Blood Pressure Information In Urdu Alamat Blood Pressure Chart Hindi

  Lal Gulab      
Blood Pressure Information In Urdu High Aur Low Blood Pressure Ki Alamat

Blood Pressure ke bare mein takriban sab jante hein ke ye insani sehat ko kitna mutasir karta aur khatarnak sabit hota hai, cardiology ke aik professor ne tafseelan blood pressure ke pas manzar aur khatrat ke bare mein bataya ke ye kab high hota hai aur kab kam, kin awamil se insan ko parhez karna chahye aur kin par amal dar amad. Professor ka kahna hai is ke high hone ki pehli nishani kashedgi hai pareshani aur gushe ke alam mein insan ki ragon mein khoon intehai tezi se circulation karne ke sabab dimag ke khaliyat par shadid asar parta hai.

Automatic iski nabaz ki raftar bhi taiz ho jati hai aur is alam mein blood pressure high hone ke sabab heart attack ka bhi khatra hota hai, shadid zehni dabao ke zair asar aik sehat mand insan bhi is mein mubtala ho sakta hai. Tibi lehaz se ye normal hai aur kisi had tak zaruri bhi blood pressure mukhtalif Halat mein jism ke aza adjust na hone ki surat mein bhi high ho sakta hai lekin tajarbat se sabit hai ke kashedegi aur kam ki zayadti ke ilawa gehre uljhe mamlat bhi sehat mand insan ko is mein mubtala kar sakte hein. Khoon ki gardish aur oxygen ke utar charhao ka daro madar insan ki apni zehni soch se mansalik hota hai, is liye pur sukoon rahne wale afrad ko bohat kam high blood pressure ka samna karna parta hai, aam halat mein roz mara ke mamlat ko hal karne aur paya takmeel puhnchane ke liye insan dimag par zor dene aur is nateje mein dabao ki surat mein akar bhi is ka shikar hote hein jo aik normal bat hai aur ise bemari mein shumar nahin kia jasakta. Insani nizam ka eham hisa dil ki dharkan iski raftar aur degar hormones jismani system aur khas tor par blood circulation ko control karte hein aur bawaqt zarurat jismani frequences ki tadad mein izafa hota hai.

Jismani nizam ki regular faniktion keliye hormones, gurde, gadod aur degar jismani reshon ki circulation aur jism mein muntakeli ke sabab ke sabab asabi system aur khoon ki rawangi barkarar rahti hai. High blood pressure ka shikar takriban har insan hai lekin sath sal se zaid umar ke afrad aksar is mein mubtala rahte hein is bemari ke adad o shumar ya tahkik karna mushkil hai ke kyun jawan afrad kam aur umar rasida hata ke wo pur sukoon zindagi guzarte hein lekin is bemari ka shikar hote hein mahren ka kahna hai ke is ka shikar na sirf umar rasida afrad hote hein balke wo log bhi nahin bach pate jo musalsal khare rahte, bethe ya lete rahte hein kyun ke achanak jismani position mein tabdeeli ronuma hone se ankhoon ke samne siyah dayre ghoomte hein. Sar dard aur shadid chakar ke bais degar jismani alamat ke sabab bhi ye high ho jata hai. Is ka dabao aik sehat mand insan par 120/80 milimeter mercury tak hota hai, sharyano mein khoon ki pumping aur pulmonary ki gardish dil ke chamber mein narmi se circulation karti aur nae khoon ke bahao mein shamil hoti rehti hai us waqt ye high hota hai.

Urdu Chart Blood Pressure Kitna Hona Chahiye Hindi Mein

Upper level jisay uper wala blood pressure bhi kehte hain normal taqreeban 120 se kam aur lower 80 se kam hona chahiye. Nechay diye hue chart mein mukamal maloomat faraham ki gayi hain jis se aap ko kafi faida ho ga.
Degar surat aam halat mein khoon ki sharyano mein gardish ke khaliyat mein normal circulation mein khoon ka dabao kam rahta ya normal hota hai. Professor ka kehna hai ye us waqt khatarnak sabit ho sakta hai jab insan pehle se hi kisi bemari mein mubtala ho aur musalsal dabao ke bawajood kam karta rahe is amal se dil kamzor hota hai aur nobat heart attack tak ajati hai ye kehna munasib hai ke in halat mein blood pressure ka high hona mout ki alamat hai. Musalsal is mein mubtala rahne wale afrad ki ankhon aur gurdon ko bhi shadid nusan puhnchta hai gurdon aur degar jismani hormones mein pressure barhne se insan shadid mutasir hota hai benai se mehroom ho jane ke bhi imkan barh jate hein, jo afrad kashedegi ke bais is mein mubtala hote hein pehle inhein chakar ate hein thakawat mehsus hoti hai aur isi lamhe chakra kar girne ka khatra hota hai. Kushedegi ke ilawa jo afrad motape mein mubtala hein warzish nahin karte tobbaco noshi aur sharab noshi blood pressure ke high hone ki pehli seerhi hai. Warzish na karne se itna jismani nuksan nahin hota lekin degar roz mara khorak insani sehat ko tabah karne aur is ko zayada karne mein apna kirdar ada karti hai in halat mein namak se parhez kia jae. High blood pressure par kabu pane ke liye bakaidegi se warzish zaruri hai ta ke wazan par control par control ho, kum charbi ki khorak lazmi karar di gai hai aur zayada se zayada sabziyan aur phal istamal karne se sehat barkarar rahti hai.
logoblog

Thanks for reading Blood Pressure Information In Urdu Alamat Blood Pressure Chart Hindi

No comments:

Post a Comment