Soviet Union History In Urdu Soviet Union Information Hindi Soviet Union Countries

  Lal Gulab      

Soviet Union History In Urdu

Russian socialist riyasaton ka majmoa (mukhtasiran USSR) jisay aam tor par Soviet Ittehad ke naam se jana jata hai. Ye ayeni aitbar se ishtiraki riyasat thi jo Eurasiamein 1922 se 1991 tak qaim rahi. Is ko bilamoom Russia bhi kaha jata tha jo keh ghalat hai. Russia is ittehad ki sub se zayada taqatwar riyasat ka naam hai 1945 se lay kar 1991 tak is ko America ke sath dunya ki aik azeem taqat (Super Power) mana jata tha.

Khulsa

Soviet Union ke 1917 ke inqlab ke doran banne wale riyasati alaqay mein qaim kiya gaya. Waqt ke sath sath is ki geography sarhadain tabdeel hoti rahien, lekin akhri barri toot phoot ke baad riyasaton mashriqi poland, mashriqi europe ka khuch hisa aur khuch dusri riyasaton ke izafay aur finland aur poland ki alehdagi ke baad 1945 se lay kar tehleel tak shahi door wale Russia jesi hi rahien. Soviet hukumat aur siasi tanzeemon ki nagrani aur dekh bhal ka kaam mulk ki wahid siasi jamat, soviet ittehad ki communist party ke paas raha. 1956 tak Soviet socialist riyasaton ki tadad 4 se barh kar 15 ho gayi.

History Of Soviet Union Ki Tarikh

Soviet Union ko russian badshahat ke baad ki shakal kaha jata hai akhri russian zar nicolas daum ne march 1917 tak hukumat ki aur agle saal apne khandan samait mara gaya. Soviet Union ka qayam december 1922 mein amal mein aya.

Geography

Soviet Union ne bar-e-azam europe ke mashriqi aur asia ke shumali hisay par qabza kiya tha. Area 22402200 muraba km hai itnay baray raqbay ki wajah se is ka mausam sard hota hai 11% zameen qabil kasht thi 16% ghas ke maidan thay 41% janglat thay aur 32% degar qisam ka tha.

Saqafat

Soviet Union ki saqafat USSR ki 70 sala door mein bohat se marahil se guzri hai inqlaab ke baad pehle 11 saal tak logon ko nisbatan azadi hasil rahi aur musawwiron ne musawari mein bohat si nayi jiddatain paida karne ki koshish ki. Hukumat ne bohat se mukhtalif rujhanat ko jo keh saltanat ke liye khatra na hon bardasht kiya. Fan aur adab mein bohat se mukhtalif zehniyat ke log ghusay aur unhon ne nat naye tajarbat kiye.
logoblog

Thanks for reading Soviet Union History In Urdu Soviet Union Information Hindi Soviet Union Countries

No comments:

Post a Comment