Arfa Karim Randhawa History In Urdu Arfa Karim Death Reason Arfa Karim Information Life Story

  Lal Gulab      

Arfa Karim Randhawa History In Urdu Biography of Arfa Karim Story Interview

Information Arfa Kareem Faislabad ke aik nazdeeki gaon ram dewali mein 2 february 1995 ko paida hui. Aap ke walid Amjad Abdul Karem Randhawa aik Army officer hein. Arfa Karim sirf 3 sal ki umer mein school jane lagi. 9 baras ki umar mein 2004 mein microsoft certified professional ka imtehan pas kar ke information technology mein aik tehalka macha dia. Arfa Karim Randhawa ne dunya ki kam umar taren microsoft certified professional hone ka aizaz hasil kia. Is se dunya ka naam roshan hua. Jis se dunya mein ye paigam gaya ke pakistan mein talent ki kami nahin hai. Pakistan mein taleem par pabandi nahin hai.

Dusri taraf Irfah Kareem ne ye paigham dia ke taleem mein age barh kar dunya ke samne pakistan ka asal chehra dikhaya jasakta hai. Arfa Karim jab Bill Gates se mili to is ke bare mein kaha gaya ke pakistan ka dusra rukh. Arfa Karim ko pakistan ke dusre chehre ka naam dia. Aik roshan chehre ka naam. Arfa Karim randhawa microsoft corporation ki dawat par july 2005 mein apne walid ke hamrah america gai. Jahan ise dunya ki kam umar taren micro soft certified professional ki sanad di gai. Computer ka name lain to hamare dimag mein billgates ka naam ata hai.

Billgates ka ye karnama hai ke inho ne computer technology ko wasat di, asan banaya, aam afrad tak is ki rasai mumkin hui. Bill gates dunya ke ameer taren afrad mein se aik hen is azeem hasti jiski zindagi bohat masroof hai. Bill gates ne dus minute Arfa Kareem se mulakat ki. Us ki hosla afzai ki kaha jata hai ke us se zayada Bill Gates is se mutasir hue is mulakat mein bill gates ne Arfa Karim ko dunya ki kam umar taren micro soft certified application ki sanad ata ki. Ye na sirf Arfa Karim is ke waldain balke pure pakistan ke liye fakhar ki bat thi is mulakat mein Bill Gates ne Arfa ko kaha oh to ye bhi Pakistan ka aik Chehra hai ke tumhare jesi larkian bhi wahan hein? Warna mein to yahi samjhta tha ke waha larkiyon ko parhne nahin dia jata us ne bare aitmaad se Bill Gates se kaha, pakistan ka bus yahi chehra hai ye thi Arfa Pakistan ka chehra ye aik bohat bara aizaz tha. Us ne Bill Gates ke sath nashta bhi kiya is ke ilawa Dubai mein information technology mahiren ki janib se do hafton ke liye inhein mado kia gaya, jahan inhein mukhtalif tamgha jat aur aizazaat diye gaye. Arfa ne Dubai ke flying club mein sirf dus sal ki umar mein aik tayara uraya aur tayara urane ka certificate bhi hasil kia. Us ko 2005 mein is ki salahiyaton ke aitaraf mein "sadarti award" madar milat jinnah talai tamge" aur "Salam Pakistan youth Award" se bhi nawaza gaya.

Arfa Karim Death Reason In Urdu

Sirf dus saal ki umar mein inhon ne "pride of performance" bhi hasil kia jis ko hasil karne ke liye umar lag jati hai. Microsoft ne bara salona Mein munakad san 2006 ki techniqui developer conference mein pakistan bhar mein se sirf Arfa ko mado kiya tha. Puri dunya se 5 hazar se zayada mand o bain mein se pakistan ka roshan chehra sirf thi ye pakistan ke liye aik bohat bara aizaz tha. Mulk o qoum ka fakhar thi. Pakistan ki beti, pursaraiyat ke pardon mein chupi hui pari pur sarar tor par is dunya se koch kar gayi. Is ne sola sal ki umar mein wo sab hasil karlia jo karna tha puri dunya mein iska sika manwaya aur puri dunya ke samne mulk o qoum ka khoob naam roshan kia, Pakistan aur ehal Pakistan ka sar fakhar se buland kiya kaha jata hai Arfa apni bemari se pehle NASA ke kisi project par kaam kar rahi thi. 22 december 2011 ko Arfa apne ghar par thi jab mirgi ka dora para un ko fori tor par CMN Hospital puhnchaya gaya waha in ko dil ki taklif shuru hogai jis ki shidat se wo kome mein chali gai. 2 january ko Bill Gates ne Arfa ke waldain se rabta kiya aur is khawahish ka izhar kia ke us ka ilaj apni zair nigrani America mein karwana chahte hein. Bill gates ke kahne par American doctors ka penal bana jo video coference ke zariye pakistani doctor ki rahnumai aur mawant karte rahe. 9 january ko irfah ki tabiyat kuch sambhli lekin arzi tor par doctors ki report ke mutabik is ke dimag ko shadid nuksan puhncha tha. Wo 2012 mein 26 din kome mein rahne ke bad 14 january baroz hafta lahore ke CMH hospital mein Allah ko pyari hogai. 14 january 10baje tamam pakistan ke channal par in ki afsoos nak khabar nashar hui pura pakistan sadme se nidhal ho gaya. Khuch log mar kar bhi amar ho jate hein Arfa in mein se aik thi. Microsoft technology jo irfah karem randhawa ko dastaris thi, is ko khiraj tahseen, khiraj akeedat paish karte hue hakumat ne bad azmarg lahore ke aik park aur karachi ka IT center us ke naam se mansoob kar diya ilawa azeen In ke gaon ko bhi Arfa ka naam de diya gaya. Cournal Abdul Karim Randhawa Arfa ke walid, jin ka kaam mulk ka difah karna hai jo ke aik Army officer hein unhon ne Pakistan ko aik rasta dikhaya ke Pakistan ka nazriyati sarhadon par difah Arfa jaisi betiyan hein, jin se dunya ke samne Pakistan ka roshan chehra wazia hota hai.
logoblog

Thanks for reading Arfa Karim Randhawa History In Urdu Arfa Karim Death Reason Arfa Karim Information Life Story

No comments:

Post a Comment