Battle of Plassey Urdu History Jang e Palasi War Plasi Hindi Battle Of Plassey Short Note

  Lal Gulab      
Article is About: Hindi Battle of Plassey In Urdu History Jang e Palasi Urdu Battle Of Plassey Short Note Summary Who Won Was Fought Between Whom And Pictures
Information And Causes of Battle of Plassey In Hindi Plasi War 1757 23 June Siraj Ud Daula nawab bengal aur angreez general clive ke darmiyan kultay se 70 meel ke faslay par darya-e-bhagirathi (river bhagirathi) ke kinaray qasim bazaar ke qareeb ka waqia hai. General clive tamam bengal par qabza karna chahta tha shehanshah delhi pehle hi us ke hath mein kath putli tha. Bengal par qabzay ke liye black hole ka farzi afsana tarasha gaya aur mir jaffer se sazish ki gayo. Mir jaffar siraj ul dola ke nana Ali Wardi Khan ka behnoi tha us ko nawabi lalach de kar tor liya gaya. Is ke ilawa omachand nami aik seth ko bhi sazish mein shareek kiya gaya lekin us ko 30 lack rupee denay ka jo agreement kiya gaya woh jali tha.

Clive apni riwayati 3000 fauj ko lay kar nawab par charh aya nawab ke paas baqool morkheen 50000 payaday aur 18000 sawar aur 55 topain thien lekin us fauj ka har hisa mir jafar ke zair kaman clive se mil chuka tha is liye nawab maidan e jang mein nakam hua aur giraftar ho kar mir jafer ke betay miran ke hathon qatal hua.

Angreez morkheen ka ye dawa keh clive ne 3000 sapahiyon ki madad se nawab ki latadad fauj par fatah payi qareen qayas nahin ho sakta kyoun keh 50000 mein se har aik ke hisay mein 3000 ki boti tak nahin aa sakti darasal khud nawab ki fauj ka baishtar hisa apne ghar ko aag laga raha tha nez ye kehna keh mir jafar akhir dam tak clive ke sath nahin mila bilkul ghalat hai agar aisa hota tou us ko angrez kabhi nawab na banatay ye usi shakhs ki ghaddari thi jis ke baes bengal mein Islami hukumat ka khatma ho gaya. Us par bhi agar siraj ud daulah ka sapah silar na marta tou natija khuch aur hota us sapah silar ko jo mir jaffer ke sath shareek na tha mir jaffer ke admiyon ne qatal kar diya tha jis se wafadar fauj bhi badhawas gayi. Clive ke sirf 20 admiyon ka mara jana aur 50 ka zakhmi hona tajub khez nahin kyoun keh top khanay ko bhi pehle hi khareed liya gaya tha aur topon mein pani dalwa diya gaya tha.

Larai ke baad clive murshadabad pohancha jo un dinon bengal ka darul hukumat tha kath putli shah dehli se pehle hi mir jafar ki taqarari ka farman hasil kiya ja chuka tha is wajah se us ko gadi par bitha diya gaya. Mir jaffer ko tamam khazana aur zati zar o jawahir clive ki nazar karne paray jin mein se har angreez ko maqool hisa diya gaya sirf clive ka hisa 53 lack 10 hazar rupay tha is ke ilawa east india company ko aik crore rupay kaltay ke nuqsan ke tor par aur hamlay ki padash mein diya gaya.

Is ke ilawa bengal mein 24 par ganay ka zarkheez alaqa bhi compani ko nazar hua. 1759 mein shah alam ne us tamam alaqay ka mahasal jo 40 lack 50000 hota tha clive ko bakhsh diya aur is tarah taqreeban sara bengal angreezon ke tasalat mein aa gaya chand roz baad angreezon ne mir jafar ko bay dast o pa kar diya lekin woh nihayat samajhdar nikla us ne aisay iqdamat shuru kiye jin se angreezon ke panjay dheelay hone shuru ho gaye aur patna mein 200 angreez qatal kar diye gaye mir jaffer ne degar Musalman nawabon ko mutehad kar ke bakasar ke muqam par bahadari se angreezon ka muqabla kiya jis mein 1000 angreez maray gaye lekin phir ghadari aur sazish apna rang layi mir qasim ki fauj mein bhagdar mach gayi aur angreez bengal par qabaz ho gaye.
logoblog

Thanks for reading Battle of Plassey Urdu History Jang e Palasi War Plasi Hindi Battle Of Plassey Short Note

No comments:

Post a Comment