Lemon Benefits In Urdu Nimbu Ke Faide Lemon Hindi Nimbu Pani Side Effects Lemon

  Lal Gulab      

Lemon Benefits In Urdu Nimbu Pani Nimbu Ke Faide In Urdu Nimbu Fayde Hindi

Lemon drops, lemon ka sharbat aur lemon ka achar, in ka tasawur ate hi mun mein pani bhar ata hai aur is ki khushboo ke tasawur hi se aap aik kisam ki rahat aur tazegi mehsus karte hein ji haan! Main phal hi aisa hon mera naam nimbu bhi hai tazegi bakhsh, tawanai aur sehat dene wala ! Mein puri dunya mein hota hon har ilake ke log mujhe apne rasam o riwaj ke mutabik khano mein zaika paida karne aur mukhtalif amraz ke ilaj ke liye istamal karte hein.

Meri youn to kai kismain hoti hein lekin in mein kagzi lemu sab se behtar samjha jata hai kyun ke iski lazat ras aur mehak zayada hoti hai. Meri aik kisam meethe lemu ka name bhi hoti hai lekin tarash ke mukable mein is ke faide kam hote hein. Meri tarsi is mein maujood citric acid ki waja se aur khushboo chilke mein pae jane wale rogan lemu ka natija hoti hai.

Qudrat ne mujhe jaraseem halak karne ki salahiyat di hai. Mera ras zakhmo aur choot se mutasir Hison ke jarasem halak kardeta hai. Aap dettol ya carbolic acid ke mahlool ke bajae aik glass pani mein adhe lemu ka ras shamil kar ke is se bhi zakham wagera dhone ka kaam pure bharose ke sath lesakte hein lekin agar zakham ki waja se worm ho to phir ahtiyat kijiye kyunke is se taklif barh sakti hai. Keel muhason se nijat ke liye aap mera khalis ras laga sakte hein. Jalan zayada mehsus ho to phir is mein gulab ka ark aur thori si glycerine ya shahad mila lijiye. Is ke ilawa exema par ye ras lagane se is ke jaraseem halak hojate hein. Mujh mein anton ki susti dor karne wale reshe ke ilawa madni namkiyat, nishaste dar ajzai phosphorus aur mamooli mikdar mein folad hota hai.

Mujh mein aur phaloon ke mukable mein vitamin c sab se zayada hota hai ye wo vitamin hai jiski waja se jism mein bemariyon se mukabla karne ki taqat bohat mazboot rehti hai. Youn mera istamal karke aap khud ko kai amraz se mehfuz Rakh sakte hein. Mujh mein ghiza jald hazam karne ki salahiyat bhi bohat hoti hai. Is liye mukhtalif khano ke sath mukhtalif surton mein istamal karte hein mein khas tor par jigar ko chust aur tawana rakhta hon. Bhook na lagti ho, tabiyat mein garawat aur pasti ho, susti ne ghair rakha ho to aisi surat mein subha mun dhone ke bad aik glass taza pani mein adha lemu nichor kar pi lijiye. Chand hi dino mein ye shikayat dor hojaegi. Aap ka ji chahe to is mein shahad ya phir thori si cheeni bhi shamil kar sakte hein. Baaz log aik chutki meetha soda bhi dal dete hein is se sene mein jalan ki shikayat dor hojati hai. Jab lochal rahi ho aur pani pi kar pait mashkiza ban gaya ho mera sharbat pi lijiye garmi aur lo ke asrat bohat jald dor hojaenge. Haan! Is mein aik do chutki namak milana na bhooliye. Aksar log dawaton mein rogan aur masale dar ghizain khane ke bad piyas aur bechaini mehsus karte hein inhein kholte Pani mein aik do chutki chae ki pati ke sath taza ya khushk podina dal kar chae ki tarah dum dene ke bad is mein cheeni aur lemu ka ras mila kar pi lena chahye khana asani se hazam ho jaye ga.

Garmiyon mein nakseer ki shikayat bhi aam hoti hai. Aise logon ko mera bakaida istamal karne se bohat faida hota hai mujh mein maujood vitamin c naak ke nazuk reshe ko mazboot kar ke nakseer ki shikayat khatam kardeta hai. Garmiyon aur khas tor par barish ke mausam mein matli aur ke ki shikayat aam hoti hai is mausam mein lemu ki chatni aur is ka sharbat bohat mufid hota hai sirf lemu ke chat te rahne se bhi matli dor hojati hai. Aap ne is mausam mein rooh afzai mein mera ras shamil karke pia to hoga, kitni farhat hoti hai is se! Haan! Mein batana bhool gaya ke mera aik sabit beej nikalne se bhi ke foran ruk jati hai. Mashoron mein worm aur in se khoon aur peep ane ki taklif, piyoria maskhora kahlati hai. Ye zayada tar In logon ko hoti hai jo gosht bohat khate hein aur dant saf nahin karte ye taklif hayateen J ki kami se hoti hai. Mun se badbu ati hai to log mun phair lete hein mein is ka bhi behtar ilaj hon. Lemu ki patli si kash kat kar ise mashoron aur danton par maliye aur mera ras nichor kar khano wagera mein istamal kijiye. Aik behtar tarika ye bhi hai ke aik piyali ark gulab mein mera ras mila kar is se subha o sham kuliyan kijiye. Mera ras danton par malne se wo safaid bhi hojate hein. Aap chahen to mera ras thora sa namak mila kar brush se danton par lagaiye aap ke dant chamak uthenge. Motape se nijat keliye bhi istamal hota hon. Subha nehar mun garam pani mein mere ras ke sath thora namak mila kar pene se jism halka hone lagta hai. Baaz logon ko tarshi nahin bhati, in ke halaq aur gale mein taklif hojati hai. Inhain mere istamal se bachna chahye ya phir ise dusri cheezon ke sath istamal karna chahiye.

Lemon Side Effects In Urdu Nimbu

Jis tarah phalon ke fawaid hotay hain wese un ke nuqsanat bhi nazar atay hain maslan koi cheez had se zayada istemal ki jaye tou woh fayde ki bajaye nuksan deti hai is ka zayada use galay ki kharabi ka baes banta hai jo log patlay hain woh is ko zayada khayain ge tou pehle aur aur patlay nazar ayain ge.
logoblog

Thanks for reading Lemon Benefits In Urdu Nimbu Ke Faide Lemon Hindi Nimbu Pani Side Effects Lemon

No comments:

Post a Comment