Papaya Benefits Urdu Papita Ke Faide Papaya Fruit Achar

  Lal Gulab      

Papaya Benefits In Urdu Papita Ke Faide

Un Ginat Fawaid Ka Hamil Papaya Fruit Ghaza Bhi ilaj Bhi

Papitay ka rang amooman sabz zard aur surkh hota hai jabkeh kachay phal ka taste talkh aur pakay phal ka meetha magar qadre bad mazah hota hai. Ye jigar aur meday jese amraz ke ilawa qabz ka bhi behtareen ilaj hai. Ye ghaza hazam karne mein bhi mosar hai aur pait ke keron ka bhi qudrati ilaj hai. Jub subah chehre par sujan ho tou ye jigar ka nazam darust na hone ki wajah hai aisi halat mein diet ke darmiyan ya foran baad adha se aik pao papita istemal karain mufeed sabat ho ga. Ye barhti hoi tili ke ilaj mein bhi madad deta hai is maqsad ke liye paka phal bhi theek aur kacha bhi. Kachay phal ke tukray sirka mein daal dain aur 8 se 10 din baad aik ya 2 tukre rozana khayain aur ye masana ki bimari mein bhi istemal ho sakta hai agarcheh jadeed tib ki ru se is marz ka ilaj operation hai magar pehle aap fitrat se bhi madad lay saktay hain is ke liye 6 haftay tak adha pao papita subah sham khayain aur phal ka doodhya ras kisi saaf kapre ke tukre par jazb kar lain. Khushk hone par safaid safoof reh jaye ga jisay ahtyat se ikatha kar ke kisi sheeshi mein sambhalo lain. Adhi se aik chutki ye safoof shakar mila kar daily khayain ye hazmay ke liye behtareen hai is mein fibre ki mojoodgi cholesterol level ko kam karne ki wajah hai.

Papita ka achar banane ke liye is ke tukre sirka mein daal dain aur 10 din baad use karain. Europe ke baaz areas mein gosht ke parchon ke darmiyan papita ke slice rakh kar gosht ko mehfooz kiya jata hai.

Papaya Ke Chilke Har Kitchen Ki Zaroorat Hain - Papaya Uses

Ye sakht gosht galane ke liye istemal hote hain aur in ki ye yaseer papita ke doodh ki wajah se hai kayi khawateen is ko kaat kar khush karne ke baad mehfooz kar leti hain gosht pakatay waqt papita ka safoof bhi kaam ata hai is ke liye pehle chilke achi tarah khushk karain aur is ke baad safoof banayain. Siri Paye, bong ya sakht gosht galane ke liye par kg 1 spoon papita ka safoof kafi hai. Khanon ki lazat aur ghazaiyat mein izafe ke liye tikka, kabab ya dusre pakwanon ke masalhe mein bhi ye safoof shamil kiya ja sakta hai.

Sugar Ke Liye Mufeed

Jamia karachi mein hone wali tehqeeq ke mutabiq papita ke musalsal istimal se dil ke amraz aur is ke seeds kidney ke liye behtari ka sabab hote hain. Mahireen ne papite ko keeron ke katne se phisalne wali bimariyon ke khilaf bhi mosar qarar diya hai. Research se pata chala ke ye diabeties patients ke liye fayde rakhta hai. Par aik baat yaad rakhain isay hamesha 2 khanon ke bheech khayain kabhi nahar munh yani khali pait istemal na karain.
logoblog

Thanks for reading Papaya Benefits Urdu Papita Ke Faide Papaya Fruit Achar

No comments:

Post a Comment