Taif History In Urdu Taif Ka Waqia Taif Ka Safar - Ghazwa, City

  Lal Gulab      

Taif History In Urdu - Taif Ka Safar

Taif city Saudi Arabia ka aik shehar hai jo Makkah ke nazdeek waqia hai ye samandar se 1700 meter ki bulandi par hai. Taif ka mausam khushgawar hai is liye Saudi hukumat ke baishtar amaal garmiyon mein taif mintaqil ho jate hain. Is ki abadi 550000 aur yahan ke angoor aur shehar kaf mashoor hai is city ka tazkara Islami Tareekh mein bhi aata hai. Nabi SAW ne tabligh ke liye taif ka safar kiya tha lekin taif ke logon ne un se bura salook kiya aur pathar barsaye.

Taif Ki Tarikh

6th century eeswien mein is alaqa mein banu saqeef ka qabila rehta tha shehar ke ird gird deewar thi aur log but parast thay. 620 esien mein Nabi SAWW ne taif ka safar kiya jo Islami tarikh ka aik mashoor waqia hai. 631 eswien mein Ghazwa Tabook ke waqt Musalman bohat taqatwar ho chukay thay aur taif walon ne mehsoos kiya keh woh akele reh gye hain is liye unhon ne wafood ko Makkah bheej kar Islam qabool karne ka ilan kar diya. Taif par kafi sadiyon tak Arbon k hukamrani rahi.

Taif Ka Safar - Journey of Taif Ka Waqia

Quraish Makkah ki janib se Islam ki dawat ko thukrane aur us ki rah mein rukawatain hail karne ke baad Nabi Pak SAWW ne Makkah ke ilaa degar muqamat mein daat deen haq pheelanay par ghoor kiya aur is maqsad ke liye Unhon ka pehla intekhab Makkah ka qareebi shehar Taif tha. 10 saal Makkah mein deen haq ki dawat dene ke bawajod bay ja mukhalfat aur quraish ki sitam zareefiyan Pyare Nabi Pak SAWW aur Musalmanon ki rah mein badastoor hael thien.

Aap SAWW ko is baat ka bakhoobi lm tha keh Quraish jo mudat se shirk aur but parast ke qail thay itni jaldi paigham haq qabool nahin kar sakte. Islam ki tabligh ke liye Aap SAWW ki nazar mubarak intekhab Taif par parri aur ahl-e-taif ke kanon tak tauheed ki awaz pohanchane ke liye aap ne Hazrat Zaid Bin Haris (RA) ko sath lay kar taif ka safar kiya.

Taif Makkah se 50 meel ke faslay par mashriq ki taraf aik pahari alaqa hai lekin un tak jub dawat-e-tauheed pohanchi tou ahl-e-Makkah ki tarah woh bhi na sirf is naye deen ko qabool karne par tayar na hue. Isi safar se wapsi par janoon ki aik jamat ne Islam qabool kiya. Safar taif Aap SAWW ki Hayat-e-Tayyaba ka aik aham waqia hi nahin balkeh aik inqalabi mor bhi hai. Is safar mein taif ke logon ne ilan haq qabool na dusri taraf aik ghulam ne Islam qabool kiya.
logoblog

Thanks for reading Taif History In Urdu Taif Ka Waqia Taif Ka Safar - Ghazwa, City

No comments:

Post a Comment