko har waqt masroof rakhte hain jis se barah-e-rast dimag bhi behtat asar laita hai.
Massage Ke Zariye Kamzor Dimagh Mein Behtari Paida Karain
Dimag ki behtari ke liye massage bhi behtareen method hai apne sar ke peechay donon hathon ko cross kar ke rakh lain aap ke donon angoothay aap ki gardan ke donon hison ko chu rahe hon. Aik kursi par baith jayain apne sar ko peechay ki tarah nikalain apne angoothon aur index finger se dabao barhatay jayain apni naak ke zariye gehri gehri saans lain aur munh ke zariye nikalain apne pure jism ko relaxe kar lain. Ye brain exercise 3 se 5 minute tak karain aap ke khoon ki gardish mein behtari paida karne lage gi aur gardan ke muscles ko bhi aram milay ga jo aam tor par dabao ya kisi preshani ki wajah se mutasir hote hain.
No comments:
Post a Comment