Denmark History In Urdu Denmark Ki Tarikh
Denmark country shumali europe ka mulk jis ke shumal mein Sweden aur Norway mashriq mein bahera baltik aur maghrib mein baherah shumali waqia hain. Denmark ki tarikh ke aham hison ka pata humain un patharon se milta hai jin par purane zamane ke logon ne kayi tasweerain banai hain aur ye pathar Denmark ke shehar Jelling mein mojood hain aur ye is mulk ki sub se purani likhi hoi tareekh hai Denmark ka naam yahin pehli baar liya gaya tha.
Sub se purana pathar taqreeban 900 sadi ka hai us pathar ko us waqt ke badshah Gorm ne apni biwi Thyra ki yadgar ka naam diya tha. In pathron se is zamane ki bay deeni ka andaza ba khoobi lagaya ja sakta hai. Gorm ki wajah se bhi tareekh likhne mein kafi madad mili hai kyoun keh woh khud Esaiyat ke khilaf tha. Gorm ke betay Harald ne dusre sub se bare pathar tak safar kiya aur us ka naam Blatand rakha aur us ko apne waldain ki yadgar ki alamat banaya us zamane ki pathron par bani hoi tasweerain hamain ye batati hain keh badshah Harald ne puray Denmark aur Norway par hukumat ki. Saxo Grammaticus aik Danish tareekh daan tha jo 1200 tak zinda raha us ne pehli Denmark ki history ki book lateeni zuban mein likhi us ki khuch batain samajh mein na anay wali hain lekin us ke bawajod us ne Denmark ke cultural life ke bare mein bohat umdagi se likha hai. Valdemar 120o mein Denmark country ka badshah tha us ne Estland ko fatah kiya Estland ka darul hukumat (rajdhani) (capital) Tallinn ki bunyad Danish peoples ne hi rakhi thi. 1300 ke akhir mein Queen Margrethe ne is mulk samait 3 mulkon par hukumat ki us ne teenon mulkon ka apne door mein kayi baar dora kiya. 1397 mein us ki taj poshi ki gayi Sweden ki city Kalmar mein aik union ki bunyad rakhi gayi jis ke ye 3 mumalik member thay 1520 mein Sweden is union se nikal gaya lekin Norway 1814 tak Denmark ke sath is union mein raha is ke baad jub ye donon mulk alehda hue tou Denmark ne Iceland aur jazair faru par qabza kar liya.
No comments:
Post a Comment