Folic Acid In Pregnancy Urdu Folic Acid Benefits Urdu Folic Acid Hindi

  Lal Gulab      

Folic Acid In Pregnancy In Urdu Before After During Pregnancy Folic Acid In Hindi

Folic Acid Benefits In Urdu Folic Acid Benefits In Pregnancy England ke experts ab bhi is mutalbay ki hamayat kar rahe hain keh atay mein folic acid shamil kar ke usay farokht ke liye paish kiya jana chahiye, agar aisa kar liya jata tou sirf bartania mein 1998 ke baad se bachon ki paidaesh mein sangeen noeeyat ke naqaes ke 2000 se zayada cases ko rokna mumkin ho sakta tha un ka ye kehna hai keh atay mein folic acid shamil na karne ke natijay mein bachay aziyat naak qisam ki mazoori ke sath paida hue jis mein Spina Bifida ki mazoori bhi shamil hai. Ye paidaeshi kharabi us waqt hoti hai jub rerh ki hadiyan haram maghaz ke gird munasib tareeqay se tashkeel nahin pati hain is ki sangeen surat mein bacha hath paon ko harkat dene ke qabil nahin hota, is ke ilawa aur bhi kayi mazooriyon mein mubtala ho sakta hai. Maa ke jism mein agar folic acid ki kami ho tou us se isqat ke elawa bacha murda bhi ho sakta hai.

Ye baat batani zaroori hai keh America aur 77 countries mein folic acid mila aata istemal mein hai. Bartania ke mehkma sehat ne kaha hai keh woh is mamlay ka jaeza lay raha hai waziha rahe keh folic acid Folate ki qudrati surat mein baaz ghazaon maslan haray paton wali sabziyon, maghziyat aur chokar milay atay se tayar double roti mein shamil hota hai. Folic acid nashtay ke liye banaye gaye baaz daliyon mein bhi shamil kiya jata hai lekin ye bohat mushkil hai keh hamla khawateen ko mehz ghazaon se itna folic acid mil jaye jo un ki zaroorat ke liye kafi ho. Yehi wajah hai keh 1992 mein England ke mehkma health ne ye sifarish ki thi keh khawateen hamal se pehle folic acid tablets use karna shuru kar dain takeh un ke hone wale bache mein Nueral Tube Defect ya NTD ka khatra kam se kam ho is kharabi se dimagh, rerh ki hadi aur haram maghz sub naqais se do char hote hain taham is silsile mein jo haliya research ki gayi hai us se pata chalta hai keh sirf 28% pregnant women ye supplement sahi waqt par leti hain jis ke baad mahireen hukumat par zoor de rahe hain keh woh atay mein folic acid milanay ki tajweez par amal kare taham hukumat bartania double roti tayar karne wali company ko apni masnuaat mein folic acid shamil karne par majboor karne se gureezan nazar ati hai.

Mazeed Faide Folic Acid Ke Faiday In Urdu

America mein 1998 mein is policy par amal daramad ke natijay mein rerh ki hadiyon mein paidaeshi naqais ke sath hamal ki tadad mein 23% kami dekhi gayi hai. Bartania mein agarchah Neural Tube Defects wale hamal jabran saqat karwa diye jatay hain taham har saal taqreeban 75 bache sangeen noeeyat ki mazooriyon ke sath paida hote hain. Atay mein folic acid shamil karna bilkul mehfooz hai aur ye aik acha qadam ho ga. Pakistan ke liye ye baat khush ayend hai keh All Pakistan Flour Mills Association ne is zaman mein amaadgi bhi zahir ki hai jabkeh aisi itla'aat bhi arahi hain keh hukumat punjab sobay mein tamam flour mills ko folic acid aur iron shamil karne ki hidayat ka irada rakhti hai. Bohat se aisi khawateen jo maa banna chahti hain unhain almi adara sehat ki janib se folic acid ki jitni maqdar istemal karne ki takeed ki gayi hai khawateen us se bohat kam maqdam istemal kar rahi hain. Aisi kahwateen ko chahiye keh woh hamal ke pehle aur hamal ke 12th haftay tak 400 micro gram folic acid ke supplements rozana istemal karain. Folic acid high blood pressure bhi kam karne mein madadgar sabat hota hai par kisi bhi cheez ke side effects se bachne ke liye pehle apne mualij se pata kar lain yahan batai hoi tasfeelat sirf agahi ke liye hai.

Doran-e-hamal (during pregnancy maa ki janib se folic acid supplement (woh ghazayain jo folic acid rakhtay hain) istemal na karne ke natijay mein bacha Spina Bifida jesi bimari mein mubtala so sakta hai is liye apni diet sahi muntakhib karain.
logoblog

Thanks for reading Folic Acid In Pregnancy Urdu Folic Acid Benefits Urdu Folic Acid Hindi

No comments:

Post a Comment