Folic Acid Foods In Urdu Folic Acid Deficency Tips In Urdu Diet - Woh Foods Jis Mein Folic Acid Hota Hai
Food Which Are Rich In Folate Foods In Hindi - Folic Acid Supplements Urdu: Jaise ke is ke fawaid aap ne hamare site par is folic acid ke is article mein parhay hon ge jo ke especially hamla khawateen ke liye likha gaya hai par aaj aap ye janain ge keh woh kon si aisi khorak hai jis ke zariye folic acid hasil kiya ja sakta hai ye blood pressure ke mareezon ke liye aur hamla khawateen ke liye bohat zaroori hai ye zayada tar nashtay ki cheezon aur phalon aur sabziyon mein hota hai. Ab aap ke liye woh sabziyan aur fuits tafseel ke sath bataye ja rahe hain jis mein folate hota hai.
Tomato
Tamatar na sirf khanon ko mazaydar karta hai balkeh is ke tibi faiday ghazai mahireen ne bay shumar bataye hain ye woh vegetable hai jis mein Vitamin A aur folic acid bharpur hai isay bar-e-sagheer ke logon ke ilawa china aur japan mein salad ke tor par kafi khaya jata hai gharon mein bhi tamatar ki kasht asani se ho jati hai is liye ye aik sasta aur asan zariya hai folic acid ka.
Almonds
Badam aisay hi kha liye jayain ya phir unhain bhigo kar khane ka zayada faida hai? ye woh sawalat hain jo badam khatay hue aksar hamare zehan mein ajatay hain badam ke gird yellow jhili ki wajah se tannin hota hai jis ki wajah se almond ki ghazaiyat se bharpur faiday nahin uthaye ja saktay lekin agar is ke bhilkay ko bhigi kar utar liya jaye tou badam mein ghazaiyat zayada hoti hai aur sath hi ye hazmay ke behtar hone ka zariya bhi banta hai cheelay hue badam mein lipase nami enzyme hota hai jis se chiknai ko hazam karne mein asani rehti hai. Bhigoye hue badam mein Vitamin B 17 aur Folic Acid hota hai jo cancer se larnay mein madadgar hota hai. Bhigoye hue badam hamla khawateen ke liye bhibohat mufeed hotay hain.
Marchuba
Marchooba aik aisi sabzi hai jis mein folic acid ki maqdar bohat zayada hoti hai aur is mein mojood asrat aap ke khoon mein serotonin ki zaroori maqdar ko pura karne mein madad faraham kartay hain jo aap ke mazaj ko bohat had tak acha rakh sakti hai.
Yogurt
Dahi ki banawat aisi hai keh is mein doodh se zayada calcium paya jata hai calcium mein mood ko acha rakhnay wale neurotransmitters hote hain jis se aap ke jism mein mojood bay cheeni, depression aur chirchira pan qabu rakhne mein mufeed hai. Dahi mein folic acid bhi hota hai jis se woh hamla khawateen jo pregnancy mein blood pressure ki bimari ka khauf rakhti hain us ke liye aik qudrati medicine hai khas tor par hamal mein preeclampsia se mehfooz rehnay ke liye yugurt ko hamal ke doran khas tor par 20 haftay ke qareeb lazmi istemal karna chahiye jis se is bimari ki wajah se paidaesh pehle na hona ko roknay mein madad milti hai aur youn bachay ke lungs bannay ke liye mazeed waqt mil jata hai par apne doctor se puchiye phir yogurt istemal karain kyoun ke hamal ki mukhtalif pecheedgiyon ka mukhtalif ilaj hai.
No comments:
Post a Comment