Quaid-e-Azam Urdu Essay Quaid e Azam Paragraph
Meri Pasandida Shakhsiyat Essay In Urdu
Mazmoon Quaid-e-Azam Muhammad Ali jinnah 8 zilhaj 1293 bamutabik 25 december 1876 ko karachi main paida hue. Aap ke walid ka naam jinah puja tha or karachi main tejarati karobar karte the. Mohammad ali jinah ne matric ka imtehan "sindh madarastul alum high school" se 1893 main sola saal ki umar main pass kiya. 1893 main apne walid ke dost sir fared keraftt ke mashware se enhen beristtri ki taalim hasil karne ke liye london bhej dia gaya. Aap ne 5 june 1893 ko london ki mashahur kanuni darsegah "lankan in" main dakhela lia or takriban do saal main beristtri ka imtehan pass kar lia. Es doran Quaid-e-azam ne siyasat main dil chuspi lena shru kardi. Wo Bartaniya ke darulalum main Bartaniya ke bare bare syasi rehnumaon ki takriren aksar suna karte the.
1896 main watan wapis aae or karachi main practice shuru kar di. Aglay saal Bumbai tashreef legae or bhot jald chotti ke wakilon main shumar hone laga. 1900 main Bumbai ke presidensi majistrat mukarar hue. Ye mulazimat khatam hone ke baad enhen pandra soo rupe mahwar tankhuwa par eij aala tarin sarkari ehda paish kiya gaya lekin enho ne ye ehda qabul na kiya or kaha ke main jald hi es kabil hojaonga ke pandra soo rupe eik din kamane lagun.
Quaid-e-azam ne 1906 main syasat main sir garam hisa lena shru kiya or Indian national kangrez main shamil hogae. Usi saal kolkata main kangrez ka jalsa shru hua to Mr: jinah ne wahan bare zor ki takreer ki. Kangrez main kai saal tak untahak kam karne ke baad jab Quaid-e-azam ne dekha ke hind syasatdan bazahir to koom koom ke naare lagate hen lekin kam wo karte hen jin se sirf hinduon ko faida pohnchta hai or kangrez eik hindu nawaz jamat hai or es ki siyasi hikmat amli se hindustani musalmano ko nuksan pohnch raha hai or wo musalmano ke haqooq mutalibat ko nazar andaz kar ke hindustan main hindu raj kaim karna chahti hai es natije par pohnch kar Quaid-e-azam ne bar sagir ke musalmano ko munzam karne ko koshishen tez kardeen.
1927 main all india muslim leag ke ijlas kolkata ki sadarat ki or nae azaem ke sath mili jadojehd ka agaz kia. 1928 main delhi ke muslim leag ke ijlas main nehror port ke jawab main apne mashahur choda nukat ka elan kia jis main bar sagir ke musalmano ke syasi mutalebat ka taeen kia gaya aap ki koshishon main muslim leag ki awaz hindustan ke goshay goshay main pohanch gai or Musalman es jamat ke parchum tale mutahid hona shuru ho gae. Akhir ye awaz puri koom ki awaz ban gai or 23 march 1940 ko lahore ke eik azeem ulshan ijlas main "karar dad pakistan" mutafaka tor par manzur hui. Es karar dad se hindu or angrez talmalae uthe mukhalifat ki tando tezz hawaen chaleen.
Masaeb ke tufan uthe magar Quaid-e-azam mukhalifat ke en tufanon ke mukable main datte rahe akhir march 1947 main hukomat bartaniya or hindu kangrez ese manene par majbur hogae 14 august 1947 ko hukomat bartania ne pakistan ke naam se eik alag mumlikat ke qayam ka elan kardia. Aap ne pakistan ki khidmat nojawano ki tarah karte rahe rat din kam karne se aap ki tabiyat kharab rehne lagi. Akhir 72 saal ki umar main 11 december 1948 ko aap ne jaan, jane afreen ke supard kardi aap ka azeem ul shaan maqbara karachi main hai jisay mazar-e-quaid ke naam se jana jata hai jahan puray mulk se log pohanchte hain balkeh dunya k bare leaders bhi mazar par hazri detay hain. Ye hai haqeeqat hai ke Jinnah ne apni mehnat aur mulk se imandari ki wajah se tarikh ke sunernay safhon mein apna naam hamesha ke liye likhwa liya hai un ki azeem kamyabiyan sirf mulk se mukhlis hone ka natija hai jo batati hain ke hamain mulk ko agey lay kar jane aur khud bara insan banne ke liyequaid ki tarah apne watan ke liye mukhilasana kawishain karni hon gi.
No comments:
Post a Comment