Diabetes Symptoms Urdu Diabetes Ki Alamat Urdu Diabetes Signs In Hindi

  Lal Gulab      

Diabetes Symptoms Urdu Diabetes Ki Alamat Hindi Mein

Diabetes Signs In Urdu: Medical world mein Diabetes ko silent killer yani khamosh katil bhi kaha jata hai kyoun keh aik janib tou diabetes ki alamat koi khaas zahir nahin hoti lekin ye marz jismani aza ko buri tarah mutasir karta hai aur mazeed bimariyon ki wajah banta hai.

Khoon mein shakar zayada hone se eyes, heart aur kidneys khas kar mutadir hote hain hamare badan ko tawanai ke liye glucose ki zaroorat hotu hai hum fruits se barah-e-rast glucose hasil karte hain lekin chawal, roti aur alu mein mojood glucose hamari aanton ke nazam-e-hazma se alag ho kar badan ka juzu banta hai aur glucose ke zariye badan ke aik aik khuliye mein pohanchta hai.

Lekin sugar aur glucose ke istemal ke liye insulin ki zaroorat hoti hai insulin aik hormone hai jo bulbule mein paida hota hai. Type one diabetes ke shikar afrad mein insulin ki paidawar ruk jati hai lekin type 2 mein diabetes paitients mein insulin ki paidawar hoti hai lekin insani jism mein woh mosar andaz mein istemal nahin ho pata yani khulyat mein nahin pohanch pata ya woh insulin se muzahmat karte hain diabetes type 1 aur type 2 ki alamat yaksan hi hoti hain.

Some Diabetes Symptoms In Urdu

Kayi mamlat mein diabetes dabay paon hamla awar hoti hai jis ka pata nahin chal pata aur aik tahai afrad diabetes ke shikar hone ke bawajood bhi is se waqif nahin hote is zaman mein behtar yehi ho ga keh ache mualij se rabta kiya jaye aur mukamal check up karaya jaye isi liye jo afrad diabetes ke shikar nahin hain woh bhi apne mualij ke raye ko ahmiyat dain aur is khamosh marz ki alamaton par nazar rakhain.

Diabetes ki ibtida alamat mein munh khushk rehta hai aur baar baar urine ata hai isi tarah ghair mamooli tor par bhook barh jati hai aur bhook naqabil bardasht ho jati hai jub keh khana khane ke bawajood bhi wazan tezi se girna shuru ho jata hai is ke ilawa bohat jaldi thakawat ka shikar ho jate hain isi tarah agar zakham bohat dair mein theek hote hain aur nazar mein dhundlahat ho tou ye bhi diabetes ki ibtidai alamaat ho sakti hain. Zaroori nahin keh ye tamam symptoms diabetes ki hi wajah hon lekin un ko hargiz nazar andaz nahin kiya jana chahiye. Shuru mein hi diabetes yani zayabatees ko qabu kar ke aik behtar zindagi jee ja sakti hai.
logoblog

Thanks for reading Diabetes Symptoms Urdu Diabetes Ki Alamat Urdu Diabetes Signs In Hindi

No comments:

Post a Comment